Karishma ko Paal aunty ki baat soch kar gussa aa raha tha. Fir uske man me ek or baat aai jiske bare me sochte hi uska gussa gayab ho gaya.
"Waise Alisha sahi kahti hai, hum na ek number ke hypocrite hai. Abhi bol kar aayen hain ki hamari wife ka koi apman nahi kar sakta par kal raat humne gusse me unhen na jane kya - kya bol diya. Mante hai unki galti hai lekin galti to amma aur bua ki bhi hai lekin unhen itna galat bolne ke bare me hum soch bhi nahi sakte hain. Amma aur bua ne hamari apni hote huye hamare sath dhokha kiya fir miss Mallik to gair hain, Unse hum kya hi ummeed kar sakte hain."
Yah sab bolte huye Karishma ne fir se apna dhyan books me laga diya lekin uske man me ab guilt baith gya tha.
"Ama bhakk...... pahle hi itna kuch mind me ghum raha hai aur ab ye guilt aur ghumne laga. Bas padhai hi enter nahi kar rahi is khopdi me. Hey ma Sarswati, sabse important exam hai ye hamara, laaj rakh lena."
"Krish Ji."
Karishma ke kanon me jab ye aawaj padi to use laga jaise kisi ne uske kaan me chini ka ras daal diya ho, ya fir koi koyal uska favourite gaana ga rahi ho.
"Krish Ji."
ek baar fir se aawaj aai aur ye aawaj uske man ko sukun pahuncha rahi thi. Aaj se pahle use apna naam itna pyara nahi laga tha.
"Krish Ji." is baar naam pukarne ke sath - sath kisi ne uske kandhe ko chhuya. Usne palat kar dekha to uske piche Haseena khadi thi. Uske sukun wale expression fir se stern expressions me change ho gye.
"Krish Ji.....wo dinner ready hai."
"Aap humko Krish Ji kahe bula rahi hain?"
Haseena confusingly use dekhne lagi.
"To kya bulaye hum aapko?"
"Kuch bhi nahi." Karishma ne kaha aur wahan se chali gai.
—————————————
Sone ke samay Haseena jameen par apna bistar laga rahi thi ki use kuch yad aaya.
Usne Karishma ki taraf dekha jo notes bana rahi thi."Miss Singh...."
Karishma ne instantly Haseena ki or dekhte huye aankhen nikali.
"K...kya hua?" Haseena ne uska reaction dekh kar sankoch se pucha.
"Humko Miss Singh mat bulaiye."
"To fir kya bulayen?"
"Kaha tha na kuch mat bulaiye."
"Achcha thik hai."
Haseena ne kaha to Karishma fir se notes banane me lag gai. Fir Haseena ne uski or dekhte huye fake gala saaf kiya lekin Karishma ne koi reaction nahi diya.
"Suniye."
"Ka hai? Dikh nahi raha study kar rahe hain." Krish ne books se najren hataye bina kaha.
"Wo aapse kuch kahna tha."
Haseena ki baat ke baad kuch pal ke liye koi kuch nahi bola.
"Ab bolengi bhi ki ka kahna tha?"
"Thank you."
Is baar Karishma ne uski or dekha.
"kahe?"
"Jo aaj aapne hamare liye stand liya uske liye."
"Wo sab to natak tha, aapko to pata hai hamare man me aapke liye kaise vichar hai. Kal raat humne kitna sunaya tha aapko." Karishma ki eyes me guilt tha par wo accept nahi karna chahti thi.
"Ek couple ke darmiyan unke kamre ki char diwaron ke andar aur band darwaje ke piche chahe kitne hi matbhed kyon na ho, chahe kitne hi jhagde kyon na ho lekin dusron ke samne unhen hamesha ek - dusre ke sath khade rahna chahiye. Hamesha ek-dusre ka support karna chahiye."
YOU ARE READING
Aur Pyar Ho Gaya
FanfictionKarishma singh is the only child of Gagan Singh and Ekta Singh. She is the heir of Singh industries. She is tomboyish. Although Her father and aunt support her but her mother is still struggling to accept the fact that her daughter is a lesbian. She...