Mahajan house, Rajasthan
Pradeep gusse me apne room me idhar udhar ghume ja raha tha.
Pradeep - Samajh nahi aata iss ghar ka kya hoga. (To rekha) phle to zid karke mere sath gaanv se yaha chali aayi aur upar se 2 - 2 betiya. Tumne aaj tak koi kaam aisa kiya hai jo main khush ho saku?
Rekha - ( Rote hue ) Han to nikal do ghar se. Kahin bhi rahun, jiyu ya maru par tum to chain se rah paoge.
Pradeep - Pta nahi kis manhoos ghadi me tumhe pasand karke shadi ke liye Han kah di thi. (Pointing towards Monami n Koel) ye jo 2-2 betiya di tumne ye bhi kisi kaam ki nahi hai. Padh likhkar bhi ghar pe hai.
Rekha - To kya karti wo? Zamana kharab hai ye kahkar tumhi ne job ke liye kabhi akele jane nahi diya aur khud apni Naukari ka bahana lagakar kabhi unke sath nahi gye. Wo to hamari betiyan itni achhi hain ki Maa baap ki baat maanti hai warna to ab tak kya kar chuki hoti.
Pradeep aur rekha issi tarah jhagadte rahte hain aur fir aise hi jhagda karte karte ghar se bahar chale jate hain aur sare padosi unhe dekhte hain.
Idhar rekha apne room me aur Monami aur Koel apne room me jakar rone lagte hain.
Koel - Di ye roz roz ke jhagde hamare ghar me hi kyun hote hain. Kab tak hame ye sab aise hi jhelna Hoga.
Monami kuchh nahi bolti bas chupchap earphones lagakar music sunne me busy ho jati hai but uski aankhe aansuon se bhari hoti hain.
(Writer's pov - aap log sochenge ki Pradeep aacha insaan nahi hai but sach ye bhi nahi hai kyunki sahi aur galat situation par depend karte hain hamari soch se nahi. Wo apni dono betiyon ko pyar bhi karte hain aur yahan Galat Monami, Koel aur rekha bhi nahi hai. Isliye yahan na koi galat hai na koi sahi )
Shergill house, Mumbai
Ek ladka jiske haath me ek ladki ki photo hai, us tasveer ko apni gusse se bhari nazro se dekhe ja raha tha
Ladka - Tumne wo sab accha nahi kiya Sneha. I know tum bhi aaj pachhta rahi hongi ki tumne mujhe dhokha dekar galti kar di par main bilkul bhi sad nahi hun janti ho kyu? Kyunki mujhe tumhara asli chehra jo dikh gya. Par ab ek baat hai tumne jo kiya uske baad mujhe ab har ladki se nafrat ho gyi hai. Lekin don't worry Main tumhare jaisa gira hua nahi hun jo kisi ko dhokha de. Main to sirf unhe unki asli jagah dikhata hun wo bhi bina ek din bhi miss kiye. Aur tum to mujhe janti hi ho Karan Shergill koi kaam adhoora nahi karta to ye kaam kaise bhool sakta hun.
Flashback
Media - wo dekho Karan Shergill. Aaj fir ek new girl. Yaar ye banda bhi na kya cheez hai. Har roz iski girlfriend change hoti hai. Aur aaj to Ritika ko hi le aaye.
Thodi der baad Karan aur Ritika parking ki taraf jate hain. Car me baithkar chale jate hain but Karan raste me car rokta hai aur Ritika ko car se nikalne ko bolta hai. Ritika Kuchh der bahas karne ke bad car se nikalti hai aur apne friend ko call karke bulati hai aur uske sath chali jati hai. Idhar Karan bhi ghar pahunchta hai.
Vishvanath - Aa gye Sahabzade... Damyanti kah do isse har roz nai ladki leke ghoomna band kare. Wrna mujhse bura koi nahi hoga. Mujhe to sharam aati hai ise apna beta kahte hue.
Karan chupchap apne room me chala jata hai. Damyanti bhi uske room me chali jati hai.
Damyanti - Karan, beta kab tak iss tarah akele rahoge. Kyun tu khud ko aise saza de raha hai. Aur....aur beta maine aur tere papa ne tujhe kabhi aise sanskar nahi diye the par...par tu kyun har roz ek nai ladki lekar uske sath.... mujhe to sochkar bhi....ghin aa rahi hai. Tu kyun karta hai aisa...
Karan - Maa kya apko bhi aisa lagta hai ki main unn ladkiyon ke sath kuch galat karta hoon... (smile sarcastically) huhh mujhe nahi pta tha meri Maa bhi mere bare me ye sab sochti hai
Damyanti - To tu ye harkate karta hi kyun hai. Band karde na ye sab.
Karan - Nahi Maa, main bas inn ladkiyon ko do pal ke liye hasata hun fir inhe bas aise hi raste par Chhorkar chala aata hun jab aisa karta hun na to lagta hai jaise maine apne sath justice kiya hai
Damyanti - Tu kab tak uss ladki ko yaad karte baithega jisne tujhe dhokha de diya. Aur kab tak uske kiye ki saza Dusri ladkiyon ko deta phirega Jo ho gya use bhool ja aur aage badh.
Karan - Aage hi to badh raha hun.
Damyanti - Nahi, tu aaj bhi usi dhokhe pe atka hua hai Karan. Bhool Ja use aur uske dhokhe ko. Dekh Main aur tere papa chahte hain ki tu shadi kar le. Ladki... jo tujhe pasand ho. Hame koi problem nahi hai.
Karan - Maa please..
Damyanti - Nahi Karan...iss bar nahi... tujhe shadi karni hi hogi wo bhi issi saal. Abhi February hai aur December tak mujhe tere sir par sehra saje dekhna hai. Aur jaisa maine kaha, Ladki tu dhoodh lena kyunki hame bas tere liye ek Achhi ladki chahiye jo tujhe khush rakhe. To achha hoga tu khud hi pasand kare nahi to main aur tere papa apni pasand ki koi ladki dhoodh lenge. Faisla tera hai. Sochna iss bare me.
Ye kahkar Damyanti chali jati hai aur Karan yahi sochte hue so jata hai.
Hello guys so this is the first part of the story. How's it? Do tell me in the comment section nd yes keep voting ☺️
YOU ARE READING
From Darkness To Light
Fanficslow updates 😜 story based on a simple girl and an actor who initially hate each other but ....ok just wait and read