School corridor me billu nachte huye ja raha tha kyonki uske paas koi kaam nahi tha.
"Ye kya chal raha hai bille?"
Billu ne achanak se aai aawaj sunke piche ghum kar dekha.
"Karishma.....Sorry Krish madam aap yahan kaise?"
"Kyon aa nahi sakte hum?"
"Bilkul aa sakti hain, aap hi ka school hai jab jee chahe tab aao, mai to is liye puch raha tha kyonki maa bata rahi thi aaj aapka exam hai."
"Exam tha bille jise hum pura dekar aaye hain. Aadha chhod kar nahi bhage hain."
"Ye to bahut achhi baat hai. Ye to bataiye ki aapka exam kaisa hua."
"Arre puch hi mat, exam dekh kar aisa lag raha tha jaise 12th class ke student ko nursery ke questions de diye ho. Humne to aadha ghanta pahle hi finish kar diya sara paper. Log faltu me tension lete hain, aadhi - aadhi raat tak jaag kar padhte hain aur ek hum hai jo bina book khole exams me top kar jate hain." Karishma Billu ke kandhe par hath rakh kar chalte huye use ye sab bata rahi thi.
"Aapko pata hai Krish madam, mai bhi exams se pahle kabhi books nahi kholta tha aur is liye mai aaj yahan peon hun. Agar galti se book khol li hoti na to aaj principal ki kursi par maa ki jagah mai baitha hota."
"Bas bille bas. Ye bata ki mrs. Krish Singh kahan hain?"
"Kaun Mrs. Krish Singh?" Billu ne confusingly pucha.
Karishma ne apni eyes roll karte huye kaha.
"Mrs. Krish Singh yani hamari ardhangini, tumhari Haseena madam.""Oh ek minute." Billu ne use ishara kiya aur apni kalai par bandhi smart watch me kuch dekhne laga. "schedule ke mutabik Haseena madam ko 8th class west wing me hona chahiye. Han wahin unki class hai. Krish m....." Billu ne najren utha kar dekha to Karishma wahan se ja chuki thi.
Usne apne kandhe uchkaye aur fir se dance karte huye chalne laga.
-------------
Haseena class me padha rahi thi ki kisi ne door par knock kiya. Uske sath hi sab students ka dhyan bhi door par chala gya yahan Krish khadi thi.
"Krish ji aap?"
Karishma ne serious expressions ke sath kaha.
"It's Miss Singh for you. Jaldi hi hum school board ke member banne wale hai aur us se pahle hum school visit and inspection karna chahte the so this is an official visit miss.....?"
Karishma ne questioning eyes se Haseena ki or aise dekha jaise uska naam janna chahti ho.
Haseena us time Karishma ka jhuth pakad nahi payi thi is liye use laga ki wo sach me inspection par hai. Lekin use gussa bhi aa raha tha ki just because wo official visit par hai to bilkul strangers jaisa vyavhar karna jaruri thodi hai.
"It's Mrs. Haseena Singh Ma'am."
Tab tak Karishma class me aa gai thi aur uska dhyan board par tha jis par sanskrit me bada sa paragraph likha hua tha.
"To aap Sanskrit padhati hain?"
"No ma'am darasal ye urdu likhi hui hai aapko shayad Sanskrit dikh rahi hai."
Haseena ki baat sun kar sare students hansne lage. Krish thoda embarrassed feel kar rahi thi. Usne Haseena ki or lean karte huye whispering karte huye kaha.
"Haseena aap hamari bejti kahe kar rahi hain?"
"Thodi der pahle to aapko hamara naam tak nahi pata tha ab aap humse itna casually baat kyon kar rahi hain Miss Singh?" Haseena ne waise hi whisper karte huye jawab diya.
YOU ARE READING
Aur Pyar Ho Gaya
FanfictionKarishma singh is the only child of Gagan Singh and Ekta Singh. She is the heir of Singh industries. She is tomboyish. Although Her father and aunt support her but her mother is still struggling to accept the fact that her daughter is a lesbian. She...