20

870 56 1
                                    

♫︎O re lamhe tu kahi mat jaa

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

♫︎O re lamhe tu kahi mat jaa.
Ho sake to umr bhar tham jaa♪

Jiya jaaye na, jaye naaa...♫︎
O...re....piya...reee.....♪

♥︎

.A week ago.

Anamika: Acche se lock kar lena sab kuch sone se pehle...or khana banakar rakha hai kha lena...kuch kaam karne ki zaroorat nhi hai hum aaj aajayege.

Shristi: are ab chalogi bhi ya bolti hi rahogi...use sab maaloom hai or shaadi hone wali hai uski akele rehna to Aaana hi chahiye na ab...

Anamika: accha mein jaa rahi hu, dhayan rakhna...

Wo last time y/n ke forehead par ek peck deti hai or use smile karne ko kehti hai. Wo dono ek dusre ke taraf smile karte hai or phir Anamika niche chali jaati hai, wo log ek shaadi mein jaa rahe jo ke arjun ke kisi rishtedar ki hai to isiliye y/n nhi jaa rahi hai. Uske chacha ji, chachi ji, bua, or Raghav hi jaa rahe hai. Y/n ghar par akele rehne wali hai aaj. Din mein to use koi kaam nhi karne hai par use raat ka dar hai....kyuke wo raat mein darti hai akele rehne mein par aaj use himmat dikhana hi hoga. Wo last time sabko Tata bye bye kar ti hai or andar chali jaati hai, wo darwaza lagane hi wali hoti hai ke tabhi koi opposite side se thoda push karta hai y/n dekhti hai or use ranjana aunty dikhti hai, wo smile karti hai or unhe namaste bhi jab wo ghar mein enter ho jati hai.

Ranjana: Or tum akeli ho na??

Y/n: haa...

Ranjana: sambhal logi? Anamika ne mujhe kaha hai ke agar koi bhi cheez ki tumhe zaroorat ho to be jhijak kehna...kya?

Y/n: zaroor aunty....

Wo dono ek dusre ke taraf smile karte hai y/n, unhe bethne ke liye kehti hai or chai bhi lene ka bolti hai par wo nhi kehti hai or chali jaati hai. Y/n darwaze khidkiya laga kar apne kamre mein jaakar beth jati hai, wo Raghav ka used phone haath mein leti hai or use dekhne lag jati hai.

________________

.In evening.

Y/n ke saare kaam khatam ho jaate hai or wo hall room mein aati hai. Tabhi use ek cheez ki awaz aati hai jo phone mein se aa rahi thi. Wo turant jaa kar dekhti hai to usme ek message aaaya tha wo bhi Sneha se as usne unka number save nhi ki thi par waha ye baata raha tha ke wo Sneha se hai.

Y/n: na hi isne mujhe apna number diya na hi mene...phir...?

Wo ek soch ke saath message ko dekhti hai jisme likha hota hai.

"Y/n, please mere ghar aajayo...mujhe tumhari bohot urgent help chahiye...!! Please..."

Y/n ko us message ko dekh kar ek alag hi feeling aati hai, or ek taraf wo confuse bhi thi ke ye message kese aaya?? Or use kese pata chala y/n ke number ke baare mein.

Y/n: shayad maine use bataya hoga mein hi bhullak kad hogi jo yaad nhi rakha...

Wo esa bolti hai or phir sochti hai ke Sneha ko is time par uski kya help chahiye hogi??

Y/n: uske ghar par to sabhi hoge na? To meri kya esi help hogi..?

Wo soch me pad jaati hai, par uska ek or message aata hai.

"Y/n please aaja, mujhe teri bohot zaroorat hai..."

Y/n: OMG kahi usko kuch ho to nhi gaya...

Wo ye sochti hai or uski aankhe badi badi ho jati hai, bure khayalat uske mann mein aane lagte hai or wo uthti hai sofe se.

Y/n: mujhe jaana chahiye...

Ye kehkar, y/n apna phone wahi chodh kar, bahar ki aor chalna shuru kar deti hai. Darwaza lagakar wo muh ko baand kar ghar se baahar nikalti hai. Taaki use koi pehchan na paye. Uske ghar walo ne kaha tha ke agar wo raat tak nhi aate to wo kal bhi aa sakte hai, or sneha ko jo bhi help lag rahi hogi wo y/n Minto mein khatam kar kar wapis aa jayegi. Ye wo sochti hai par use ye nhi pata tha ki uski soch se bhi zaida waha hone wala tha. Pure soonsan raste par y/n uske ghar tak chalkar jaati hai, halaki uska ghar zaida dur nhi tha par phir bhi y/n ke per dard karne lage the, kyuke subha se wo bohot kaam kar rahi hai or becheni ki wajah se ke ghar mein koi nhi hai koi billi wagera agar ghus gayi isiliye wo dhang se bethi bhi nhi thi. Wo uske ghar pohochti hai or dekhti hai ke bahar ke jo aadmi log the wo wahi par so rahe the, y/n ek devilish smile karke dheere se andar chali jaati hai or dabe pao gate wapis lagakar waha se jaldi se andar chali jaati hai. Wo andar ghar ke jaati hai to dekhti hai ke pure ghar mein lights off the. Or har jagah andhera tha. Wo ye dekh kar Sneha ke liye or bhi zaida worried ho jati hai.

Y/n: iske ghar par kabhi itni shaanti or sannata nhi tha?? Balki iska ghar to hamesha chamak ta tha raat mein! Aaj ky ho gaya?? Kahi Sneha ko kisine--- nhi nhi...esa nhi ho sakta mujhe lights on karne chahiye pehle...

Wo ye kehkar, lights ke switch ko thundti hai or thodi der mein use wo mil jaata hai. Wo pure hall ki light on karti hai to dekhti hai ke waha koi bhi nhi tha. Wo confuse hoti hai or sochti uske kamre mein jaane ka. Wo sidiyo se upar jaati hai apne muh ko kholne ke baad.

Y/n: S-sneha... T-tu hai kya?? D-dekh mein aai hu...tujhe help chahiye thi naa...b-bahar nikal dara mat...

Y/n ye bohot dari hui voice mein kehti hai kyuke, sachme use waha akele bohot dar lag raha tha ek to itne bade Ghar mein wo kabhi nhi rahi to isiliye. Tabhi wo upar ke kamre mein check karti hai par wo lock hota hai to wo dusre kamre mein dekhne hi wali hoti hai ke use koi ek kamre ke andar kheech leta hai.

Y/n: a-ahh!!

???: Shhh...!!!!

Y/n, ek shock expression se use dekhti hai.

___________________________________

Can you guess who is he/she?? And why Sneha is asking for help when she have everything 🌚 bye bye🗿stay tuned 👀

~ 𝑺𝒂𝒄𝒄𝒉𝒂 𝒑𝒚𝒂𝒓 ~ [ˢʰᵒʳᵗ ˢᵉʳⁱᵉˢ] ✔जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें