chota bab!!

208 14 9
                                    

Aaj 29th roza tha ..yani eid ka chand nazar aane ka imkan tha ..sab log chatoon par chare huwe the aur chand ko kuch bhi kar ke dhoondne ki koshish kar rahay thay ...abeera chat par nahi gae thi balke wo to duwa kar rahi thi k chand nazar naa ae aur uss ko teeswa roza bhi rakna pare ... usse hmesha 29 rozay ko sab par gussa aata tha k kyun sab log chand ko dekhnee ke liye yu pagal ho raahay hote hain jahan 29 rakh liye wahan teeswa bhi rakh de ...lekin nahi bhai ... ...wo uss waqt sehn me bethi logon ki awazein sun rahi thi koi keh raha tha " lagta hai aaj nazar nahi aane wala " ... to dosra uss ko ye kehne par danttey huwe kehta " yar aisa to naa bol bas abhi nazar aajae ga baadloon ke peche kahein chupa hoga" .... usse hansi aagae ... hamre qismat ka chand bhi to yun hi badloon ke peche chupa hota hai naa ... kisi kisi ka nazar aa jata hai aur eid ho jati hai .... aur kisi ka kabhi chehra nahi dekhata .... mout par bhi nahi ..... wo in hi sochon me doobi huwi thi ke achnak .... kisi ne ss ke mun par zoor se hath rakha aur dheerrey se bola " shhh chekhna nahi warna sab ko pata chal jae ga " wo chekhne hi wali thi lekin umer ke hathoon ne uss ki cheikh rok li ..... wo sambhl gae to umer farooq ne uss ke hontoon par se hath hata liye ..... " aap iss waqt choroon ki trha kyun ae hein ??" Abeera sambhal chuki thi to herani se pochne lagi .......
" chand dekhne " umer muskuraya
" to upar ja kar dekhey chand yahan kiya kar rahay hain " wo ye kehte huwe uthne lagi to umar ne uss ko pakar kar dobara betha diya .... phir dheere se bola
" mein to chnad deikh bhi chuka " abeera uchli
" kahan dekha aap ne chand ... un sab ko bhi jaa kar bataein na " wo phir uthne lagi thi ta ke sab ko jaa kar bata sake jab umer aik bar phir bola
" mera chand to bas abeera umer hi hai " abeera ye suntay hi jahan khari thi wahein ruk gae ... phir dheere se sharmai jab umer ne uss ka hath thama aur uss me bari rang barangi choriyan pehnane laga jo wo uss ke liye laya tha ..... ujlat me uss ne choriyan dekhi hi na thein ...... jab wo choriyan pehna chuka to abeera ne apna bath churanaa chaha ..... umer ne muskurate huwe hath bare aaram se chora aur kaha
" kal aunga mein ...inn hathoon par mehndi dekhne " ..... uss ko jumla jese hi mukammal huwa abeera ko mehsoos huwa ke koi neche aane wala hai ..... umer dou seconds mein wahan se ghaib huwa tha ...
...................................................................................................................

Aaj eid ka din tha... khushiyoon ka ....inamm ka ..raat ko bari koshishoon ke bad eid ka chand nazar aa hi gaya tha .... umer ke ghar se sab log aee the lekin ....wo kahein nahi tha ....abeera uss ki mun boli behnoo se pochna chahti thi jab kisi ne uss se pehle hi pucha
" umar nazar nahi aaraha " wo muskurae shukar hai ke usse khud pochna nahi para ...sharmati jo thi wo
" pata nahi subba namaz parh ke aee the phir shayad kisi doost ke sath chale gae abhi tak koi pata nahi chala....lekin koi nai ajae ga ussse kahan jana hai " uss ne dehan nahi diya ke uss ke bad sab log kiya bolte rahay wo bas aram se kamrey me gai aur apna safeed frock utar kar ghar ke kapre pehn liye .... wo kyun nahi aya kyun .... kiya uss ne bhi puri duniya ke trha meri parwah karna chor diya hai ....abeera umer, umer farooq se sakht badguman hoo gae thi ......lekin .......sab ko fikar uss waqt shuru huwi jab raat ke 1 baje tak uss ki koe kher khabar nahi mili ..... wo jo uss se itni badguman thi ...dil me uss se gelay karne ki planning kar rahi thi ....jayenamaz par beith kar rote huwe keh rahi thi
" Allah plzz merey shohar ki hifazat farma mei uss se koi gela nahi karungi tujh se bhi koi gela nahi karungi ....ya Allah to uss ki hifazat kar .....puri raat uss ke shohar ka koi pata naa lag saka
..........................................................................................

Mohabbaat key naam...Tahanan ng mga kuwento. Tumuklas ngayon