Monami Karan ka khana usi chhote se garden me arrange kar karti. Wo ye sab karte waqt apne kaam me khoyi thi lekin Karan use continuously dekh raha tha lekin Monami ne wo sab notice nahi kiya. Wo wahan se ja rahi hoti hai tabhi Karan use aawaz deta hai...
Karan - Suno, I'm sorry wo jo kuch bhi andar hua. Main gusse me kuchh zyada hi bol gya.
Monami ek small nod deti hai aur kahti hai - See, main sorry to nahi kahungi aur na hi ye kahungi main galat thi par ha shayad maine zyada hi react kar diya shayad ham dono hi situation ko better handle kar sakte the.
Karan ye sunkar ek smile pass karta hai. Monami jane lagti hai.
Karan - Suno, ye khana to tumne yahan arrange kar diya lekin main yahan akela kaise I mean koi to sath hona chahiye company dene ke liye...
Monami andar dekhti hai sab khana khane me busy hain. Ye dekhkar wo apni chair Karan ke sath garden me hi arrange kar deti hai. Karan ye dekhkar man hi man smile karta hai.
At dining table
Karan - Waise, kya main puchh sakta hun ki wo aisa kya hai jo aap mujhse chahti hain?Monami - Wo..w..m
Karan - It's ok...relax. Pani piyo. (Karan use pani deta hai) ab batao kyunki agar mujhse kucch chahiye to mujhe batana to padega na.
Monami - Wo main music seekhna chahti thi but yahan kisi wajah se possible nahi ho saka. Aap to khud ek celebrity hain aur kaphi jaan pahchan bhi hogi industry me. Main aapse ye nahi kah rahi ki mujhe bina kabiliyat ke kaam dila dijiye, main bas itna chahti hun ki main khud ko uss kaam ke layak bna saku. To Bas....
Karan - Matlab aap chahti hain ki main aapke liye koi achha music teacher hire karu.
Monami - Hire nahi karna bas unse ek baar mila dijiye. Ya to Main khud apni kabiliyat se unke students ki list me shamil ho jaungi ya fir kabhi aapko apna chehra nahi dikhaungi.
Karan's POV
Shayad Faizi sahi kah raha tha. Monami jaisi ladkiya bhi issi duniya me exist karti hain.
Monami main nahi jaanta aage hamara rishta kaun sa mod lega par main aaj ye wada karta hoon ki tumhare iss sapne ko poora karne me tumhari madad zaroor karunga.Karan - Okk
Monami - Thanks
Karan - Ye thanks kaam hone ke baad ke liye bacha ke rakho.😊
Khana khatam karne ke baad MoRan bhi hall me aa jate hain.
Faizi - Are janab hamne to sirf tumhare khane ka arrangement garden me karaya tha par tumne to Monami ko bhi garden me rok kar apni pahli date celebrate kar li..nahi ? 😀
MoRan ek dusre ko dekhkar nazare churane lagte hain.
Koel - Waise di, first date enjoy to ki na?
Damyanti - Are bas bhi karo. Kyun bachho ko pareshan kar rahe ho.
Damyanti Karan ko Kuchh ishare Karti hai but Karan itni jaldi kahan maanne wala hai.
Damyanti - Are Monami beta, tumhara no. Mil sakta hai? Ab tumhara - Karan ka Rishta Jude na Jude par mera to tumse ek Rishta jud chuka hai na, Ma beti ka. To baatein bhi hoti rahengi.
Monami Damyanti ko apna no. Share karti hai. Karan being Karan, chahta to hai no. save karna but sabke samne show bhi nahi karna chahta. To bas rah gye janab hath malte hue 😄
Sab log Mumbai ke Nikal jate hain lekin Rajesh bahana bnakar Rajasthan me hi ruk jata hai.
Idhar Mahajan house me sab log apna kaam khatam karke apne apne room me chale jate hain.Monami n koel's room
Koel - Di, aapko kya lagta hai, ye Karan Shergill sahi banda hai kya aapke liye? I mean mana uske sath galat hua par har kisi ke sath itna rude hona aur Roz ek new GF leke ghoomna zaroori hai kya? Aur Kya aapke unki life me enter karne ke baad wo badlenge bhi ya nahi... Agar nahi badle to...
Monami - Koel tu kuch zyada hi soch rahi hai. Wo bahar se jitna rude dikhta hai utna wo actually hai nahi. Bas wo kisi ke samne apni wo side aane nahi deta. waise bhi dekha jaye to uske liye ladkiyon ki kami nahi hai but wo khud ke liye ek sachcha life partner chahta hai warna use uski GF ke dhokha dene se farq nahi padta. Lekin use farq pada iska matlab yahi hai ki use bhi pyar ki, care ki zaroorat hai aur main...
Koel - Aur aap...kya di...yahi na ki aap use wo pyaar, wo care, wo khushiyan dena chahti hain jo use ab tak nahi mili.
Monami ye sab sunkar ghabra jati hai.
Monami - Nahi mera matlab hai ki...
Koel - Rahne dijiye di, aapki baaton se saaf pta chal raha hai ki aap use pasand karne lagi hain. Mujhse to mat chhupao yar.
Monami ko samajh nahi aata ki wo iss baat pe kaise react kare.
Monami - Main sone jaa rahi hoon. Tu bhi so ja. Subah fir jaagne me nakhare karti hai Maharani.
Koel - Ha thik hai. Nahi accept karna mat karo par daant kyu rahi ho. Bas Ja hi rahi hu sone. Good night 🤗
Monami - Good night 🤗
.
.
.
.
.
.
.Don't forget to vote nd share ur views
Happy reading ☺️
YOU ARE READING
From Darkness To Light
Fanfictionslow updates 😜 story based on a simple girl and an actor who initially hate each other but ....ok just wait and read