Part 7

399 45 19
                                    

Monami - Wo reason main nahi de sakti...

Karan - Kyun...kyu nahi de sakti... kahin aisa to nahi ki tum bhi mujhse shadi karna chahti ho bas na bolne ka dikhava kar rahi ho.

Monami - Mind your language... main tumhe achha insaan samajhkar yahan  tumhari insult nahi karna chahti aur tum ho ki mere hi ghar aakar mujh par hi ungli utha rahe ho.

Karan - To fir mna kar do na

Monami - Kar dungi...lekin badle me mujhe bhi tumse Kuchh chahiye..

Karan - I knew it...tum sari ladkiya na ek jaisi hoti ho. Kisi ko ladke se paisa chahiye kisi ko fame aur kisi ko s..

Tabhi ek zordar thappad Karan ke gaal par sunayi deta hai.

Karan - How dare you? Wo Monami ke kandho ko zor se pakad kar use hurt karne lagta hai.

Monami - Chhodo mujhe.. it's hurting me...ch..chhodo...( Monami ki aankho se aansu bahne lagte hain. Ye dekhkar Karan thoda shant ho jata hai)

Karan - Aaj ke bad shadi to door main tumhari shakal bhi nahi dekhna chahta...(aur ye kahkar wo jane lagta hai...)

Monami - Main bhi bhagwan se pray karungi ki agar tum duniya me akhiri ladke bache ho to bhi meri shadi tumse na ho

Idhar Pradeep Vishwanath ko Karan ke bare me puchhte hain aur Koel ki kahi baaton ke liye explanation maangte hain, jiske bare me Vishwanath aur Damyanti Pradeep aur Rekha ko sab kuch sach sach bata dete hain aur unhe assure bhi karte hain ki unki beti ko wo kabhi koi pareshani nahi aane denge. Unki beti Shergill house me beti bankar hi rahegi hamesha.

               Pradeep aur Rekha Vishwanath aur Damyanti se Kuchh samay ki mohlat maang lete hain. Tabhi gusse me Karan bahar aata hai aur sidha ghar ke bahar nikal jata hai. Ye dekhkar Pradeep aur Rekha iss rishte ko lekar aur bhi zyada sochne lagte hain.

Vishwanath - Dekhiye wo thoda gusse wala hai par dil ka bahut saaf hai. Aap yakin kijiye aapki beti ko ham kabhi koi problem nahi hone denge

Pradeep - Aur aapke bete ka kya? Kya uske gusse se bacha payenge meri beti ko...

Damyanti - Dekhiye bachhe hain. Ho sakta hai koi nok jhok ho gyi ho dono me. Hume unhe thoda time dena chahiye..ek dusre ko janne ka...ek dusre ko samjhane ka aur thoda ghulne milne ka bhi... please

Pradeep - Lekin Monami hi kyun...kahin aap log hamse Kuchh chhupa to nahi rahe..

Damyanti - Jo bhi sach tha sab bata diya bas ham apne bete ke liye Monami jaisi samajhdar, suljhi hui aur apne aatm Samman ki parwah karne wali ek sidhi sadhi ladki chahte hain aur bas isliye...aap log hame thoda waqt dijiye... pls

Pradeep - Okk

Damyanti - Kya main Monami bitiya se ek baar akele me baat kar sakti hoon?

Pradeep - Ji

Damyanti Monami ke room me jati hai.

Monami - Are Aunty aap... aaiye na... main bas aa hi rahi thi

Damyanti - Koi baat nahi beta. Mujhe tumse akele me kuch baat karni hai.

Monami - Ji ka..hiye

Damyanti - Beta main janti hun tum bahut achhi aur samajhdaar ho aur ek achha life partner deserve karti ho. Yakeen mano Monami mera beta Karan tumhe bahut khush rakhega. Janti hoon wo bahut gusse wala hai Lekin wo Pahle aisa nahin tha. (Damyanti Monami ko Karan ke past ke bare me batati hai aur usse kahti hain) Monami main janti hun tumhare liye ek aise Rishte se judna thoda mushkil hoga jisme tumhe pyar aur samman milne ki ummid na ho. Par main Maa hun uski aur use bachpan se janti hun ek baar meri nazro se dekho fir tumhe iss rishte me sirf pyar aur samman hi nahi zindagi ki har khushi pane ki ummid bhi nazar aane lagegi. Janti hoon ek anjan ki baaton par bharosa karna bhi mushkil hai par bas use thoda time dekar dekho. Thoda time uske sath bitakar dekho agar fir bhi tumhe lge ki ye work nahi karega to tum iss rishte ke liye mna kar dena par ek chance... Bas ek chance dekar dekho. Ye to tum bhi janti ho ki mera beta utna bura bhi nahi hai jitna wo khud ko dusro ke samne dikhata firta hai. Hai na? To bas ek bar...

(Monami bhi City palace wale incident ko yad karne lagti hai ki kis tarah Karan ne use unn badtameez ladko se bachaya tha)

Monami - Aunty mujhe nahi pata ki ye relationship work karega ya nahi par main aapko ye assure karti hoon ki main apni taraf se ek koshish zaroor karungi.

Damyanti khush hokar use hug kar leti hain aur uske sir par apna hath rakhkar use aashirwad deti hain. Iske bad dono hall me aa jate hain.

Idhar Faizi bhi bahar aakar Karan ko dhudhne lagta hai aur Karan use ek ped ke neeche baitha milta hai.

Faizi - Kya hua janab ji..
Abhi se dar gye aur haar mankar yahan chale aaye?

Karan - Dekh already mera mood kharab hai aur mat kar. Sari ladkiya ek jaisi hoti hain. Unhe ya to paisa chahiye hota hai ya Naam...huhh

Faizi - Aur ye Monami ne tumse kaha?

Karan - Wo kyun kahegi, use sach bolkar apne pairo pe kulhari thode hi marni hai.

Faizi - Matlab ye tumhara apna opinion hai uske liye... Karan ek baat  tumhe yaad dila dun, Monami ke ghar rishta lekar ham aaye hain itni door Mumbai se, wo nahi gyi thi hamare pas iss rishte ki bheekh mangne... kab tak kisi ek ki wajah se sabko usi ek nazariye se dekhte phiroge. Tum jante ho aaj tak Maa Papa ne tumhe kabhi kisi ladki se shadi karne ki zid nahi ki na hi Sneha se pahle aur na hi uske jaane ke bad. Phle unhone Sneha ko tumhari khushi ke liye accept kiya aur uske jane ke baad bhi unhone tumhe kabhi shadi ke liye force nahi kiya jante ho kyun?

Karan - Kyun?

Faizi - Kyunki unhe ab tak Monami nahi mili thi. Yakeen mano hamara Karan, Maa Papa tumse bahut pyar karte hain. Jab tak unhe tumhare liye sahi ladki nahi mili unhone khud  tumhe kabhi Kuchh nahi kaha par ab unhe sach me Monami tumhare liye sahi lagi hai tabhi to wo log tumse itna kah rahe hain aur ye baat tum bhi samajhte ho. Ek bar unki choice par bharosa to karo. Ek mauka dekar dekho iss rishte ko, Monami ko. Ek baar use samajhkar to dekho kya pata tumhe usse itna pyar ho jaye ki tum khud bhi usse dur hone se darne lgo.

Karan Monami ke bare me kaphi sochne lagta hai. Jo thode se bhi moments usne Monami ke sath bitaye the aaj aur abhi tak, wo sab uske dil aur dimag par haavi hone lage the.

Tabhi wahan Monami aati hai.

Monami - Aap dono yahan hain, andar chaliye. Khana lag gya hai, sab log sath me kha lijiye.

Faizi - Monami

Monami - Ji

Faizi - Wo ham to khana khane aa rahe hain par wo kya hai na ye janab thode gusse me hain aur yahan pedo ki god me khana khakar shayad inhe thoda sukoon mil jaye to kya tum inn janab ke khane ka arrangement yahan karva dogi pls..

Karan use ghoorta hai aur Faizi darkar bhag jata hai. Monami ye sab notice kar leti hai aur Faizi ke jate hi wo hasne lagti hai. Karan uski taraf dekhta hai aur smile karne lagta hai. Wo khud ek pal ke liye bhool hi jata hai ki wo aur Monami saath milkar iss cheez ko enjoy kar rahe hain. Wo use admire karne lagta hai jo khud use bhi nahi pta chalta....

.

.

.

.

.

To kya lagta hai aapko, kya chahiye Monami ko Karan se, aur kya hoga iss rishte ko ek chance dene ka anjaam? Socho socho... milenge agle chap. Me. Tab tak ke liye 👇👇👇👇


Don't forget to vote and share your views.

Happy reading ☺️

From Darkness To Light Where stories live. Discover now