Part 04

1.7K 94 16
                                    

In the terrace.

Meerab sipped on her coffee and scrolling her phone.Then Haya comes to her;

Meerab:Aab samaj mein aaya hai tumhari chehre pe woh muskan ki wajah kiya tha?
Haya:Hum to unki deedar ke liye taras rahe the.Humari intezar rang layi.Khush hona to banta tha na.
Meerab:So to hai.Lekin aab Baat dil pe nahi rakho bol do unhe.
Haya:Dar laagta hai kahin mohabbat adhora na reh jai.
Meerab:Har kisi ki mohabbat adhora nahi rehta.Kuch khush kismat hai jinko apna mohabbat mukammal karna naseeb hota hai.
Haya:Allah kare woh kismat meri ho.
Meerab:Tumhari hi hogi.
Haya:Murtasim ki aane se tum khush nahi ho?
Meerab:Woh apne ghar aye hai.Isme meri khushi se kya matlab.Mere liye thodi na aye hai.
Haya:Ho sakta hai aab tumhare liye hi laute hai.
Meerab:5 saal bad agar woh laute hai yakinan uske pise koi wajah hogi Lekin Haya woh wajah mein nahi hu.
Haya:Ummed acche kahi rakho na.
Meerab:Nahi mein aab kisi se koi ummed nahi rakhna chahti.Accha hua woh laut aye hai.Mere liye faisla lena kafi asan hoga.
Haya:Kaisa faisla?
Meerab:Age badneka faisla.Sirf saans lene ko zindegi nahi kehte.Mein jeena chahti hu.Zindegi ka maza uthana chahti hu.Ek insaan ke liye apni zindegi ka 5 saal barbad kar chuke.Aab aur nahi.Purane taluk khatam karke naye taluk judne ka waqt aa gaya.
Haya:Tumhari har faisle pe Mujhe apne aage khadi paoge.

Meerab smiles on her.

Meerab:Pata hai Haya is Duniya mein aise bohot sare log hai jinko mohabbat ke badle mohabbat nahi mila.Kyun ki humko mohabbat humesha galat insaan se hota hai.Jo mohabbat to dur ki baat badle mein izzat bhi nahi de pata.Lekin Mujhe mohabbat se jyada izzat bohot pyari hai.Mein mohabbat ke begair to din guzar lungi Lekin izzat ke begair nahi.
Haya:Jab mohabbat ke badle mohabbat nahi milta tab kya karna chahiye Meerab?
Meerab:Ek aise ka hath thamna chahiye jo humse mohabbat kare.

Haya gets worried.

Meerab:Tum kyun pareshaan ho rahe ho?Maine kaha na tumhe mohabbat milegi.
Haya:Sach?
Meerab:Haa kyun ki Dayan ki ankhon se bhi tumhare liye mohabbat jhalakta hai.Maine mehsos kiya hai.
Haya:Tumhe bhi mohabbat milegi Aur yeh Haya ki dua hai.

Meerab hugs Haya.

Haya:Haleem bana rahi hu khaoge?
Meerab:Dayan se jaake puchlo.Banane ka maqsad to wohi hai.

Haya blush.

Then Haya goes to make Haleem from Dayan.

After a while.

Meerab gets Ruhail's call.

Meerab:Kya bolna hai jaldi bolo.
Ruhail: "Zara itminan to rakho Hoor E Jannat
Hum Ahista Ahista bolenge apni dil ke haal".
Meerab:Kaha se laate ho yeh lines?
Ruhail:Abhi abhi likha hai aap ke shaan mein.
Meerab:Mere pise apni zindegi jaya maat karo.Meri zindegi bohot uljhi hui hai.Ise majid suljhane ki koshish karoge to khud hi ulajh jaigo.Is liye mera mashfara yeh hai ki ek aise ka hath thamlo jo badle mein tumhe mohabbat de sake.Mere pas kisi ko bhi kuch bhi dene ke liye aab kuch bhi nahi hai.
Ruhail:Zindegi ki raah mein uljhane to hogi.Kyun na sath milkar hi hum ise suljha de.
Meerab:Tum samaj nahi rahe ho yaar.
Ruhail:Relax mazak kar raha hu.Dekho meerab maine tumse yeh sochkar hargiz mohabbat nahi ki ke badle mein tumse mohabbat mile.Aur nahi mein khudse mohabbat karne ke liye tum par koi dabav dalunga.Mein tumhara dost hu Aur woh hi humesha rehna chahta hu.Lekin tumhari pareshani bhi dur karna chahta hu.Tum mere sath share kar sakte ho.
Meerab:Mere pareshani apne tak mehdud rahe to wohi behtar hai.Tum fiqr mat karo aab har uljhan se farig hone ka waqt aa chuka hai.Aur waqt hai hausla rakke faisla lene ka.
Ruhail:Best of luck.

