Part 4

431 38 5
                                    

Idhar Karan Faizi ko call karta hai.

Karan - Faizi, yahan city palace se nikal raha hu. Tu sambhal lena.

Faizi - Tum chinta mat karo Karan. Ham sambhal lenge.

Karan - Hmm

Faizi - Kya hua Karan tum kuchh khoye khoye se lag rahe ho?

Karan - Nahi to, main bas kuch soch raha tha. Rakhta hun... sambhal lena.

Faizi - Ha tu tension na le.
( Faizi wahan ke security head ko call karta hai aur sab handle karne ko kahta hai. Security head uski baat maan leta hai. But Faizi ke man me aaya ki kyun na ek baar dekh liya jaye ki aakhir aisi bhi kya khasiyat hai uss ladki me jise dekhkar Karan khud ko uski madad karne se rok nahi paya aur ab janab khoye khoye se hain. Ye sochkar Faizi security head ko wo recording use send karne ko bolta hai aur jab wo Monami ko dekhta hai to use Monami pahli hi nazar me pasand aa jati hai ofcourse Karan ke liye. Wo decide karta hai ki iss bare me Karan ke parents se baat karega )

Mahajan house 🏠

Niya  - Monu... Monu

Monami - Kya hua...aaj kahan chali Tufan Mel?

Niya - Monuuu maine kitni baar bola hai ki mujhe iss naam se mat bulaya kar.

Monami - Ab tu aati hi hai hamesha Tufan Mel ki tarah hai to wahi bulaungi na? Ye sab chhor, bta kyun bula rahi thi?

Niya - Ha main wo ye puchh rahi thi ki kal kya hua. Tujhe ladka pasand aaya ya nahi. Baat aage badhi ya nahi... Aur..

Monami - Bas...bas ...bas kar ja Tufa...fir tu bolegi ki main tujhe Tufan Mel na bulau. Tu harkaten hi aisi karti hai to main kya karu.

Niya - (Haath jodte hue) Devi aapko jo bulana hai bula lo par pls kal kya hua wo bata do.... kyunki mujhe jaanna hai yaar...

Monami use sab kuch batati hai sivay iske ki jisne use bachaya wo koi aur nahi balki Karan Shergill tha.

Niya - Ye le... dekhne gyi thi kisi aur ko aur pta aayi kisi aur ko. Tera hero to koi aur hi nikla. Waise tune face dekha tha uska.... obviously dekha hi hoga. Bta na kaisa dikhta hai wo...hot tha... handsome tha?... Main teri jagah hoti to ab tak uspe fida ho gyi hoti...hayeee

Idhar Niya ye sab bole ja rahi thi udhar Monami fir se Karan ke khyalo me doob gyi. Unknowingly uske chehre pe ek smile aa gyi.

Mumbai, Shergill house 🏠

Faizi Shergill house pahunchta hai.

Damyanti - Faizi tumhara hi intezar tha. Koi mili kya?

Faizi - Are aap khud hi dekh lijiye. I hope iss bar ladki apki pasand ki hai.

Faizi use recording dikhata hai. Damyanti ko bhi Monami pasand aa jati hai wo Vishwanath se bhi iss bare me baat karti hai aur use bhi MoRan ki recording dikhati hai jise dekhkar Vishwanath khush ho jate hain.

Vishwanath - Chalo iss Faizi ne iss bar to ek achha kaam kiya hai 😀😀

Damyanti - Mujhe to lagta hai yahi ek ladki mere Karan ko fir se ek "Zinda insaan" bnayegi. Uski udasi bhari zindagi ko fir se apne pyar aur parwah se sajakar khushiyon se bhar degi.

Vishwanath - Faizi ladki Rajasthan ki hai na?

Faizi - Ji.

Vishwanath - Details nikalo aur uske gharwalon se baat karke hamari meeting fix karo.

Faizi - Lekin Karan...

Vishwanath- Use hamne Phle hi time diya hai agar wo koi ladki pasand karta hai to bata de wrna use hamari pasand ki ladki se hi shadi karni padegi.

Damyanti - Ha aur mujhe to lagta hai ki use koi ladki pasand nahi aane wali sivay iske. Aap log dekhna ek din aisa zaroor aayega jab Karan ki pahli aur aakhiri pasand bas ek yahi ladki hogi.

Faizi - Thik hai aunty fir me details nikal wata hun aur meeting fix kar deta hun.

                              Idhar Karan apne show ke set par busy hai. ya yun kahun ki set par hai lekin busy hai Monami ke khyalo me.

Karan POV

Ye kya ho raha hai mujhe. Kyun main baar baar usi ke bare me soch raha hu. Nahi sari ladkiya ek jaisi hoti hain. Main kisi ko bhi apni zindagi ke sath ab koi khilwad nahi karne dunga. But baar baar wahi incident mere dimag me kyun ghoom raha hai. Kyun main wo sab bhool nahi paa raha hu...uska chehra...huh... Chhor na Karan aur kaam pe dhyan de.

Karan aur Monami dono ka kuchh aisa haal hai. Kya kabhi door hongi inke beech ki galatfehmiyan. Kya kabhi ye do adhure dil apne beech ki dooriyan mitakar ek ho payenge?

..
..
..
.
.
.

Janne ke liye vote aur comments ki barsat karte rahe aur apna pyar banaye rakhe.
Shukriya 🙏❤️


From Darkness To Light Where stories live. Discover now