"Pushpa ji, hamen aapse kuch baat karni hai."
Bina knock kiye Haseena ne pushpa ji k office me enter karte huye kaha.
"kya hua Miss Mallik sab thik to hai na?"
"kya aap kal hamare ghar hamare liye shadi ka rishta Lekar aai thi?" Haseena ne bahut hi calmly question kiya.
"ismen galat kya kiya humne miss mallik?"
"pushpa ji aap samajh nahi rahi hai. Humne aapse pahle bhi kaha tha ki hum nikah nahi kar sakte, hamare liye wo option hi nahi hai, fir bhi aapne.....? Aapko pata hai ammi hamse khafa hokar baithi hai kyonki hum rishte k liye mana kar rahe hain." Haseena angry aur frustrated thi lekin fir bhi politely baat kar rahi thi.
"han to dikkat kahan hai Haseena? Jab aapki ammi ko koi problem nahi....."
"hamen problem hai Pushpa ji. Ammi hamari khushi dekh rahi hai lekin hamen unki khushi ki fikr hai. Agar hamare mamu aur mamijaan ko in sabke bare me pata chal gaya to wo ammi ko bahut pareshan karenge. Unka jeena haram kar denge wo."
"Par Haseena......"
"nahi pushpa ji. Ab hamen is sab par koi bahas nahi karni hai. Hum aapse guzarish karte hain ki aap ammi k jehan m ye sab baten na bhare."
itna kah kar Haseena wahan se chali gai. Uske jate hi pushpa ji ne Salma ji ka number dial kiya jo wo kal lekar aai thi.
"han Salma ji, hamen aapse milna hai." thodi der pause k baad. "han abhi sahi rahega kyonki Haseena bhi yahan hai to hum 20 minute me pahunchte hain haweli."
Pushpa ji khadi hokar jane lagi usi samay billu wahan aa pahuncha uske hath me kuch Files thi."maa, ye file sign kar do."
"abhi nahi billu, abhi hamen bahut jaruri kaam k liye jana hai." aur pushpa ji wahan se nikal gai.
———————————
Pushpa ji upar salma ji k room m chali gai thi. Rajiya aur ashraf khidki m se bahar Pushpa ji ki gaadi ko dekh rahe the."Pata nahi kaun hai ye aurat? Kal bhi aai thi. aur gaadi dekh rahe ho. Kafi mahangi hogi."
"kya rajiya tum bhi. Aisi gaadi to aaj kal koi bhi aira - gaira liye ghum raha hai. Kishton par hi to leni hoti hai."
apne shauhar ki baat sun kar rajiya uski taraf dekhne lagi. Ashraf ne jab use aise dekhte huye dekha to thoda jhijhakte huye kaha.
"kya hua rajiya? Tum mujhe aise kyon dekh rahi ho?"
"tumhare kahne ka matlb hai ki hum airon - gairon se bhi gye gujre hain, kyonki hamare pass to nahi hai aisi gaadi."
"lag to kaafi mahangi rahi hai waise. Arre tum fikr kyun karti ho begam. Ek baar tabrej khan haweli todne ka order pass karwa le fir to aisi do gaadiyan lenge. Ek tumhari ek hamari."
———————————
"Haseena ne aapko kuch bura bhala to nahi kaha na?"
"Apni parvarish par vishwas rakhiye salma ji. Haseena ko achche se pata hai ki use kisse, kaise baat karni hai. Apne gusse ko wo kabhi apne aap par hawi nahi hone degi."
"ye to hai. Bahut nek dil hai hamari bacchi."
"isliye to hum use apne ghar ki bahu banana chahte hain kyonki Krish k sath uski jodi bahut achchi lagegi. Unka swbhav bhale alag ho lekin soch ek jaisi hi hai."
"par Haseena ko kaise manaye?"
"Salma ji, aapne jo ye ruthne wali chal chali hai na bas yahi hamara kaam karegi. Aapki khushi k liye Haseena kuch bhi kar sakti hai. Kaise bhi karke hum Haseena ko mana kar rahenge."
—————————
Haseena ek bank se bahar nikli. Uske chehre par chinta aur aankhon me nirasha thi. Thaki si wo wahin pass m lage ek bench par baith gai.
"yahan bhi loan ka kuch nahi hua. Ya khuda hum kya karen? Sab jyada se jyada 10—15 lakh tak hi loan de rahe hain lekin ye to bahut kam hai. Hamen kaise bhi karke 80 lakh rupey jama karne hai aur wo bhi one month m. Hamari madad kijiye."