In the kitchen.

Meerab is chopping fruits for Salad.Then Murtasim comes to her and said;

Murtasim:Ek cup chai bana do Mujhe.
Meerab:Mein Filhal masruf hu kisi Aur ko keh dijiye.
Murtasim:Agar Maine tumhe chai ka kaha hai to kisi aur ko jake kyun bolunga.Tum do banake jaise pehle deti hi.
Meerab:Bite hui kaal ko bhul jaiye.Kyun ki Bite hue kaal ke log bhi us kaal ki tarha kahi kho gaye hai.Aur mein bhi pehle jaise nahi rahi hu jo apki har hukm ko sadakho pe rakhti thi.Aap kuch kehte Aur mein karti nahi yeh kabhi nahi hota tha.Lekin aab aisa hoga.Kyun ki mein aap ki hukum manne ki pawand nahi hu.
Murtasim:Yeh maat bhulo tum abhi bhi mere...
Meerab:Kuch nahi bhuli hu mein.Aap bhi yeh mat bhulna ki yeh Meerab woh pehlewali Meerab nahi hai.Aap ko Kuch chahiye to kisi or se keh dijiyega.

Murtasim looks at her Angrily and said;

Murtasim:Aab tumhare muh mein bhi juban aa hi gaya hai.
Meerab:Yun kahiye choti thi aab badi ho gayi.20 saal ki ladki ko Shayed apni izzat e nafs ki parwah nahi hota.Lekin 25 saal ki is aurat ko apni izzat e nafs bohot aziz hai.Is liye is ko thes pouchane ki koshish bhi maat kijiye ga.Apki kahi hui ek Ek Baat Mujhe aaj bhi yaad hai.

Then a servent comes and Meerab said;

Meerab:Khan ko chai chahiye.Aap bana denge please.
Servent:Ji bibiji.

Murtasim blowing out the anger.

Meerab is passing by the Bhabi begum's room,She heard Murtasim yelling at his mother.

Murtasim:Bimari ka jhotha bahana dekar Mujhe kyun bulaya hai.
Bhabi begum:Uske liye bulaya hai jisko tum chod ke chale gaye the.
Murtasim:Aur aap ki laadli Aab Mujhe do take ki bhab nahi de rahi.
Bhabi begum:Mat bhulo tum sab kuch chod kar chale gaye the.Hume bola tha hafte ka kam hai Lekin tum to London jaake bas gaye the.Phir kabhi lautne ka naam hi nahi liya.Tumhare itni Galti ke baad yeh ummed karte ho woh tumse acche tarha se pesh aye.
Murtasim:Aap logone konsa accha kiya tha mere sath.
Bhabi begum:Mein kahungi Shahnawaz khan se Galti ho gaya tha.Apni bete par Itna Yakeen nahi rakhna chahiye tha.Kyun ki woh iske layek hi nahi hai.
Murtasim:Mein humesha wohi karta hu jo Mujhe accha laage.Mujhe kisi ki bhi parwah nahi.
Bhabi begum:Phir Meerab tumse kaise pesh aye uski parwah bhi nahi karo.Nak kata ke rakh diya hai mera puri khandan ke samne.

Meerab goes to her room.

[To continue this story I need your opinion how you like this story]

Dastaan E Meerasim जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें