Part 10

374 40 9
                                    

Next day Karan apni meetings khatam kar seedha Rajasthan ke liye nikal jata hai. Rajasthan airport se Rajiv ka beta Shashank use pick karta hai aur wo log ghar pahunchte hain.

Karan - Namaste uncle.

Rajiv - Namaste beta. (To his son - dekho ise itna bada star hokar bhi apne sanskar nahi bhoola aur ek tu hai jise din rat sirf parties ka bukhar chada rahta hai)

Shashank - Oh dad aap na dhyan se dekho ye wahi Karan hai jiske kuchh dino pahle tak  naye naye affairs ke charche news me aate rahte the.

Rajiv - Shashank, ye kya tarika hua Karan ke bare me baat karne ka. Ye to media wale kuchh bhi news dalte hain. Sab kuch sach thode hi hota hai. Unki rozi roti iss kaam se chalti hai.

Karan  - it's ok Uncle. I really don't mind. Um.. mujhe kaam hai to main aapko raat ko party me join karta hun.

Rajiv - Are beta khana to khakar jana.

Karan - Nahi Uncle, ek zaruri meeting hai to wahi kha lunga. Aap log kha lijiyega.

Ye kahkar Karan wahan se chala jata hai aur ek park me jakar ped ke neeche baith jata hai.

Karan's POV

Kyu bhagwan, aakhir mere sath hi ye sab kyu hua. Main jitna apne past se aage badhna chahta hun utna hi wapas peeche jane lagta hun. Magar main Monami par inn sabka asar nahi padne dunga. Main use kah dunga ki main uske liye sahi insaan nahi hun.  Wo mujhse kahi achha aur behtar insaan deserve karti hai. Ha yahi sahi rahega uske liye aur main uska achha dost bankar bas uski help karunga uske dream ko pura karne me.

      Dream.... dream mujhe Monami ko good news bhi deni thi. Abhi usse milne jata hun aur use ye good news deta hun.

POV ends

Karan Monami ke college se nikalne ka wait kar raha tha. Finally wo Monami ko bahar aate dekhta hai. Karan Monami ke pas ja hi raha tha ki uski nazar Shashank par padti hai jo Monami ke sath hi bahar aa raha tha.

Karan (in mind) - Ye Shashank Monami ka dost hai? ( Wo peeche se hi dono ko observe karne lagta hai)

Shashank - Chalo main tumhe ghar drop kar deta hun.

Monami - Are it's ok. Main chali jaungi. Tum jao waise bhi tumhare ghar me party hai aaj, to late mat hona.

Shashank - Are u sure?

Monami - Yeah.

Shashank - Ok bye. Take care. Ghar pahunchkar call zaroor karna mujhe.

Monami - Han ha kar dungi...

( Shashank apne ghar ke liye chala jata hai aur Monami Akeli hi uss raste se jane lagti hai. Tabhi kuchh log aakar Monami ka muh band kar use jabardasti gaadi me baithane lagte hain)

Monami - Chodo mujhe...chodo... Shash..ank

Karan daudkar wahan aata hai lekin wo log Monami ko lekar chale jate hain. Karan apne mobile se uss gadi ka photo le leta hai aur police ko call karta hai.

Police station

Inspector - Sir, humne sari police station par uss gadi ki photo send kar di hai sath hi nakabandi bhi kar di gyi   hai. Wo log zyada door nahi ja payenge, City se bahar to bilkul nahi. Par ye samajh nahi aa raha ki xyz area se ye gaadi gyi kahan. Isse aage wali police chauki nake par ye dikhi hi nahi.

Karan - I really don't care. Kuchh bhi kijiye par jaldi pata lagaiye ki wo log meri Monami ko kahan lekar gye hain warna mujhe Direct ACP ko call karna hoga. Ek minute agar ye gadi iss xyz area se nikalne ke baad iss road se city se bahar jayegi to beech me ye ek sunsaan rasta hai aur aaspaas Jungle bhi hai. Yahan Monami ko wo log aasani se chhupa sakte hain. Mera dil kah raha hai, Monami yahi issi area me hai. Mujhe jakar dekhna hoga.

Inspector - Sir wahan akele jane me khatra ho sakta hai. Hum bhi chalte hain apke sath. Constable gadi nikalo.

Karan - Nahi, apki gadi se nahi hum cab se jayenge.

Inspector - Par sir..

Karan - Maine kah diya so kah diya. Main Monami ko lekar koi risk nahi lena chahta.

Inspector - Okk sir.

Okk ye chhotu sa part abhi ke liye coz maine decide kiya tha ki main ap aage update nahi dungi but mere jane ke baad kaphi log meri stories se jude aur update mangne lage so maine again decide kiya hai ki main ab update dungi but update weekend me hi hogi due to my busy schedule aur han apke response par hogi. I hope you will understand nd co-operate with me.

Happy reading 😊

From Darkness To Light Where stories live. Discover now