—————————————
Do week gujar chuke the. Haseena abhi bhi shadi k liye ready nahi thi. Pushpa ji ne usse dobara rishte ko le kar koi baat nahi ki lekin uski ammi ki narajagi abhi bhi jaari thi par Haseena apne faisle par atal thi ki wo shadi nahi karegi.Uski ammi se jyada use uske mamu aur mami k tane tension de rahe the jo chalte firte use ehsas karwa dete the ki uske pass na to jyada time hi tha aur na hi paise.
Divya k jijaji bank me the aur Haseena unse bhi mili. Unse milkar bhi kuch kaam nhi bana. Wo use bank se 50 lakh ka loan pass karwa sakte the lekin iske liye haweli k kagaz rakhne padte jo ki mumkin nahi tha.
Dusri taraf Ekta aur Pushpa ji bhi pareshan thi kyonki Haseena abhi tak rishte k liye nahi maani thi aur unke pass jyada time nahi bacha tha.
In sab me sirf ek insan khush tha aur wo thi Karishma Singh.
"Krish, tum itna muskura kyon rahi ho?"
"muskurane ki to baat hai na santu. Jab dekho tab nanad - bhabhi k chehre par barah baje rahte hain."
"kaun nanad-bhabhi? Krish tum kya kisi serial ki baat kar rahi ho?"
"uff ye serial wali masumiyat santu ji. Krish kisi serial ki nahi balki apni amma aur bua ki baat kar rahi hai jo aapas me nanad - bhabhi hai."
"ha to tum unhen amma aur bua kyon nahi bula rahi?"
"kahe ki unhone kaam hi aise kiye hain. Un dono ne mil kar humko churan banaya. Us time hum nahi samajh paye ki wo dono hamen emotional blackmail kar rahi hain. Aur hum topa insan de aaye unko Vachan. Par jo bhi ho unhen yun pareshan dekh kar hamare man ko jo sukun mil raha hai na hum bata nahi sakte."
"par krish wo dono pareshan kis liye hai?" cheeta ne sawal kiya.
"unko na hamare pasand ki ladki nahi mil rahi hai. Ab tak to pura Lucknow.......arre Lucknow ka pura UP khoj liya hoga aur humko to lagta hai ki jald hi amma bua ko lekar apna mayka yani ki pura Rajasthan bhi khoj dalengi."
"Fir to mujhe bhi unki help karni chahiye." Santu ne danton m ungli daba kar kaha.
"kyon Santu ji, aap aisa kyon kah rahi hai?"
"han tum kahe unki help karogi."
"wo kya hai na Krish ki tumhari sagai aur haldi k liye m already dresses le chuki hun aur agar aunty ji aur pushpee ko ladki na mili to saree shopping waste ho jayegi."
"uff ye......."
"chup karo tum dono. Santu tumse kisne kaha tha ki...." Karishma bolte - bolte ruk gai kyonki Santu aur cheete k chehre par shocking wale expression the aur wo uski taraf dekh bhi nahi rahe the.
Karishma ne dekha to Canteen m persent har insan k chehre par wahi expression the aur sabka dhyan uski or tha lekin us par nahi tha. Usne apne side m dekha to wahan apne ghutne ke bal Alisha baithi thi aur uske hath me ek red rose tha.
"E ka bakaiti hai." ekdum se uthte huye usne kaha. "ka kar rahi ho tum?"
"I love you Krish. will you be my girlfriend."
"tumhari maiya ki sasu maiya. Khadi ho jao. Aur ye sab natak kahi aur jakar karo."
"ye natak nahi hai krish. I truly love you."
"true love ki bate tum na hi karo Alisha. Abhi kuch din pahle shashank ko chhoda aur ab humse ishq ladane chali ho."
"tumhare liye hi to chhoda tha. Shashank k sath pyar nahi tha lekin usse mujhe koi fark bhi nahi padta tha kyonki baki sab mil raha tha lekin fir tumse pyar ho gaya aur...aur isliye maine use chhod diya."
"Alisha tumko nahi pata ki kaise hum khud ko kabu kar rahe hain. Hamari najron k samne se door ho jao tum."
"par krish....."
"tum maro yahin. hum hi chale jate hain." Krish ne apna bag uthaya aur wahan se chali gai.
—————————————
Was it good or bad. Comment your feedback. - Preet
YOU ARE READING
Aur Pyar Ho Gaya
FanfictionKarishma singh is the only child of Gagan Singh and Ekta Singh. She is the heir of Singh industries. She is tomboyish. Although Her father and aunt support her but her mother is still struggling to accept the fact that her daughter is a lesbian. She...