Part 02

2.1K 95 25
                                    

Meerab comes to her room in Khan villa which is assigned to her from Childhood.

Hydrabad was the most favourite place to her.She eagerly waiting for the vacation time so that she comes there and spend time.But now she have to come involuntary.She is the perfect example that situations are not always the same.

Then sudden she heard a familiar voice;

"Tumhe is waqt yaha nahi hona chahiye."

Meerab turned around and it's Haya,

Meerab:To Mujhe is waqt kaha hona chahiye?
Haya:Mehbob ki qadmo mein.
Meerab:Kon mehbob?
Haya:Wohi jiske bade mein baat kar rahi hu.
Meerab:Tum to humesha Bakwas hi karte ho to mein kaise samjhu tum kehna kya chah rahe ho.
Haya:Baat kya hai woh tumhe bhi pata hai Aur Mujhe bhi Phir bhi bholi ban rahi ho.
Meerab:Haya,bohot thak gayi hu.Filhal tumhari Bakwas sunne ki Bilkul mood mein nahi hu.Kiya Mujhe akela chod sakte ho please?

Haya left the room.

Meerab preparing for the sleep.She thinks,

"Ek Aur raat guzar jayegi lekin neend nahi ayegi."

In the next Morning.

Bhabi begum comes to kitchen and finds Meerab making the breakfast.

Bhabi begum:Beta tum yaha kya kar rahi ho?
Meerab:Jaldi ankhen khul gayi to socha nasta hi banalo.
Bhabi begum:Iski jarorat nahi thi aur bhi to log hai woh yeh kar sakte hai.
Meerab:Mujhe adat hai.Subhe subhe uthke nasta banane ke.
Bhabi begum:Mujhe pata hai beta tumhe adat hai Lekin Mujhe accha nahi laagta.Ghar mein itne log rehte meri beti kyun takleef uthai.
Meerab:Apno ke liye kuch karne mein takleef kis baat ki.
Bhabi begum:Tum hira ho beta Lekin johri ko uski qadar nahi hua.
Meerab:Shayed woh johri hi nahi tha jisko qadar nahi hua.
Bhabi begum:Tumhare marhum taijaan ki jaan baste the tum par.Humesha kehte the Meerab mera dyan Bilkul maa jaise rakhti hai.Lekin Aab Mujhe laagta hai unse Galti ho gaya.
Meerab:Jo hua woh kyun hua mein kabhi us bade mein nahi sochna chahti.Shayed kismat ko yehi manjur ho.Agar sochu to apno ko kho dungi Aur mein kisi aur ke wajah se apno ko nahi khona chahti.
Bhabi begum:Beta Mujhe ummed hai ki woh....
Meerab:Taijaan aaj apki ghutno mein malish kardu?
Bhabi begum:Thik hai beta kardena.
Meerab:Aap jake beithe mein nasta lee aati hu.

After the breakfast.

Meerab comes to the terrace and Ruhail called her;

Meerab:Bolo.
Ruhail:Mirza galib kehte hai "Guzar jayega yeh daur bhi galib zara itminan to rakh.Jab khushi na tehri to gham ki kya aukat hai".
Meerab:Vah vah Shayer Ruhail saab.
Ruhail:Chutti kaise enjoy kar rahi ho?
Meerab:Hydrabad ayi hu humare pushtani haveli pe.Chutti Shayed yehi kategi.
Ruhail:Yaad aata hu mein?
Meerab:Tumhari yaad aana kya bohot jaruri hai?
Ruhail:Mujhe laaga aata hoga mein bhi kabhi kabhi yaad.Is liye puch liya.Hum to bhul hi gaye itni khush kismati kaha hai humere pass.
Meerab:Tum mere bohot acche dost ho Ruhail.Lekin isse jada kuch bhi nahi.Is liye darkhast hai tumhare liye jhoti ummed e mat bandho please.
Ruhail:Dost hone ke naate kuch bolu?
Meerab:Bolo.
Ruhail:Hua kya tha bite hue paal mein woh bhul jao yaaro.Aage hai khubsurat zindegi usko jaya maat karo.
Meerab:Sach kaha tumne.
Ruhail:Is liye kehta hu aage badho.Mein hu tumhare sath.Agar samne qadam badauge na to Ruhail ko apne aage paoge.woh apna hath fehla kar khada rahega tum dost samajkar hi thamlena.
Meerab:Tum Aur tumhari shyri se bhare bate.
Ruhail:Shyri mere pehla kamjori hai yaar.
Meerab:Aur dusra?
Ruhail:Tum.
Meerab:Ruhail mein tumse baad mein baat karu?
Ruhail:Thik hai.Bye

Meerab cut the call.

Then Meerab recite Ruhail's poetry;

"Guzar jayega yeh daur bhi Galib zara itminan to rakh.Jab khushi na tehri to gham ki kya aukat hai."

Then someone holds her from behind and said;

"Sorry."

Meerab:It's ok.
Haya:Mein mazak kar rahi thi.Tumhara mood thik nahi tha.Socha accha karlu Lekin ulta ho gaya.
Meerab:Pata nahi aaj kaal zara si baat par chid jati hu.Mein aisi to nahi thi.Mujhe gussa kabhi bhi aa bhi jati to mein khudko samhal leti thi Lekin aab samhal na mushkil hota jaa raha hai.
Haya:Halat ne tumhe chidchida kar diya hai.
Meerab:Pata nahi mere mustakbil ka kya hoga?Ammi Abbu bhi fiqrband hai Lekin rishten ki khatir chup hai.
Haya:Unka fiqr to banta hai.
Meerab:Lekin mein hu kisi Aur tension mein.
Haya:Batau kis ki tension hai.
Meerab:Ruhail ke bade mein bataya tha na tumhe..
Haya:Woh jo tumhari class fellow hai?
Meerab:Haa.
Haya:Kiya hua usko?
Meerab:Kuch din pehle propose kiya tha Mujhe.
Haya:Tumne jawab kiya diya?
Meerab:Mana kar diya.Lekin Mujhe laagta hai purane baate bhul kar Mujhe aage badna chahiye.Kisi aise ka hath thamna chahiye jo Mujhe chahte ho.
Haya:Lekin tumhare dil mein to woh nahi hoga chahe jiska bhi hath thamlo.
Meerab:Dil ka kya karna hai.Aab Mujhe mohabbat se jyada izzat chahiye.Mein nahi chahti koi mere izzat e nafs ko chot poisai.
Haya:Lekin tumhe to iske liye...
Meerab:Ek faisle pe jaana padega.
Haya:Haa.
Meerab:Ammi se baat karungi.Aise uncertain zindegi se aab mein tang aa chuki ho.Apne mustakbil ke khatir faisla to lena hi padega.
Haya:Tumhari har faisle pe mein tumhare sath hu.
Meerab:Pata hai Mujhe.Meri best friend jo ho.
Haya:Kash woh bhi tumhare is khubsurat dil ko pehchan paate.Bad kismat insaan ko pata hi nahi woh kis chij ko kho diye.
Meerab:Chodo us baat ko.Har kisi ko apni pasand hota hai.Hum kisi par zabardasti musarrat to nahi ho sakte.
Haya:Chodo is baat ko.Bohot din se tumhari mithi awaz nahi suni.Kuch gaa do na please.

Then Meerab sing;

"𝐉𝐚𝐚𝐧𝐞 𝐰𝐨𝐡 𝐤𝐚𝐢𝐬𝐞 𝐥𝐨𝐠 𝐭𝐡𝐞 𝐣𝐢𝐧𝐤𝐞
𝐏𝐲𝐚𝐫 𝐤𝐨 𝐩𝐲𝐚𝐫 𝐦𝐢𝐥𝐚
𝐉𝐚𝐚𝐧𝐞 𝐰𝐨𝐡 𝐤𝐚𝐢𝐬𝐞 𝐥𝐨𝐠 𝐭𝐡𝐞 𝐣𝐢𝐧𝐤𝐞
𝐏𝐲𝐚𝐫 𝐤𝐨 𝐩𝐲𝐚𝐫 𝐦𝐢𝐥𝐚

𝐇𝐮𝐦𝐧𝐞 𝐭𝐨 𝐣𝐚𝐛 𝐤𝐚𝐥𝐢𝐲𝐚𝐧 𝐦𝐚𝐚𝐧𝐠𝐢
𝐊𝐚𝐚𝐧𝐭𝐨𝐧 𝐤𝐚 𝐡𝐚𝐚𝐫 𝐦𝐢𝐥𝐚
𝐉𝐚𝐚𝐧𝐞 𝐰𝐨𝐡 𝐤𝐚𝐢𝐬𝐞 𝐥𝐨𝐠 𝐭𝐡𝐞 𝐣𝐢𝐧𝐤𝐞
𝐏𝐲𝐚𝐫 𝐤𝐨 𝐩𝐲𝐚𝐫 𝐦𝐢𝐥𝐚".

Some tears gathered in the corner of the eyes.

[My dear Readers be patient.Hero's entry will be very soon.And I put some failed attempt to make shyri type baten so ignore my mistakes.So guys enjoy the story and give me your feedback]

Dastaan E Meerasim जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें