Part 9

522 53 12
                                    

Rajsthan

Agle din Monami aur koel apne apne college chali jati hain. Idhar Rajesh Monami par nazar rakhna shuru kar deta hai. Wo kab kaha jati hai kiske sath jati hai, kisse milti hai, kitne bje ghar aati hai aur sabse main thing kis raste se aati jati hai?

Kuchh dino tak aise hi chalta raha. Ek din Rajesh achanak se ek sunsan rasta aa jane par Monami ko bulata hai.

Monami - Are Uncle aap yahan.

Rajesh - Wo main kisi kaam se Yahan aaya tha. Idhar se jate waqt tum dikhi to socha hal-chal puchh lun? ( While Tucking her hair strands behind her ear) Tum thik ho?

Monami ko uski intention bilkul achhi nahi lagi. Use Rajesh se ek alag hi negative vibes aa rahi thi. Wo thoda peeche hat jati hai.

Monami - J...ji main theek hun.

Rajesh - Waise kaphi hot lag rahi ho iss dress main.

Monami - 🙂 Uncle main chalti hun

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


Monami - 🙂 Uncle main chalti hun. Kaphi late ho chuki hun.

Ye kahkar Monami chali jati hai.

Rajesh ( in mind ) - Jahan jana hai jao Monami aana to tumhe mere hi pas hai. Kab tak bhag sakogi mujhse.

Mumbai

Karan (on call) - Ji, I'm sure wo bahut hi acchi singer banegi. Aap ek baar usse milkar dekhiye. Chahe to Saath me test bhi lena. I bet you wo aapke baki students se bhi behtar sabit hogi...............ok main next Sunday use aapse milwane laata hun....ji thank you.

Faizi - Kya baat hai kis mohtarma ki tarif me ye kaseede pade ja rahe hain?

Karan - Tujhe matlab...ja na aur kaam kar. Shot ready hai?

Faizi - Ha almost...

Karan - Ok
.
.
.
Shergill house

Damyanti - Aapko nahi lagta, hamara Karan ab badal raha hai. Abhi to Monami iss ghar me bhi nahi aayi lekin dekhiye jab se Karan usse milkar lauta hai, Use ab tak kisi ladki ke sath nahi dekha gya.

Vishwanath - Ha, mujhe bhi lagta hai ki hamara Monami ko hamari Bahu banane ka faisla bilkul sahi hai.

Damyanti - Ab bas jaldi se ye dono shadi ke liye Ha kar de tab kahi jakar mujhe chain milega.

Vishwanath - Ha sahi kahti ho tum.
.
.
.
.

Kaam khatam kar ke Karan aur Faizi ghar aate hain.

Damyanti - Aa gye tum dono. Jao jakar haath muh dhokar aao. Main khana lagvati hun.

KarZi - Ji Maa/ Aunty

At Dinning table

Damyanti to Vishwanath - Ye Rajesh kab aa raha hai wahan se? Ya wahi rahne ka irada hai?

Vishwanath - Phone to kiya hai pta nahi aisa kaun sa kaam hai jiske bare me hame bhi nahi pta.

Faizi - Kahin hamare Chacha-jaan ko koi ladki to pasand nahi aa gyi wahan...

Sab log Faizi ko dekhne lagte hain.

Faizi - Are ham to bas mazak kar rahe the. Aap log hame aise mat dekhiye

Vishwanath's POV

Kahin Faizi ka kaha sach to nahi. Rajesh kahin Monami ki wajah se to...nahi ...nahi.. Ek kaam karta hun Karan ko wahan bhej deta hun isi bahane dono ko saath me waqt bhi mil jayega aur Rajesh bhi apne iradon me kamyab nahi ho sakega.

Vishwanath - Karan tum kal busy ho kya?

Karan hairan hokar Vishvanath ko dekhta hai kyunki isse pahle Vishwanath ne Karan se kabhi directly baat nahi ki thi. Kabhi Faizi to kabhi Damyanti ke zariye hi apni baat rakha karte the.

Vishwanath - Karan...

Karan - H..han. Nahi kuchh khas nahi bas kuch meetings hain producers ke sath. That's it.

Vishwanath - Kal meeting khatam karke tum Rajsthan ja rahe ho.

Karan - Par iss tarah achanak, I mean koi kaam hai wahan ya fir chachu ki tabiyat kharab hai..

Vishwanath - Nahin, Darasal wahan mera ek dost hai, Rajiv Saxena. Wo aur Uska business partner Rajasthan ke jaane mane businessmen me se ek hain. Usne ek success party rakhi hai aur wo chahte hain ki tum wahan unke special guest bankar jao.

Karan - Thik hai. Main chala jaunga.

Vishwanath - Aur Han, agar Monami ke bare me "hridaya parivartan" ho gya ho to use bhi apne sath le jana. Lekin yaad rahe, agar sach me use lekar serious ho tabhi lekar jana. Wo log bahut hi sadharan family se hain. Main nahi chahta ki tumhari unn so called GFs ki list me Monami ka naam bhi shamil ho. Warna bhool jana ki tumhara koi baap bhi hai.

Ye sunkar Karan gussa hokar apne room me chala jata hai. Damyanti bhi ye dekhkar uske room me aati hai.

Damyanti - Karan, beta apne Papa ki baat ko dil se mat Laga. Wo bas Monami ki family ke liye worried the isliye bol diya.

Karan - Maa, apko bhi lagta hai ki main Monami ke sath aisa kuch karunga.

Damyanti - (Dono hato se uske chehre ko pakdte hue) Nahin, mujhe to kya tere Papa ko bhi bharosa hai ki tu Monami ke sath aisa kuch nahi karega par beta unhone Mahajan family se wada kiya hai ki ham Monami ke sath kuch galat nahi hone denge. Isliye ham bas thode tensed hain ki kahin Mahajan family ne jo bharosa ham par dikhaya hai wo toot na jaye aur fir tera pichhla record kaisa hai ye tu bhi achhe se janta hai... hain na?

Karan nodded positively.

Damyanti - isliye agar wahan log Monami ko tere sath dekhenge to batein bhi karenge. Lekin inn sab me tujhe Monami ka sath dena hoga. Apne gusse par control karna seekh. Karan, main nahi chahti Monami jaisi masoom bachhi tere uss gusse ka shikar bne jiska usse door door tak koi lena dena nahi. Hmm?

Karan - Aap fikar mat kijiye Maa. Main Monami ke sath na khud kuch galat karunga aur na hi hone dunga.

Damyanti khush hokar uske forehead par kiss karti hai.

Karan - Maa...(kya karu Maa se Monami ka no. lun ya nahi. Par Kal mil hi raha hun to usi se le lunga)

Damyanti - Karan, kahan kho gya?

Karan - Kuchh nahi wo main bas, actually Monami singer bnana chahti hai to maine uske liye ek Music Teacher hire kiya hai. Main... main soch raha tha ki use ye good news dun par...

Damyanti smile. Wo muskurate hue room se chali jati hai. Karan confuse aur sad hokar uss taraf dekhta rah jata hai. Tabhi use ek massage aata hai.

Monami
Add contact

Karan smile karte hue Monami ka no. Save kar leta hai.

.
.
.
.
.
.
.
.
.

Don't forget to vote nd share ur views
Happy reading ☺️

From Darkness To Light Where stories live. Discover now