Safar-e-Dosti

30 3 2
                                    

Kitni tameez se mile the hum,
Pehli mulaqat mein,
Tab laga na tha ki yun,
Dost ban jayenge baad mein.

'Aap' se 'Tu' tak ka safar,
Kitna jaldi tay ho gaya na,
Hum ek doosre ko itna jaanne lage,
Hamein pata bhi nahi chala na.

Roz baat na bhi ho toh kya,
Phir bhi baatein roz jaisi hoti hain,
Badlav na aata baaton mein,
Chahe mulaqaatein kam hi hoti hain.

Hamaare ishaare kuch aise hain,
Jinhe sirf hum samajh sakte hain,
Log toh kayi milenge,
Par tere jaisa dost mil na sakta hai.

Shuruaat apni bilkul formal thi,
Ab hamaare beech personal bhi kuch nahi,
Kyunki ek insaan toh hota hi hai na,
Jisey saari dastaan pata hoti hai.

Mere bolne se pehle hi,
Tu jaan leta hai main kya kehne wala hoon,
Jaanta toh main bohoto ko hoon waise,
Par jab dost ki baat aati hai,
Tera hi naam yaad aata hai mujhe.

Hum dost kaise bane the yaad hai?
Mujhe toh yaad nahi,
Sab apne aap hi chalta gaya,
Peeche mudh ke phir dekha hi nahi.

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Aug 04 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Andekhi JhalakWhere stories live. Discover now