Sathwa bab

158 14 10
                                    

Uss ne sirf " hello" kaha tha aur wo bhi boht mushkil se ... Phir  kuch deir chup rahi ....Wo asma thi jo ke bhaiyon ko sab kuch sach sach batane ki himmat krna chahti thi ..... Hamara zameer hamein gunnah karne se rokta hai phir gunnah ho jane ke bad us ka azala karne ko kehta hai ... Asma sherazi ka zameer bhi ussey majboor kar raha tha ke wo acchai ki taraf qadam barhae lekin bhai ki awax sun kar wo thar thar kanpney lagi kaha to bus itna ke " wo be gunnah hai usay chor dein " ye kehtey hi uss ne phone band kar diya aur mobile se sim nikal diya .... Us ke wajood par larxa tari tha..... Uss ke bhaiyoon ka khoon khool utha .... Umar ne aik bar phir kaha' "aap ko yaqeen nahi aya ?"
Dono ne usay ghoora ... Aur kuch bhi kahe bagher chaley gae ...
    ...................................................
" Abeera kesi hogi ... Sab log mere bare me kiya soch rahay hongay ....  Uff Allah ye kahan  phans gaya hun mei ... Us masum si larki ke hathoon pe lagi mehndi bhi mere intexar mei apna rang uss ke hathoon se hata chuki hogi " umer farooq ne taroon se bahre asmaan ko dekhatay huwe socha .....Khkuli huwi khirki se bahir dekhte huwe aik dam hi us ki naxar uss bhooray guard par pari ja ke shayad xiyada thak jane ki waja se so chuka tha .... Umer ke zehan mei second ke hazarway hissay mein ye khayal aya tha ke yahi farar ka rasta aur waqt hai ....  Bhoora guard ghar ka guard tha jab ke uss par aik aur guard bilkul uss  ke kamre ke bahir hi khara kiya gaya tha ... Ye ghar chonkay salman ka apna nahi tha iss liya raat ke waqt wo apne ghar chalay jaya kartey they ... Aik to security guard so raha tha aur dosri ghalti aaj muzamil( asma ka bhai ) kar ke gaya tha ... Aur wo ghalti ye khirki thi jo ke khuli chor di gae thi .... Umar ne tarkeeb laga kar khirki se nichey aane tak ka mission " pass" kiya aur phir boht khamoshi aur ahtiyat se farar ho gaya  ....!!
............................................................
Subha salman aur muzamil ko khabar mil chuki thi ke umar farar ho gaya hai wo dono security guardx par khoob barsey they ... Kamre ke bahir wale guard ko khayal hi na aya tha ke umar khirki se bhi bhaag sakta hai ... " agar wo bhaag gaya hai to usay apne ghar par hi hona chahiye " salman ne raey di ...
" mujhe nahi lagta shayad wo abi issi elaqe me mojud ho kyun ke usay pata hoga ke hum us ke pechey us ke ghar hi aengay " muzamil ne nafi mein sar hilatey huwe kaha"
................................................,..........
Umar ka irada tha ke wo kuch waqt ke liya ghar nahi jae ga kyun ke wo log uss ka ghar jantay thay ... Wo subh hotey hi uss shehar se nikal gaya .... Usay apne dost ke pass jana  tha filhal...!!
"From my side "
"Agar koi ghalti dekahi de ya koi point sahi na lage  toh plx dil me na rakhein mujhe zaroot baharein .... Thankx ..

Mohabbaat key naam...Tempat cerita menjadi hidup. Temukan sekarang