💘||Hum Aapke Dil Mein Rehte Hai||💘

677 55 8
                                    

Continue from previous part

꧁☘︎☘︎☘︎🌹🌹🌹☘︎☘︎☘︎꧂

𝕃𝕌ℂ𝕂ℕ𝕆𝕎 𝔸𝕀ℝℙ𝕆ℝ𝕋

A young man of nearly 35 came

Man: wapas apne shahar aakar kitna sukun mil raha hai, finally apni bhaagdaud wali jindagi se break lekar apni Maa ko samay de payenge ham .

He came out of the airport and took a taxi to his house .

🏘ⓈⒾⓃⒼⒽ ⒽⓄⓊⓈⒺ🏘

An old woman opened the door and was surprised and happy on seeing her son

Lady: Anu, tu aa gaya beta (hugged him) nalayak bahut jaldi yaad aa gayi na apni Maa ki

AS: Kya Maa aap bhi , aap toh jaanti hai na ki humara kaam kaisa hai

Maa: han sab jaanti hoon mein , jyada bahane mat bana , chal aa ja andar, mein adrak (ginger) wali aur garma garam chai aur pakode (frites) le aati hoon .

AS: arre waah! Aaj toh maza aa jayega (he said making himself comfortable on the sofa)

Maa: is bar kitne din ke liye aaya Hai

AS: shayad hamesha ke liye

Maa: main kuchh samjhi nahin

AS: Maa woh darhsal yahan ke DSP mein transfer Le liya hai isiliye Ham yahan ke DSP hai ab

Maa: matlab ab tune vah agent wali job chhod di , chal achcha hai ab इधर-उधर bhatakna nahin padega tujhe.

AS: Aisa kuchh nahin Maa, jab jarurat padegi tab hamen mission per bhi jana padega.

Maa: achcha, mujhe to laga Tere khadoos boss ne Tera picha chhod Diya.

AS: Maa, uchadhikari Hai vah hamare

Maa: ek number ka pathar Dil insan hai, khud ko To Pyar se dushmani Hai dusron ko bhi yahi sikhata rahata hai.

AS: kya Ham itne dinon bad aaye hain aur aap yah sab baten lekar baithi hai

Maa: achcha Baba baten mat ghuma, main abhi aayi chai aur pakode lekar. (She went)

AS: pata nahin vah kaisi hogi, pure do sal Ho Gaye unse mile, kitna badal gayi hongi. Suna Hai SHO ban gai hai , hum jante the ki apna sapna jarur pura karengi woh. (He was thinking)

Maa: kis soch mein duba hai Anu (Maa said keeping the plate of frites and tea)

AS: kuchh nahin bus aise hi

Maa: achcha yah To batao apna Priye ko bataya nahin ki tu a raha hai

AS: nahi Maa, kafi vyast (busy)  the isiliye baat nahin huyi Hai . Ham एक-दो din mein baat kar lenge nahin to unse mil lenge to unke Ghar jakar.

Maa: jaisa tujhe theek Lage, vaise to aati hai vah mujhse milne lekin pichhle ek hafte se kafi vyast hai isiliye aayi nahin hai .

always with you 💗Where stories live. Discover now