Continue from previous part.....
𝔸ℕ𝕌𝔹ℍ𝔸𝕍'𝕊 ℍ𝕆𝕌𝕊𝔼
He was working when door bell rang and Anubhav open the door to find Maa and Baba
AS: uncle aunty aap dono , aaiye na
Maa: koi jaruri kaam kar rahe the tum , humne pareshan toh nahi kiya (she asked entering)
AS: nahi woh office ka thoda sa kaam tha, hum baad mein kar lenge . Aap baithiye na
Baba: ek jaruri baat karni thi tumse
AS: kya hua, koi problem hai
Maa: Anubhav beta, tum toh jante ho ki humne apne bete Abhimanyu ko ek hadse mein kho diya hai (he nodded)
Baba: jabse woh gaya hai Haseena akeli ho gayi hai aur Aadu ko bhi pita ki jarurat hai.
Maa: Abhi ke jaane ke baad Haseena gumsum si ho gayi hai
Baba: Abhi toh hum hai, lekin iss umar mein zindagi ka koi bharosa nahi hai aur jawani toh nikal jayegi lekin Humsafar ke bina budhapa nikalna bahut mushkil hota hai
Maa: haseena ki muskurahat bhi sirf aadu ke liye hoti hai. Uska akelapan dur kar sakte ho tum , Haseena ka jeevansathi bankar
Anubhav was hell shocked!! He didn't expect this
Anubhav: maaf kijiyega aunty uncle lekin hum ye Vivah nahi kar sakte
Maa Baba looked at each other
Baba: kyun , tumhen ye lagta hai ki Haseena tumhare layak nahi hai
Anubhav: aap log galat samjh rahe hai , Haseena ji toh bahut acchi hai lekin woh abhimanyu ji ko bhul nahi payi hai aur ye baat unki aankho me jhalakti hai aur hum unse woh yaadein nahi cheen sakte.
Maa: hum jante hai Haseena Abhi ko nahi bhula payi hai lekin uske akelepan ne uski aankhon ki chamak cheen li. Lekin agar tumhara yahi faisla hai toh yahi sahi
Baba: hum chalte hai, namaste {both left}.
Anubhav: ye kya tha bajrangbali, pata nahin haseena ji ko iss baare mein pata hoga ya nahin.
OBEROI MANSION
Maa Baba's roomMaa: Galti humari hai , jo bina Anubhav ki marzi jaane ye tay kar liya ki woh shaadi ke liye maan jayega
Baba: hum toh bas Haseena aur aadu ko khush dekhna chahte the
Maa: Anubhav hi Haseena ko samjh sakta hai aur uske liye ekdum sahi hai
Haseena was passing by when she heard their conversation but only the last thing
Haseena: humari shaadi, Anubhav se . Maa Baba ko humari chinta hai lekin Anubhav aisa soch bhi kaise sakte . Humein abhi ke abhi jakar Anubhav se sab clear karna chahiye.
𝔸ℕ𝕌𝔹ℍ𝔸𝕍'𝕊 ℍ𝕆𝕌𝕊𝔼 🏘
Anubhav was sitting in the living room when Haseena stromed in as the door was open