Part 6

388 40 10
                                    

Subah hote hi Karan apne set par chala jata hai aur apna kaam khatam karta hai. Agle din sab log Rajsthan, Mahajan family se milne ke liye nikal jate hain.

Karan POV
Pta nhi kyun ek ajib si feeling aa rhi hai. Main gussa hona chahta hun par main nahi ho pa raha hun. Ha sabko dikhane ke liye maine bhale hi Angry young man wala face maintain kiya hua hai par fir bhi kahin na kahin excited hun use dekhne ke liye usse milne ke liye. Ek aisi ladki jisko lekar Maa, Papa aur ye bhukkad Faizi itne sure hain.  Jane kyun main iss pal ko mahsoos kar pa raha hun. Aaj tak to aisa kabhi nahi hua. Kahin Maa aur Faizi sahi to nahi kah rahe the. Jiske bare me sochkar mera ye haal, i mean main itna fresh, free aur ek sukoon mahsoos kar raha hun. Usse milkar to jane kya hoga. Huhh...kya Karan kya hoga ka kya matlab..kuchh nahi hoga. Tu zyada soch raha hai. Ye uska nahi mausam ka asar hai. Hmm I think so

Wo log Rajsthan pahunchte hain aur airport se seedha hotel pahunchkar kuchh time rest karte hain. Uske baad wo log Mahajan house jate hain.

Note - Karan abhi bhi Mask me hi hai.

Mahajan house 🏠
Koel darwaza kholti hai. Faizi Miya use ektak dekhte rahte hain.

Koel - Ji Aap.. kisse milna hai aapko?

Sab log Faizi ki taraf dekhte hain kyunki meeting usi ne fix ki thi. But use Koel ko taadne se fursat mile to jawab de. So Karan use zor se pakad kar jhakjhor deta hai.

Faizi - H..han..kya hua?

Vishwanath man hi man apna sir peetne lagte hain.

Vishwanath - Beta ham Mumbai se aaye hain. Tumhare papa se baat hui thi tumhari bahan ke rishte ke liye.

Koel - Oh achha aap log hain. Ander aaiye Uncle.

Tabhi Pradeep aate hain.

Pradeep - Kaun hai Koel?

Koel - Papa ye Mumbai se hai... di ke rishte ke liye... Aapne btaya tha na.

Pradeep - Achha aaiye bhaisahab, baithiye. (To Rekha - Are Rekha sabke liye chai nashta lagao)

Rekha - Ji laayi.

Karan apna mask remove karta hai. Koel use pahchan leti hai...

Koel - OMG 😱 Karan Shergill...yahan hamare ghar me aur wo bhi di ke rishte ke liye. Mujhe to beli....wo notice karti hai ki Pradeep use ghoor rahe hain to wo chup ho jati hai. But fir use Karan Shergill ke bare me likhe articles aur news yaad aati hain aur wo Chupchap kitchen me chali jati hai Rekha ko sab kuch batane. Idhar Rekha ye sunkar ghabra jati hai.

Rekha - Tere Papa ko bula. Main baat karungi unse. ( Koel Pradeep ko bulati hai. Rekha jaldi se use sab kuch batati hai aur rishte ke liye inkar karne ko kahti hai. Pradeep ye sab sunkar bahar hall me aa jate hain )

Fir sab log nashta karte hain. Uske baad Pradeep Monami ko bulate hain.

Pradeep - Koel beta jao Monami ko lekar aao.

Koel - ji Papa.

Koel Monami ko lekar aati hai. Karan ko use dekhkar shock lag jata hai but kahin na kahin wo Monami me, uski sadgi me kho jata hai. Vishwanath, Damyanti bhi use dekhkar bahut khush hote hain but Faizi Miyan Karan ka reaction check kar rahe hain ki ye dekhkar Karan kitne laat aur ghuso me use baksh dega. Ek aur nazar thi jo Monami ko sir se paav tak ghoore ja rahi thi, Rajesh ki.

Rajesh POV - Ye to bahut hi sidhi aur simple hai. Ise to main yun chutkiyo me Karan se door kar dunga. Aur fir ye meri hogi. Waisi bhi ye aasani se mere panje me fas jayegi.

Monami bhi Karan ko dekhkar surprise ho jati hai but use wo purani baatein yaad aati hain aur wo man hi man darti hai ki kahin ye uss mall wali baat ka badla lene ke liye to nahi shadi kar rahe mujhse.

Vishwanath - Bhaisahab dekhiye hame aapki beti Bahut pasand hai bas bachhe bhi ek baar baat karke apni marzi bata de to achha hoga.

Pradeep - Ji bilkul ( to Monami - Beta Karan ko apne room me le jao aur ek dusre se jo puchhna ho Puchh lo )

Monami Karan ko lekar apne room me aati hai.

Karan - Tum to itni fast nikli..

Monami - Excuse me

Karan - Mera matlab hai ki abhi 4-5 din phle hi ham mile the. jab Maine tumhe unn gundo se bachaya. Aur aaj mere ghar wale tumhare ghar rishta lekar aa gye.

Monami - Uss case me ye baat aap par lagu hoti. Aap Kuchh zyada hi fast nikle.

Karan smiles.

Monami - Dekhiye I know uss din maine mall me jo kuch bhi kaha, wo galat tha, uske liye sorry. I am so stupid, wo apki personal life hai mujhe usme kuchh bhi bolne ka koi haq nahi hai. Par kya karu, Aise hi bad baato baato me bol diya. I'm sorry. Aap please uske liye mujhe itni badi saza mat dijiye.

Karan confuse hokar use dekhta hai

Karan - Ek minute, kya bol rahi ho mujhe kuchh samajh nahi aa raha hai? Saaf saaf bologi.

Monami use explain karti hai aur apni baat ke liye maafi bhi maangti hai.

Karan - Hmm

Monami - Thank you

Karan - Phle galti, fir sorry ab thank you, zara batayengi ab ye kis khushi me bola ja raha hai?

Monami - Wo ..wo us..uss din mujhe unn gundo se bachane ke liye.

Karan - Hmm.

Monami - To apne mujhe maaf kar diya?

Karan - Nahin..

Monami - Main intentionally apko hurt nahi karna chahti thi main to bas baaton baaton me apni friend ko bol gyi. Pls maaf kar dijiye aur uske liye mujhse itna bada badla mat lijiye. Mna kar dijiye iss shadi se.

Karan - Wo to tum bhi kar sakti ho na?

Monami - ...

Karan - Kya??

Monami - Reason to ho koi..

Karan - Wahi jo tumne apni friend ko bola tha wahi bol do simple.

Monami...

.
.
.
.

To be continued

Keep voting and Don't forget to share ur views.

Happy reading ☺️


From Darkness To Light Where stories live. Discover now