Shadi Ya Sauda

1.1K 131 17
                                    

Sagai ka din tha. Sab venue par pahunch chuke the. Mostly relatives Singh walon ke the because wo high society k log the and gay relationships ko accept kar chuke the.

Haseena ki taraf se mostly uski friends and neighbors the. Waise bhi unke jyada karibi rishte dar nahi the.
Sagai ka muhurt ho gaya tha. Karishma already stage par baithi thi aur usne royal blue pant suit pahna tha. Kuch hi der baad Haseena wahan aai aur usne red colour ki saree pahni thi.

Karishma ki najar us par padi to uske man m yahi khyal aaya ki she is so lucky.

Fir ring pahnane ki rasm hui pahle Haseena ne ring pahnai. Ring simple thi lekin Karishma ki ungli par jakar uski chamak hi badh gai thi.

Fir Karishma ne Haseena ko ring pahnai. Haseena ne jab wo ring dekhi to use uske itni kimti hone ka karan malum pad gaya tha.

Idhar Karishma soch rahi thi ki usne wo ring isliye kharidi thi kyonki wo sabse khubsurat thi lekin Haseena ki khubsurati ke aage uski sundarta fiki pad gai thi.

Aise hi sagai ka function khatm ho gya. Uske baad agle sab din haldi aur mehandi k rasmon me nikal gye.

Mehandi ki raat jab mehandi wali ne Haseena ke hath par nam likhne k liye pucha to ammi ne Karishma bol diya tha lekin Haseena ne use rok diya.

"Karishma nahi sirf Krish likhiye, wo kya hai na unhen Krish kahlwana hi achcha lagta hai."

Haseena ki is baat par uski friends ne use bahut tease kiya tha.

Fir din aaya shadi ka Karishma ne apni pasand ki hui sherwani pahni. Wo shadi ke liye excited thi lekin sath hi apne aane wale exams ko lekar tension m thi. Upar se wo santu ko dekh kar hairan thi kyonki use apne exams ki to koi tension hi nahi thi. Aisa lag raha tha uski life ka sole purpose hi Krish ki shadi k liye kharidi dresses pahanna tha jo complete ho gaya tha aur ab use jeewan se kuch nahi chahiye tha.

Shadi ke din uski amma ne usko dekh kar khub aansu bahaye. Kuch is khushi me ki unki beti bahut hi sundar lag rahi thi. Kuch is gam me ki wo apni beti ko dulhan bane nahi dekh pai thi.

Ab baarat Venue par pahunch gai thi yahan mallik's side pahle se hi aa chuki thi.

Salma ji ne darwaje par Karishma ka sawagat kiya. Kuch der pooja karne ke baad Karishma mandap me baithi aur pandit ji ne dulhan ko bulane ke liye kaha.

Jab Haseena ko mandap me laya gya to use dekh kar Karishma ki heartbeat fast ho gai. Usne wahi lehanga pahna tha jo Karishma ne choose kiya tha. Lekin Karishma janti thi ki wo koi bhi lehanga choose kar leti Haseena ne itna hi khubsurat lagna tha kyonki real beauty to lehange ko pahanne wali thi.

Haseena uske paas aakar baithi aur shadi ka vidhi vidhan shuru hua. Karishma beech - beech me Haseena ko dekh rahi thi.

Uske baad Pandit ji ke kahe anusar Karishma ne Haseena ki maang bhari aur aisa karte samay kuch sindur uski naak par gir gya. Wo bahut cute lag rahi thi. Karishma ke chehre par smile aa gai. Usne apna rumal nikal kar sindoor saaf karna chaha par Pushpa ji ne use rok diya.

"Saaf mat karo Krish, shubh hota hai."

Uske baad Krish ne Haseena ko mangalsutra pahnaya. Jab Krish ke hath Haseena ki gardan par touch huye to uski puri body par goosebumps aa gye.

Dono ne ek - dusre ki aankhon me dekha.

Haseena ko to yakin hi nahi ho raha tha ki uski shadi ho rahi thi aur wo bhi ek ladki se. Samaj ke dar se usne is din k bare me sochna tak chhod diya tha.

Fir dono ke fere huye aur fere lete samay Karishma ne apne aap se man me kaha ki wo is rishte ko dil se nibhayegi. Haseena ke prati apne sare farz pure karegi.

"Vivah sampann hua. Aap dono ab apne bado ka aashirvad lijiye."

Pandit ji ke kahne par dono ne sabka aashirwad liya.

Vidai ka samay aa gya tha jo ki Haseena aur ammi k liye sabse mushkil pal tha. Haseena ko malum tha ki uske jane ke baad ammi bilkul akeli ho jayengi. Unka khyal kaun rakhega yahi soch - soch kar wo ammi ke gale lag roye ja rahi thi.

"Hasee hum jante hai tumhe kis baat ki fikr hai." ammi ne Haseena ki peeth sahlate huye uske kaan me kaha. "par tum fikr mat karo. Krish ne kammo ki bahan chanda ke parivar ko parmanent haweli me rakhwa diya hai. Wo hamesha hamare sath rahegi aur hamara khyal rakhegi."

Ammi ki baat sun kar Haseena ko thodi rahat mili aur sath hi Karishma ke liye uske man me respect bhi badh gai thi.

Haseena ki vidai hui. Haseena ka Singh Bhawan me dhumdham se swagat kiya gya. Uske baad kai sari rasmen ki gai.

Ring dhundhne wala game bhi khela gya jismen tinon baar Karishma winner bani. Wo apni jeet celebrate kar rahi thi ki uske papa bol pade.

"beta itna khush mat ho. Hamari shadi me bhi tinon baar mai hi jeeta tha lekin reality tumhare samne hai."

Gagan ki baat par sab hansne lage aur Ekta ne unki or aankhen nikali.

Aise hi raat ke 11 baj gye the aadhe log so chuke the aur bache huye New couple ko tease kar rahe the.

"accha bahut ho gaya. Bahu rani tum thak gai hogi na to chalo kamre me aaram karo." Pushpa ji ne kah kar Karishma ki or dekha. "Krish hum Haseena ko tumhare room me le ja rahe hain. Ye wahan fresh hogi tab tak tum guest room me fresh ho jao."

"Ji bua ji."

————————
Haseena washroom se bahar aai usne lehanga utar kar saree pahan li thi.

Pahle kamre par dhyan diye bina hi wo washroom me chali gai thi lekin ab uska kamre par dhyan gya tha. Wo room har kone se rose petals se saja hua tha specially bed.

Haseena ne room ko dhyan se dekha to wahan Karishma ki kuch pics thi. Kuch trophies bhi thi. Phir wo Karishma ki ek photo ke pass gai.

"Aap jaldi aaiye hum aapka intzar kar rahe hain."

———————

Karishma guest room me change karne ke baad apne kamre me jane k liye nikli to raste me pani pine k liye kitchen ki or chali gai. Kitchen se aati aawajen sun kar wo darwaje par hi ruk gai.

"Hum Karishma ka samna kaise karenge Pushpa?"

"bhabhi aap kyon tension le rahi hai. Krish ko kabhi bhi ye baat pata nahi chalegi."

"Lekin hum to jante hai na Pushpa. Haseena ne Karishma se shadi karne k liye 80 lakh rupey liye hain. Ye uske liye shadi nahi sauda hai aur hum ye baat achche se jante hain. Isliye mera man Haseena ko bahu ke roop me sweekar nahi kar pa raha hai. Jab meri ye halat hai to Jab Karishma ko pata....."

"Bas bhabhi ab is baat ko yahin dafan kar do. Krish ko kuch pata nahi chalna chahiye."

Yah sab sun kar Karishma ke pairon tale se jameen nikal gai thi. Uske andar kuch tut gya tha aur uski aankhon se aansu bah nikle the. Is se pahle ki uski amma aur bua usko dekhe wo wahan se chali gai.

——————

So kaisa tha chapter. Don't know when I will be able to post next part.

Aur Pyar Ho Gaya Where stories live. Discover now