3

1.1K 52 16
                                    

Abhimanyu: "18 saal ka tha jab medical college join kiya tha wahi mili thi mujhe Ananya, Ananya sharma. Entrance Exam top kiya tha bandi ne 98.75 percent se. Ekdm studious, lower middle class family se belong karti thi, dad nahi the, mom ne bht mehnat ki thi use Delhi ki top medical college tak bhjne ke liye. Family purane jamane ki soch wali 20-21 tak mein ladki ki shaadi. She was ambitious. Mujhe medical nahi karna tha ye to tum logo ko bhi pata hai. Mujhe Mechanics mein jaana tha. But Dadaji ne kaha entrance exam dene ke liye. Diya entrance exam lekin intentionally fail kiya. But dadaji ne to than li thi mujhe doctor banane ki, college ke trustee the apna source lagwa ke karwa diya admission. At last mujhe waha jaana hi pada. Roz fight hone lagi meri Dad se, dadaji ke wagah se. Dad kabhi unki koi baat nahi taalte the."

Rivaan: "Tune uncle se kabhi kaha nahi  tujhe medical nahi padhna hai"

Abhi: "Nahi........woh har baat p dadaji ka sath dete the toh maine unhe nahi bataya"

Abhi: "Phir Ananya college mein aayi. Scholarship se admission hua tha uska. Pure time books mein ghusi rehti thi. Ladko se to baat tak nahi karti thi, Woh pehle din se attitude de rahi thi mujhe. Uske liye mein Rich spoiled brat tha jise padhai wagara se career se koi matlab nahi tha, use kon batata ke mujhe medical karna hi nahi tha isliye vello ko tarah aawaragiri karta phirta tha mein."

Abhi: "Itna sab hone ke baad bhi maine haar nahi maani maine college ke 1st year tests tak fail kiye intentionally. Phir college walo ne Dad ko bulaya tha to adress all students har saal ki tarah. Dad ne speech mein Ananya ki to taarifo le pul bandh diye aakhir kar usne Dad ka record break kiya tha entrance exam mein dad ke score ko beat kiya tha. Or dusri taraf pure college ke saamne bezzati kar di thi mere ye bol ke 'kuch log to apni family ke naam ko mitti mein milana apna janm sidh adhikar samajhte hai or to aur speech ke baad mujhe bulaya principal office mein or sath mein Ananya ko bhi mujhe embarass feel karwane ke liye or us ananya ko bola ke agar wo free ho to mujhe tution classes de de shayad mein pass ho jau."

Abeer: "Phir tune kya kiya"

Abhi: "Apni bezzati ka badla lene ke liye college ki year freshers party mein Ananya ki drink spike kar di maine. Ab kuch ladkiya aa gayi merese dance ka puchne meri nazar hati or wo bahar chali gayi. Kahi use kuch ho na jaaye isliye uske piche piche bahar gaya. W1o nashe mein Boys hostel chali gayi wo bhi mere room mein."

Abhi: "Use uske room mein chodna tha but tab tak sab log aa gaye the to socha tha ke sube chod dunga. Raat bhar mein or Ali wahi room mein ruko. Yaha tak ke usko bed pe sone diya or khud floor p baitha Raat bhar jaag ke pehredari kar raha the mein or Ali ke kahi koi use hamare room mein na dekh le. Aur uske use sube hosh aaya to bina soche samjhe bahar chali gayi humare rokne par bhi. Ye baat bht aage badh gayi. Uske principal office mein bulaya gaya mujhe laga mera naam le legi or mujhe koi prblm bhi nahi thi nikal dete mujhe college se toh. But usne principal ke aage saara blame apne sir le liya college se to nahi nikala use uske bright student hone ke karan but uske ghar tak baat chali gayi. Uski Dadi aa gayi use lene. Maine dekha to mujhse raha nahi gaya mein un logo ke piche gaya. Maine window se baate suni un logo ki"

"Uski dadi mil ke uski mom blame kiye jaa rahe the ke kya zaroort hai itna padhane ki yeh woh. Unhone decide kar liya tha ke use aage nahi padhna hai uski shaadi kar dengi. Ananya ne oppose kiya ke use padhna apni mom ke liye to uski dadi ne uske muh pe kalik lagane jaa rahi thi maine ander jaa ke rok liya. Uski dadi or badhak gayi bolne lagi ke ab usse shaadi kon karega raat bhar ek ladke ke kamre mein thi. Use to mar jaana chahiye ye woh. Or jo situations thi waha uske baad maine usse mujhse shaadi karne ke liya pucha. Ananya ne jawab nahi diya. Uski bua bhi aa gayi waha aag mein ghee dalne. Hamari izzat ye woh, unhone uski mom ko kaha ke unhe to mar jaana chahiye saari galti unki hai Ananya ko padhane k liye unhone ne hi zid ki thi ab aage kya. Society walo ko bula liya. Ananya left from there mein uske piche gaya apni jaan dene wali thi woh end mein maine usse shaadi kar li.  Guilt mein tha mai." Abeer and Rivaan put the comforting hand on his back.

ONCE Where stories live. Discover now