Continue from previous part.....
LAKESIDE 🏞
HM: bahut khubsurat jagah hai , aapko is jagah ke bare mein kaise pata?
AS: ek bar ISI tarah aaye The yah jagah bahut acchi lagi aur abhi Apne kaha ki aapko koi Shan jagah per baat karni hai toh is jagah ka khyal aa Gaya . Aaiye vahan chalkar baithte Hain
They sat on a rock near the lake.
AS: kya kahana hai aapko kahiye (he initiated the conversation)
HM: hum college mein the jab hum Abhimanyu se mile. Vah hamara junior tha. Humari BF ka affair tha uske best friend se. Jab bhi ham donon Ko sath mein time spend karna padta ham donon Ke bhi Apne Sath le Jaya karte The taki unki family ko shak Na Ho. Isiliye hamari aur Abhimanyu ki dosti huyi. धीरे-धीरे ham donon bahut acche dost ban Gaye the aur ham aapke ghar bhi aate the, Maa Baba se bhi lagaav sa ho gaya tha humein. Humari studies complete hone ke bad bhi ham donon contact mein rahe. Hamare mummy papa toh ham 20 sal ki thi tab Gujar Gaye tab Se ham akele hi rahte the. Maa ne humse kaha tha ki ham unke Sath unke ghar mein unki beti ban kar rahe lekin tab humne mana kar diya aap to jante hain na Indian society Agar ham vahan rahte to log unki family ke bare mein ulte sidhe sawal karte. Abhimanyu ko humse pyar hone laga tha lekin ham use sirf apna dost mante the. Usne humse pyar karne Ki baat maa Ko batai, Maa bhi hamen pasand karti thi isiliye vah shaadi Ke liye man gayi . Jab unhone humse baat ki to Mana Nahin Kar paye Kyunki hamare mummy papa ke jaane ke bad unhone hamen ek beti Se bhi jyada pyar Diya. Aisa nahin hai ki ham yah sab beman se kar rahe the . Abhimanyu hamara itna achcha dost tha to it was easy for me to marry him bus kabhi use bare mein socha nahin tha per vah sab Achanak se hua. (She looked at him for any questions but he was just listening to her)
2 sal pahle ham donon ki shaadi Huyi, Abhi humse pyar Karta tha aur ham usse Nahin karte The yah baat vah jaanta tha aur usne kaha tha ki ham dost Bankar rah sakte hain ya FIR roommates. Humne bhale hi usse pyar Na kiya ho lekin humne decide kiya tha ki ham pura man se use Apna pati manenge. Abhimanyu sub inspector tha . Jab ham donon ki shaadi Hui use waqt ham Apne MS ka last year kar rahe the hi supported me in the studies too. धीरे-धीरे ham use pasand karne lage the. Uske birthday Wale din humne uski favourite dishes banae the aur uska intezar kar rahe the ki tabhi do log the stretcher per Ghar le aaye, he was dead (a sob escaped her mouth) . Hamari to Jaise do pal ke liye saanse atak gai. Bhale hi pyar Na kiya ho lekin ek bahut achcha Sathi tha vah. Ek encounter mein uski maut Huyi.Anubhav kept his hand on her shoulder
AS: ham aapka Dard samajh sakte hain Apne pyar Ko khone Se jyada to Nahin lekin usse kam bhi nahin hota Apne best friend ko kho dena.
HM: ham donon ke bich Vishwas tha respect thi, sare ups and downs mein he was always with me. I was very lucky to have him or reseally humne faisla Kiya ki hum Maa Baba ka khyal rakhenge Kyunki jab hamen unki jarurat thi tab Abhimanyu aur Maa Baba ne hamara Sath Diya
AS: abhimanyu ji bhi bahut lucky the jo unhen aap Jaisi sacchi aur acchi dost Mili.
Haseena smiled at him lovingly
AS: ek sawal puchna tha, aapane kaha ki aapka Abhimanyu ji ki shaadi 2 sal pahle Hui Lekin Aadu to 5 sal ki hai?
HM: Aadu hamari biological daughter nahi hai (he was surprised) humne usse Abhimanyu ke jaane ke bad God liya taki is Ghar Ki Khushiyan Laut sake aur hamara akelapan bhi dur Ho. Ek sal pahle God liya lekin ab to hamari Jaan ban chuki hai.