♫︎Jannate dar yahi,
Tu dikhe kyu nhi?♪
♪Chand suraj sabhi,
Hai yaaha...aa♫︎♥︎
.Next day.
Y/n: Haa, or sneha thanks for that book...
Sneha: kyu thanks? Tu pagal ho gayi jo tu mujhe thanks bol rahi hai or wo bhi sirf ek book ke liye...
Y/n: Behen tu nahi samajh sakti us book ke wajah se puri zindagi palatne wali thi meri!
Wo or sneha haste hai us din wale scene ko soch kar. Or tabhi bell bajti hai or y/n stunned ho jati hai.
Y/n: Itni jaldi?!
Sneha: Kaha hai jaldi, time ho chuka hai chutti ka. Chal ghar!
Y/n hasti hai or apna bag pack karti hai or wese hi wo log corridor ki taraf chalne lagte hai baate karte hue, kuch samaye baad jab wo dono thoda bahar aa jate hai jo kisiki aawaz aati hai jo Sneha ko bulata hai.
???: SNEHA!!
Wo us direction mein dekhti hai ke use kon aawaz de raha hai or dekhte hi uske chehre par ek smile aa jati hai, wo y/n ka haat pakad kar use us insaan ke paas le jati hai jiske paas y/n ka mann nhi tha jaane ka.
Sneha: Tanveer bhai! Aap Roz mujhe ab lene aa rahe ho?! Kyo?
Tanveer: Meri marzi, or tujhe mere saath jaane mein koi problem hai kya??
Sneha apna sir naa mein hilati hai or Tanveer ka glare y/n ke upar padta hai, jo niche dekh rahi thi or yu kahe ki kahi or kyuke use us Tanveer ke chehre ko dekhna hi nhi hai. Wo use ek whole blank face se dekhta hai tabhi y/n apni mundi ghumati hai or un dono ka eye contact ho jaata hai. Y/n ko uske face ko dekh kar hi gussa aane lagta hai par wo kuch nhi kehti or sirf uski sukhi si aankhon mein dekhti hai jisme sirf thoda guilty feel tha. But wo ye baat ko ignore kar ke Sneha se kehti hai.
Y/n: Okay, bye! Ab tu bhi jaa or mein bhi jaati hu....
Wo ye kehkar jaane hi wali hoti hai ke Sneha uski wrist pakad kar usse puchti hai.
Sneha: Tum jao or mein bhi jaati hu, Iska kya matlab?!! Tu humare saath aa rahi hai...
Y/n: Mein nhi aa rahi hu!
Sneha y/n ko mimick karti hai but y/n ki tone is bar serious hoti hai uski aankhon mein bhi sirf gussa tha.
Tanveer: Wo aa bhi nhi sakti kyoke maine sirf bike layi hai, naa ki car!
Y/n Sneha se haat chudh wa leti hai or uski taraf ek smile se kehti hai.
Y/n: Tu jaa, mein chali jaugi!
Tanveer: Nautanki baaz!
Wo mumble karta hai but y/n ye sun leti hai or apni eyes roll karti hai, ye Tanveer ki aankho se andekha nhi hota or wo use ek death glare deta hai par y/n bhi ek death glare deti hai.
Sneha: Abe mein bhi hu!! Yaha!
Y/n: Haa to?!
Sneha: Tum dono ke beech chal kya raha hai aankhir? Ek dusre ko bina dekhe ek second bhi nhi raha jaata?!! Wahh kya pyar hai!!?
Y/n+Tanveer: Shut up! Ye koi pyar nhi hai!! Par nafrat zarur hai!!
Wo dono ye ek saath uske taraf kehne ke baad ek dusre ko glare se dekhte hai or y/n last time ek smile se Sneha ko dekhti hai or phirse face change karke Tanveer ko glare deti hai, phir wo waha se chali jati hai.
Tanveer: Saali! Pata nhi kis ki aulaad hai!!
Sneha: Bhaiya! Esa naa bolo uske baare mein!
Tanveer: Chup beth or chal!
Wo chalne lagta hai or wo use ek choti bacchi ki taraf follow karti hai..
___________________
Y/n: Haa, or mujhe bohot likhna bhi hai...
Aditya: Accha theek hai tu jaakar likh le, mein kar duga ye....
Y/n: Aa..ap..?
Wo ek stunned face ke saath kehti hai kyuke uske chacha aaj uske liye bartan dhone wale hai, Wahh!!!
Aditya: Kyu?? Mein bartan nhi dho sakta ky?? Or wese bhi mujhe saara kaam tumhare bharose nhi chodna chahiye. Tumhe bhi padhai hai! Jao..mein kar luga ye...nhi to bol duga tumhari bua ko...
Y/n bas haa mein sir hilati hai or waha se chali jaati hai. Thodi der baad jab wo apne kamre mein padhai kar rahi thi tab use ek awaz aati hai to wo kitchen ki aor aati hai to dekhti hai.
Shristi: Ye hai tera tarika, tu tere chacha ji se kaam kar wa rahi hai! Sharam nhi aati kya tujhe!? Huh! Wo kaam kar rahe hai wo bhi orto wale or tu jaakar apne bed par aaram se bethi hui hai! Wah!
Y/n: B-bua ji mene to n-nhi bola tha par chacha ji ne hi---
Shristi: Chup!! BOHOT ZABAAN CHALNE LAGI HAI! DEKH RAHI HU NA MEIN! TU ROZ ROZ ITNI KHUSH KESE DIKHTI HAI....COLLAGE MEIN HUMARI NAAK TO KATWA KAR HI AAYEGI! DEKH LENA EK DIN!!
Esa bolkar shristi waha se chali jaati hai ek gusse wala muh banakar. Y/n bas apni mundi niche rakhti hai or use wo saare pal yaad aate hai jisme usne Tanveer ke saath wo shabd bole the. Pata nhi kyu lekin humesha use wohi scene uske dimaag mein ghumta rehta hai. Uske chacha ji kuch nhi kehte or bas apne kaam mein lag jaate hai. Wo bhi apne kamre mein chali jaati hai par uske dimaag mein wohi baat ghum rahi thi.
________________
Y/n: Accha, to kya maa ne ye kabhi pehna hi nhi tha?
Aditya: Nhi! Maine bataya to Megha bhabhi ne ye tumhare liye liya tha....Wo chahti thi ke ye tum pehno. Par afsos ki wo dono janm dete hi......
Wo shant ho jate hai or y/n bas us necklace ko dekhti hai. Use mann me bohot se sawal the par wo un sabko ek taraf rakh kar yehi sochti hai ke uski maa ne sirf uske liye uss zamane mein ek whole diamond ka necklace aakhir kese le liya?? Vo to kabhi ek diamond ke necklace ke baare mein soch hi nhi sakti!! Kyuke wo kitna costly hota hai!
Y/n: mein ise zaroor pehnugi or alia ko bhi bataugi!
Aditya: Zaroor! Uski shaadi mein...
Wo haste hue apne necklace ko dekhti hai par use ye nhi pata ki dono taraf se ab uski life mein tufaan aane wala hai. Ek aakhri nishani uske maa baap ki wo shayad khone wali hai? Yaa fir shayad wo is sheher se hi dur hone wali hai...shayad phir wo kabhi khush na ho firse??
___________________________________
Next part mein dekhte hai ke kya hone wala hai??
Till then stay healthy and happy lovies!
आप पढ़ रहे हैं
~ 𝑺𝒂𝒄𝒄𝒉𝒂 𝒑𝒚𝒂𝒓 ~ [ˢʰᵒʳᵗ ˢᵉʳⁱᵉˢ] ✔
Fanfiction"𝑾𝒐 𝒌𝒚𝒂 𝒋𝒂𝒂𝒏𝒆 𝒔𝒂𝒄𝒄𝒉𝒂 𝒑𝒚𝒂𝒓 𝒌𝒚𝒂 𝒉𝒐𝒕𝒂 𝒉𝒂𝒊....." ___________________________________ 𝐓𝐡𝐞 𝐟𝐚𝐧𝐟𝐢𝐜𝐭𝐢𝐨𝐧 𝐈 𝐚𝐦 𝐠𝐨𝐢𝐧𝐠 𝐭𝐨 𝐰𝐫𝐢𝐭𝐞. 𝐈 𝐰𝐢𝐥𝐥 𝐰𝐫𝐢𝐭𝐞 𝐢𝐭 𝐢𝐧 𝐡𝐢𝐧𝐝𝐢 𝐛𝐞𝐜𝐚𝐮𝐬𝐞 𝐢𝐭 𝐢𝐬 𝐠𝐨�...