Sacchai

1K 130 11
                                    

Haseena Cafe se nikal kar court pahunchi. Usne wahan se papers collect kiye aur auto lekar apne ghar ke liye rawana ho gai.

Raste m uske mind me Alisha ki baaten gunj rahi thi aur use ajeeb lag raha tha. Wo samajh nahi pa rahi thi ki do log aise rishte m kaise rah sakte hain.

Agar pyar saccha ho to apne lover k alawa kaise koi dusre insan k sath humbistar ho sakta hai aur kaise koi apne pyar ko kisi aur k sath.......

Haseena kubul nahi karna chahti thi lekin use Alisha aur Karishma k rishte se ghinn aa rahi thi. Lekin usne bhi to kitni baar logon ko gay relationship se ghinn jatate huye dekha tha par iska arth ye to nahi ki ye rishte galat hain bas log samajh nahi pate. Ho sakta hai ki Alisha aur Karishma ka rishta bhi sahi ho bas wo hi samajh na pa rahi ho.

"Kya karen? Shadi ke liye mana kar den?" Haseena ne apne aap se sawal kiya aur fir kuch der uska jawab dhundhti rahi. "Yahi sahi rahega. Hum ye sab sach jante huye us shakhs k sath rishte m nahi rah payenge. Hum kabhi bhi is rishte se bemani nahi karenge lekin unhen ye sab karte dekh bhi nahi payenge. Waise bhi wo 80 lakh sambhal kar rakhen hai humne. Unhen Pushpa ji ko lauta denge aur ye rishta tod denge."

Apna faisla kar Haseena ghar pahunchi. Ghar aakar seedha ammi ke kamre me gai. Unhen is time par sote dekh wo hairan ho gai.

"kya hua Ammi?" Haseena ne jaise hi unke hath ko chhuya to unhen garam paya. Usne jaldi se apna hath unke mathe par rakha to wo bukhar se tap raha tha. "ya allah, ammi ko to tej bukhar hai. Ammi....Ammi uthiye."

Haseena ki aawaz sun unhone apni aankhen kholi.

"Hasee, beta tu aa gai."

"Ammi aapko tej bukhar hai. Aapne hamen call kyon nahi kiya?"

"Hasee, thoda sa hi bukhar hai tu khamkha fikr kar rahi hai."

"thoda sa...." Haseena ne frustratingly kaha. "wo sab chhodiye, aapne kuch khaya tha?" Ammi ne han m sir hilaya to Haseena unke liye medicine le aai. "ye lijiye aur hum koi bahas nahi chahte."

Ammi ne bina kuch kahe dawai le li aur deewar ko ektak dekhne lagi. Haseena ko samajh me aa gya tha ki Ammi ko bukhar kisi tension ke karan hua hai.

"Ammi sab thik hai na?"

Haseena ka sawal sun kar Ammi apne jajwaton ko kabu nahi kar pai aur rone lagi.

"Kuch.....kuch thik nahi hai Hasee. Pata hai aaj Ashraf bhaijaan ke sath kuch log aaye the. Hamari haweli ka naap le rahe the. Hasee wo is haweli ko tod denge."

"Aisa kuch nahi hoga Ammi." Haseena ne unhe gale se laga kar chup karate huye kaha. "Abhi aapki beti jinda hai aur hamare rahte is Haweli ko kuch nahi hoga. Ye baat hum aapse pahle bhi kah chuke hain. Ab aap aaram kijiye."

Ammi bed par let gai aur Haseena halke hathon se unka sir dabane lagi. Kuch hi der me Ammi ko neend aa gai. Haseena wahan se uth kar seedhe apne kamre me gai. Usne apne bag se Papers nikale unhen padha aur fir bathroom me gai. Wahan lage mirror ko hataya to uske piche ek cabinate tha jise Haseena ne key se khola aur usmen se wo suitcase nikala.

---------

"Ye dekho Rajiya ye hai wo ghar."

Ashraf apni biwi ko kuch photos dikha raha tha tabhi Haseena aai aur unke aage Haweli ke papers fenk ke mare.

"Dastkhat kijiye."

Dono miyan - biwi use hairani se dekh rahe the.

"Kya hai ye?"

"Ye ownership transfer paper hai mamijaan. Inmen likha hai ki mamu apni rajamandi se apne hisse ki haweli bhi ammi ke naam kar rahe hain."

"Bhala hum aisa kyon karenge? Pagal kute ne kata hai hamen?"

Aur Pyar Ho Gaya Where stories live. Discover now