Pehle bab ka dosra hissa

506 22 17
                                    

"Chehra kyun sajaya huwa hai madam!!" Umar ne us ki soojhi ankhoon ki taraf ishaara kiya..
" nahi... Bas aisey hi..aap kab aey??"
Us ne ulta sawal kiya
"Abhi aya tha pata chala janab ka mood kharab hai to agaya " umar ne muskura kar kaha phir achanak pucha
"Khaney mei kiya tha aaj?"
"Palak ka saag " abeera ney uthtey kaprey jharey .. Umar bhi uth chuka tha ..
"Me ne khana nahi khaya .. Tum khilaogi??" Us ne matanat se pucha
"Ji aap jaein me aati hun "
"Lekin yar me akele kese khaonga tum bhi khana mere sath thek hai !!" Us ne baxahir farmaish ki thi lekin wo janthi thi ke wo use khana khilaney ke chakar me ye sab keh raha tha
"Thek hai "abeera ne foran hami bhar li wo beikhtiyar muskuraya
"Bhooki..banda aik bar toh mana kaarta hai na "
Wo hans di
" mujhe pata hai aap kanjus hein .. Bar bar dawat nahi dengey ishi liye"
Us ke baad un dono ne sath beth kar palak ka saag or basi roti khae thi
...........,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,.............
Umar farooq, apne chacha ke ghar rehta tha kyun ke us ke waledein bachpan hi me us jahaney fani se rukhsat ho chukay they .. Pehle pehel toh wo boht takleef me raha lekin phir dunya ke usool o rasm o riwaj ne use ye sikha diya tha ke jo takleef me rahe aur har wakt matam karta rahe toh dunya us ka sath chor deti hai ... Iss ko toh sirf do char din hi tassalli deni aati hai kuch arsa bad ye bewafa mehmoob ki tarha chor deti hai ... Zalim ban jati hai.. Aab wo maan , baap ko yad karta tha lekin dunya se chup kar .. Abeera se us ka rishta kafi purana tha ..
Abeera ayaz jo ke rukhsati ke baad abeera umer ban jati kyun ke umer ke sath 3 saal pehle us ka nikkah howa tha .. In dono ki zidagiyon me boht sey kirdar they magar abeera ke liya umar or umer ke liye abeera hi zindagi ke aham kirdar they...

Mohabbaat key naam...Donde viven las historias. Descúbrelo ahora