Karishma ki jab aankh khuli to uske chehre par muskan thi lekin Haseena ko bed se gayab pakar uski muskan bhi gayab ho gai.
Wo jaldi se uth kar baithi to use aaine ke samne taiyar ho rahi Haseena dikhai di aur use dekh kar Karishma ki smile bhi laut aai.
Bangles dalne ke baad Haseena jab apni maang me sindur bharne lagi to Krish jor se chillai.
"Hum, hum, hum....."
Uska chillana sun kar Haseena chaunk gai aur Karishma ki or stunned expressions ke sath dekha jo bed se utar kar uske paas aa gai thi.
"Hum..." Paas aakar ek baar fir se usne apna shabd repeat kiya.
"Kya 'hum' Krish? Aap aise kyon chilla rahi thi?"
"Wo hum maang bharenge aapki."
Haseena ne use disbelief se dekha aur head shake karte huye kaha.
"Kal se hum dekh rahe hain aapka bartav bahut badla - badla hai."
"Aapko accha nahi laga hamara ye changed behaviour?"
"Humne aisa to nahi kaha."
"Par hamen laga jaise aap shikayat kar rahi hain."
"Aisa kuch nahi hai aur agar aapko hamari mang bharni hai to jaldi kijiye, hamen nashta bhi banana hai."
"Aap itni tension me kyon rahti hain, Kammo hai na wo bana legi breakfast."
"Kammo ko jhadu poche ka kaam karna hota hai Krish. Ab aapko maang bharni hai ya hum khud bhar len?"
Haseena ne sindoor ki dibiya Karishma ke samne karte huye kaha. Karishma ne badi si smile ke sath usmen se chutki bhar kar sindoor uthaya aur Haseena ki mang me bhar diya.
Fir usne Haseena ko gaur se dekha aur use ehsas hua ki uski wife kitni beautiful hai aur wo kitni lucky hai jo Haseena uski wife hai.
"Aise Kya dekh rahi hain?"
"Aap hamari wife hain." Karishma ne smile ke sath kaha.
"Accha ji, hamen to pata hi nahi tha. Ab hum jayen, aap ready ho kar niche aa jaiyega."
"Aapko humse door bhagne ki kahe lagi rahti hai. Aapko achha nahi lagta hamare paas rahna?" Karishma ne pout ke sath pucha.
"Aap aisi baaten kyon kar rahi hain? Pahle bhi to sab aisa hi tha, fir achanak se aapko in dooriyon se taklif kyon ho rahi hai?"
"Ho rahi hai. Kahe ho rahi hai ye humko nahi pata."
Haseena ne gahri saans li aur uth kar jane lagi lekin Krish ne use hath pakad kar rok liya.
"Aapko nahi hoti hamare beech ki duriyon se taklif?"
"Krish hamen nahi pata ki ek raat me aisa kya hua jo aap itna badal gai lekin yaad ho to aapne hi kaha tha hamen aapse door rahne ke liye. Humne door se hi apne sare farz nibhayen hain aur agar hamari taklif se tab aapko koi fark nahi pada to ab kyon pad raha hai?"
Karishma ne kuch nahi kaha aur dant piste huye washroom me chali gai.
Uske jane ke baad Haseena ko laga ki shayad usne kuch jyada bol diya tha. Karishma me change ki chahe kuch bhi vajah ho lekin ye change achha tha par shayad uski ki baaton se Karishma fir se pahle jaisi ho jayegi.
Haseena udas man se niche chali gai. Usne sabke liye breakfast ready kiya. Sab breakfast ke liye aa chuke the sivay Karishma ke.
"Ye Krish abhi tak kyon nahi aai?"
"Haseena tum Gagan ji ko breakfast serve kar do. Aaj unhen ek meeting ke liye jaldi nikalna hai."
"Han beta aapki mummy ji sahi kah rahi hain, hamari ladli ke karan kahin main late na ho jaun."
Haseena ne Gagan ke sath - sath Ekta aur Pushpa ji ko bhi breakfast serve kar diya. Sabne nashta kar liya tha lekin Karishma abhi bhi nahi aai thi.
"Karishma ki tabiyat to thik hai na Haseena?"
"Ji mummy ji, tabiyat to thik thi unki."
"Ama humko pata hai ye ladki office ka koi kaam karne lag gai hogi. Bahu rani jao use room me hi nashta de aao."
Haseena nodded and nashta lekar apne room me gai.
Jaisa ki Pushpa ji ne predict kiya tha, Karishma work attire me ready ho kar couch par baithi laptop pe kaam kar rahi thi."Krish, aap breakfast ke liye kyon nahi aai?" Haseena ne breakfast table par rakh kar uske paas baithte huye pucha par Karishma ne use puri tarah ignore kar diya. "Naraj hain aap humse?"
Is baar bhi Haseena ko same reaction hi mila.
"Achha hamara gussa nashte par to mat nikaliye. Chaliye breakfast kar lijiye."
"Humko bhukh nahi hai." Bina laptop se apni najren hataye Karishma ne jawab diya.
"Thoda sa to kha lijiye." Fir se Karishma ki taraf se use koi uttar nahi mila. "Achha hum apne hathon se khilayen?"
Karishma ke hands kaam karte - karte ruk gye. Offer kaafi tempting tha aur ye to wahi janti thi ki jab Haseena use apne hathon se khilati hai to khane ka taste hajar guna badh jata hai.
Haseena bhi Karishma ke inner turmoil ko samajh gai thi is liye bina der kiye usne nivala lekar Karishma ke samne kar diya.
Karishma bhi jyada nakhre nahi dikhana chahti thi is liye laptop side me rakh, Haseena ki or face karke baithte huye usne wo nivala kha liya.
"Aapne breakfast kiya?"
"Hum kar lenge baad me."
Haseena ne agla nivala Krish ki taraf karte huye kaha lekin Karishma ne Haseena ka hath pakad kar wo nivala uski or kar diya. Haseena ke chehre pe smile aa gai.
Aise hi dono ne ek - dusre ko khilate huye breakfast complete kiya.
"I am sorry Krish, hamen aap se aise baat nahi karni chahiye thi, khamkha aapko naraj kar diya."
"Hum aapse naraj nahi hain, hamari ye narajagi apne aap se hai." Karishma ki baat sun kar Haseena ne questioning look diya. "Wo ka hai na ki aapne jo bhi kaha wo sab sahi hai. Aap to jaisi thi aaj bhi waisi hi hain lekin hum bin pende ke laute ki tarah ludhkate rahte hain. Kabhi aapko khud se door rahne ke liye kahte hain to kabhi aapka door jana taklif deta hai. Kabhi aapse baat tak nahi karna chahte to kabhi lagta hai ki sirf aap hi se baaten karte rahen. Aapke bhi to bardasht ki ek had hai aur humne majbur kar diya aapko wo had langne ke liye. I am sorry."
Karishma ne sad face ke sath apni baat puri ki jise sun kar Haseena ko laga ki uski baat ne Karishma ko bahut hurt kar diya tha aur use khud ko dosh dene ke liye majbur kar diya tha. Us par se apni vajah se Karishma ko udas dekh kar Haseena ko bura lag raha tha.
"Krish, aap kuch jyada hi soch rahi hain. Accha purani baaton ko bhool jaiye aur ek nai shuruat karte hain. Krish kya aap humse dosti karengi?"
Haseena ne Karishma ki taraf hath badhate huye kaha. Karishma ne kuch seconds ke liye uske hath ko dekha fir apna head no me nod karte huye kaha.
"No."
"Aap humse dosti nahi karengi?" Haseena ne shocked hokar sawal kiya.
"Nahi hamen dosti nahi kuch or karna hai?"
Karishma ne Haseena ki aankhon me dekhte huye kaha jis se wo nervous ho gai. Apni najre ghumate huye Haseena ne sawal kiya.
"Kuch or matlab?"
Karishma Haseena ke thoda paas aakar baith gai aur dheere se kaha.
"Aapko date karna hai hamen. Aap chalengi hamare sath date par?"
———————
YOU ARE READING
Aur Pyar Ho Gaya
FanfictionKarishma singh is the only child of Gagan Singh and Ekta Singh. She is the heir of Singh industries. She is tomboyish. Although Her father and aunt support her but her mother is still struggling to accept the fact that her daughter is a lesbian. She...