Dosra bab

409 16 11
                                    

" zindagi....agr mujhe is ko define karna pare to me kaisay karungi... Ye aik ajeeb lafz hai aur is ka mafhum aaj tak koi nahi samajh paya hai .. Ye dukh deti hai ,taklifein deti hai .. Imtihan leti hai lekin aakhir mei bas yahi wo cheez hoti hai jo sath deti hai.. Nahi nahi me ye nahi keh rahi ke ye boht bawafa hai .... Lekin phir bhi iss ke siwa wafadar bhi koi nahi hota ... Ya phir hum sirf iss hi say wafa ki umeed rakh saktey hai ... Ye hai to sab kuch hai warna ... Kuch bhi nahi " abeera ne apni dairy band kar ke almari ke us daraz me rakh di jahan par us ki kuch aur yadgar chezain hotein thein .. Us ki bachpan ki kuch yadein aur kuch college ke zamane ka saman ....Wo goya un chezon se dil behlaya karti thi aur college ki yadein toh us ne boht ehtiyat se rakhein thi kyun ke wo second year se agay parh hi nahi saki thi .... "Ghurbat zalim nahi hoti .. Ye me pehle socha karti rhi ... Jo cheez taleem cheen le wo waqae me zalim hua karti hai " ye bath abeera ne tab kahi thi jab aik sal pehle us ke abu ki bemari , bhai ki taleem aur behno ki shadiyon ki fikar ki waja us ne agay parhna band kar diya tha .... Wo dono parh rahein thi ta ke koi acha sa rishta un ke liye ae jabkay us ki taleem is liye rok di gae kyun ke wo umar ke nikkah me thi aur us ke rishtey ki koi fikar nahi thi...
Abeera ne ghari ki janib dekha jo aik baja rahi thi .. Us ne wazu kiya aur tahajud ki namz ada ki ..... Aj raat us ne Allah se khub dil khol kar duwaein ki thi ... " har cheez par chahe pabandi lag jae lekin tere huzoor mangne pe to koi pabandi nahi ho sakti naa" us ne Allah se " batei"kartey huwe kaha
..................,,,,,,,,,,,,,,,,,,..........
" bhai uth jaein university nahi jana kiya ??" Abeera ne bhai ko teesri dafa awaz di ..
" uff kiya musibat hai yar .." Us ne uthtey huwi kaha
" aap change kar lein me tab tak nashta bana leti hun " us ne kitchen se awaz di ..
Bhai ko univercity aur behno ko college bhej ke us ne abu ko dawai di aur ami , abu ko bhi nashta karwaya ..
"Beta mei soch rahi thi aaj kaprey dho leti hun lekin himmat hi nahi ho rahi."Abeera ki ami us se mukhatib thein
" ammi jan , aap chorein .. Me kar lungi aap abu ka khayal rakhein"
Phir us ne aoo dekha na taoo bas kaprey dhona shuru ho gae .. Abhi adhe kapre bachay they jab darwaze par dastak huwi
" kon hai" us ne awaz laga ke pucha.... Darwaxe ke peche se awaz ai
" tumhara shohrey muhtaram!!" Umar ke iss tarha bath baat karne se wo buri tarha sharma gai ... Aur ishi shughal me wo darwaza kholna bhool hi gae ... Bahar se phir awaz ai
" aab shehzadi sahiba agar aap sharma chukein to darwaza khol do ya me wapas chala jaoon"
"Aray nahi nahi" wo harbara gai .. Jaldi se darwaza khol diya
" uff tumharey to chehrey ka rang hi urr gaya hai ... Me koi sach me ja raha tha?? Mazak kar raha tha yar" umar aapni azli shokhi wale andaz me bol raha tha
" toh chale jaein mujhe wese bhi boht kaam hein" us ne bhi apni nakli bemurawati dekhai..
"Jaa.. Khushfehmi mulahiza ho janab ki ..mei tum se nahi khala se milne yahan aya hun madam" umar ka jawab ye tha
" to phir jaein yahan kyun khrein hein.."?
Umar muskura kar reh gaya phir agy gaya to kapron ka dher dekh kar kehne laga
" ach acha to iss liye damagh ghooma hoya hai .. Us ke sar par masnoi hamdardi aur rehm dili se hath phertey huwi umar ne has kar kaha ... Us ke jawab me abeera ne kuch nahi kaha bas ajeeb andaz me muskura di .. Uss ke bad wo kapre dhooti rahi aur wo us ki ami abu ke sath bheta raha jab wapas jane laga laga to us ke qarib aa kar chup ke se kaha
" khuda ki kasam aik baat khala khalu ki nahi suni sara waqt tumhe dekhta raha .. Mei tumhare liye hi aya tha .."
Wo muskura di .... Kyun wo ye janti thi
..................,,,,,,,,,,,,,,......

Mohabbaat key naam...Where stories live. Discover now