Taareef Karne Se Main Tumhari Ruk Nahi Sakta Par Kuch Shikayatein Bhi Hain Mujhe Kuch Baatein Tumhari Dard Deti Hain Socha Bata Dena Chahiye Tumhe
Kabhi Kabhi Tum Itna Khul Ke Baat Karti Ho Ki Lagta Hai Dost Se Bhi Badh Kar Hoon Main Aur Achanak Hi Ek Dum Aise Treat Karne Lagti Ho Jaise Tumhara Kuch Hoon Hi Nahi Main
Tum Unhi Baaton Ka Jawaab Deti Jo Baat Tumhe Sahi Lagti Hai Aur Unn Saari Baaton Ko Ansuna Kar Deti Ho Jab Mujhe Tumhari Zaroorat Hoti Hai
Khud Hi Karti Ho Milne Ki Baatein Aur Bahaane Bhi Naa Milne Ke Khud Hi Banaati Ho Abhi Ek Pal Phele Hass Rahi Hogi Aur Dusre Hi Pal Pata Nahi Kaise Rooth Jaati Ho
Yeh Saari Baatein Mere Dil Mein Jitni Bhi Hai Taareefein, Shikayatein Mohabbat Bhi Tumse Hi Hai Ek Din Zaroor Kahunga Tumse Yeh Baatein Jo Kabse Khayaal Mein Hain Izhaar Bhi Karunga Shikayat Ke Saath Yeh Dil Bhi Bachaara Kabse Pyar Mein Hai
Who Din Kab Aayega Yeh Main Khud Bhi Jaana Chahta Hoon Kyunki Tumhara Zikra Hone Par Hi Sab Bhoolne Jo Lag Jaata Hoon
Himmat Bhi Nahi Hoti Yeh Soch Ke Ki Baat Aur Bigad Na Jaaye
Darr Bhi Lagta Hai Ab Intezaar Se Kahin Der Na Ho Jaaye Uss Din Ki Talaash Mein Kahin Der Na Ho Jaaye
The End.
YOU ARE READING
Andekhi Jhalak
Poetry"Andekhi Jhalak" is a collection of heartfelt love poems that capture the beauty and complexity of romance. Each poem is a simple, honest expression of love, perfect for anyone who enjoys heartfelt and relatable poetry. Dive in and let the words spe...