Part 5

427 46 9
                                    

Faizi Monami aur uski family ki details nikalwata hai. Idhar Karan Faizi ko call karke bulata hai.

Karan - Faizi Kahan hai tu. Main set par kab ka pahunch gaya par tera yahan ata pata nahi hai.

Faizi - Are janab ji ham bas abhi aate hain. Uncle ne kuchh kaam diya tha bas wo khatam karke abhi aate hain.

Karan - Nahi pahle set par aa. Fir baad me wo kaam kar lena.

Faizi - Are par...

Karan - Chupchap chala aa.
Aur ye kahkar wo call disconnect kar deta hai.

Faizi Karan ke paas jata hai aur zaroori kaam karta hai. Wapas aate waqt kuchh files uske hathon se neeche gir jati hain. Karan unhe uthata hai. Accidentally wo Monami ki details wali file dekh leta hai. ( Note - file se Monami ki photo gir chuki hai jo Faizi notice kar leta hai aur use chupchap apne pas chhupa leta hai)

Faizi - Karan ye....

Karan use haath dikha kar chup hone ko kahta hai aur dono bina ek lafz bole ghar pahunch jate hain.

Karan - Maa...Maa

Shor sunkar Vishvanath aur Damyanti bahar aa jate hain sath hi Uske Uncle bhi.

Karan - Maa maine kitni baar kaha hai ki mujhe shadi nahi karni. Fir aap log ye sab... kyun baar baar ye sab karte hain.

Damyanti - Beta aaj nahi to kal tujhe shadi to karni padegi. Dekh Maine Phle hi tujhe time diya hai. Tu uss time tak apne liye koi achhi ladki dhudh le to ham ye sab nahi karenge warna hame to koi ladki Khojkar rakhni hogi tere liye. Isliye bas ladki talash rahe hain. Waise chahe to ek baar hamari pasand ki ladki se milkar dekh le kya pata tujhe bhi pasand aa jaye?

Karan - No way

Vishwanath - Faizi details mili?

Faizi - Ji Uncle.

Vishwanath - Lao do.

Vishwanath sari details read karte hain. Thik hai meeting fix hui ?

Faizi Karan ko dekhta hai jo use ghoore ja raha tha.

Faizi - Ji ho gyi. Parso aap log milne ja sakte hain.

Vishwanath - Damyanti ham parso unse milne ja rahe hain aur tumhara ladla bhi chal raha hai. Samjha do use ye baat achhe se.

Ye kahkar Vishvanath chale jate hain. Damyanti Karan ko uske room me le jati hai samjhane ke liye. Lekin Karan ke Uncle Faizi se wo file maangte hain aur usme Monami ko dekhkar unke man me kuchh achhe khyal nahi aate.

Rajesh POV

Ladki to bahut hi hot hai aur Karan to waise bhi isse shadi nahi karne wala to kyun na main bhaiya se baat karun isse meri shadi karane ke liye.

Wo Vishwanath ke room me jakar unse iss bare me baat karta hai jise sunkar Vishvanath bhi ek pal ke liye shocked ho jate hain but wo kuchh der shant hokar bolte hain....

Vishwanath - Rajesh achha mazak kar lete ho..

Rajesh - Nahi bhaiya main mazak nahi kar raha. Karan to waise bhi kisi ladki se theek se baat nahi karta to shadi to kya hi karega. Mujhe ye ladki pasand hai to...

Vishwanath - Tum pagal ho gaye ho Rajesh. Wo ladki tumhari beti jaisi hai tum usse.... Ye ghatiya khyaal aaya bhi kaise tumhare dimag me. Ek baat dhyan rakhna ye ladki Karan ki amaanat hai. Uske baare me aaj ke baad aise khyaal lana bhi mat apne dimag me.

Ye kahkar Vishvanath apne room se bahar chale jate hain.

Rajesh - Monami to ab sirf meri hi hogi bhaiya by hook or by crook. Rajesh Shergill ko jo ek baar pasand aa jaye use to Rajesh Shergill ka hona hi padta hai.

Karan's room

Damyanti - Karan beta ek baar...

Karan - Maa aap to janti hain na ki kitni nafrat karta hun main inn ladkiyon se...

Damyanti - (Uska face ko dono hatho se cup karte hue) Jaanti hu par beta har ladki ek jaisi nahi hoti. Main bhi to ek ladki hi hun. To kya tu mujhse bhi...

Karan Damyanti ke muh par hath rakhkar use chup kara deta hai aur na me sir hilata hai.

Karan - Kabhi nahi Maa. Aapka aur unn ladkiyon ka koi comparison hi nahi hai.

Damyanti - To meri baat maan, ye ladki bhi unn baki ladkiyon se alag hai. Shayad bilkul waisi hi jaisi tu chahta hai.... Tune jab Sneha chuni, hamne tab tujhe samjhaya tha ki wo sahi nahi hai but fir bhi teri khushi ke liye use accept kiya. Ab ek baar apne Maa Papa ki pasand par bharosa karke dekhle. Mujhe poora bharosa hai ki wo ladki tere zindagi ke iss soonepan ko apne pyar aur parwah se bhar degi. Wo tujhe tujhse pyaar karna sikha degi...

Tabhi wahan Faizi aata hai

Faizi - Aur ek baar fir se tere dil ko dhadakne ko majboor kar degi.

Karan use ghoorne lagta hai.

Karan - Tu to chup hi rah sab teri wajah se hi to hua hai.

Faizi - Are janab aap ek baar shadi to karo fir dekhna kuchh dino baad hi hame thank you bolne aaoge.

Karan - Itna confidence??

Damyanti - Tu ek baar milkar baat karke to dekh usse agar pasand na ho to mana kar dena.

Ye kahkar Damyanti aur Faizi chale jate hain.

Karan POV

Kaun hai aisi Ladki Jise lekar ye dono itne confident hain. Kya wo sach me itni achhi aur sachhi hogi. Jaisa Maa ne kaha kya wo sach me mujhse pyaar karegi ya... mere naam se? Huuhh so ja Karan tu kabse ye sab sochne laga. Koi bhi ladki kisi ladke ko sirf uske paise aur status ko dekhkar hi pyar karti hai... sorry pyar ka naatak karti hai. Kal main use itna dara dunga ki wo khud shadi ke liye mana kar de. Huh...Karan tu bhi pta nahi kya kya soch raha hai... So ja... good night 🌉

.
.
.


Don't forget to vote nd share ur views. Keep showering ur love.
Happy reading ☺️

From Darkness To Light Where stories live. Discover now