Part 05

1.7K 103 43
                                    

In Meerab's room.

Meerab recalled Murtasim's conversations with his mother.

Meerab thinks;

"Yeh tha inke lautne ka wajah.5 saal pehle bhi woh wajah mein nahi thi Aur 5 saal baad bhi nahi.Woh mere liye nahi laute."

Meerab dive into the past.

5 years ago.

Meerab was in 12 grade student.One day she comes from her institution,Haya excitedly comes to her and said;

Haya:Khush ho jau Tumhare Khan saab aaj laut rahe hai.
Meerab:Mere liye thodi aa rahe hai jo mein khush ho jau.Yeh keh sakte hai tayajaan ke liye laute hai.Unki tabiyet thik nahi hai na.
Haya:Laute woh jiske liye hi kyun na ho Lekin rukenge sirf tumhare khatir.
Meerab:Mein samjhi nahi.
Haya:Maine Waqas Mamu Aur Mumani se Baat karte suna tumhara rishta diya hai Murtasim ke liye.
Meerab:(with excitement) kya sach bol rahi ho tum?
Haya:Bilkul sach.Is bar unke aate hi niqah confirm.

Someone called her from behind and Meerab comes out from her past.

Servent:Bibiji aap ko niche khane ko bulaya hai.
Meerab:Aap jai mein aati hu.

Then Meerab goes to downstairs.

In the dining hall.

Dayan asked Meerab;

Dayan:Haleem kya tumne banaya Meerab?
Meerab:Nahi.Haya ne banai hai.
Dayan:Are wah tumne Haya ko bhi apne tarha lajawab khana banana shikha hi diya.
Meerab:Haya ko pehle se hi pata hai banana.Aur hum to aab yaha rehte bhi nahi jo mein shikhau.
Dayan:Haa mein to bhul hi gaya.Aap log to aab Karachi mein rehte ho.Btw aap ki padai kaise jaa rahi hai?
Meerab:Bohot acchi.Hali mein BBA ka final exam diya hai.Results ka hi wait kar rahi hu.
Dayan:BBA ke baad MBA to karenge na?
Meerab:Of course karungi.MBA ke sath job bhi dhunungi.
Dayan:Mujhe to Yakeen hi nahi aa raha Humari Meerab padai ko leke itne serious kaise ho gayi.
Waqas:Hairani to mujhe bhi hui jab iska college ka result nikla.Itna brilliant result kya batau.Phir isne hi jid karne laagi sheher ki university mein padna hai.Phir hum chale gaye yaha se.
Bhabi begum:Aur aab tak lautne ki baat nahi karre.Aab to ho gayi hai mukammal padai.Tum log laut aau Waqas.
Meerab:Nahi taijaan Mujhe MBA karna hai.Aur woh mein Karachi se hi karungi.
Bhabi begum:To karo na beta kon ruk raha hai tumhe.Lekin padai se bhi pehle tumhari Aur bhi zimmedari hai.Uski bhi to nibhana hai.

Then Dayan making a microphone with his hand and asked;

Dayan:Aap Achanak itne non serious student se serious type student kaise bani.
Meerab:Mano kisi ne challenge kiya tha Aur taana mara tha mere padai ko leke.To Maine bhi use karke dekha diya.
Dayan:Aap apne success ki credit kisko dena chahti hai?
Meerab:Sirf aap ne aap ko.
Dayan:Future ka plan Kiya hai aap ka?
Meerab:MBA karna Aur job karna.That's it.

Murtasim glared at her with angry eyes.

In the room.

Meerab is reading some books.Then her messages comes and it's from Ruhail:

"Zindegi ki imtehan se na daar yeh musafir
Agar zindegi ki reet Dukh uthana hai to khushi bhi to qarib hai."

Meerab thinks about this message and said;

"Dukh ki bari khatam ho gayi Lekin aab khush hona jaruri hai.Naye tarha se zindegi guzarne ka mauka hai."

Then someone knocked out the door and she goes to open it.

When Meerab opens the door and it's Murtasim.

Meerab:Aap is waqt yaha?Sab thik to hai?
Murtasim:Coffee chahiye the mujhe.Banake doge?
Meerab:Filhal Mujhe bohot neend aa rahi hai.So aap kisi or ko keh dijiye yaa Phir khud bana kar pilijiye.Aap to London mein rehte hai.Waha pe aap ki choti moti kaam ke liye koi thodi na hai.Aap ko adat hoga khud ke kam khud karne ka.To Adat ko badlana maat.Khud ke kam khud hi kar lijiyega.Mein aap ki khas mulajim nahi hu jo jab maan kiya kam ka bol diya.
Murtasim:Lekin biwi to ho.Aur mat Bhulo shohar ka har kam karna biwi par lazim hai.

Meerab smiles on him and said;

Meerab:Aap ko humare darmiyan ka rishta bohot jald yaad nahi aa gaya? 5 saal baad yaad aaya Murtasim khan ko mein unki biwi hu.Woh bhi tab yaad aaya jab maine aap ki ek kam karne se mana kar diya.Mujhe yeh bataiye Murtasim khan aap ko is niqah ko nahi mante.Zaidti hui the na aap ke sath.To aaj kyun us rishten ka wasta de rahe hai Mujhe.

Murtasim remains silent.

Meerab:Kafi egostic insaan hai aap Waise.Jab baat ego pe aa jata to sab bhul jate hai.Aap bhi ek baat kaan khul kar sun lijiye.Mein humari is naam ke shaadi ko nahi manti.Na aap mere shohar hai Aur na mein aap ki biwi.Aur yeh baat bhulna mat kabhi.
Murtasim:tum mano ya mano shohar to mein hu.Aur tumhe apni sare zindegi mere sath hi guzarni hai.Don't forget that.
Meerab:Girgit ki tarha rang badalna to koi aap se shikhe.Taijaan agar bimari ka bahana nahi karte to aap Shayed kabhi nahi laut te.
Murtasim:Galatfehmi hai tumhari.Mein lautne ki planning kar hi raha tha.Apne business ek side mein rakkhe mein aa hi raha tha.Yakeen na ay to Anwar chacha se puch lo.Maine mana kiya tha unhe kuch bhi kisi ko kehne ko.Lekin Maa ki wajah se jaldbazi mein aana pada.
Meerab:Aap jis wajah se bhi ay woh meri balah se.Mein apni zindegi mein bohot aage bad chuki hu.Please mere liye chij e majid kharab na kare.Maine faisla le liya hai.
Murtasim:Kaisa faisla?
Meerab:Pata chal jayega.Aap Filhal jaye yaha se please.

Murtasim go from there.

Meerab closed the door and cried;

"5 saal baad apko yaad aaya hai mein aap ki biwi hu.Aur is biwi ko aap barson pehle thukra kar kahi chale gaye the.Mein aap ki yaad Aur apki mohabbat dil se mita chuki hu.Mujhe nahi bandhe rehna is bandhan mein aab.Faisla ka waqt aa chuka hai.Aur is baar faisla mein lungi."

[I have a humble request for all its just the beginning of the story.Please don't come to the conclusion that how will the story be.Every time I can't write the romantic story and where is the hero is the best human being.This kinda boring for me.But I can make sure you won't be disappointed with this story.So keep reading and see how the story turning]

Dastaan E Meerasim जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें