Planning

470 45 17
                                    

Continued from next part....

After dinner, everyone assembled in the study room, it was neat and clean with some maps on the wall, some files on the table.

"Dekhiye, jaya aap sab jaante hi hai, yeh mission ek drug peddler ko pakadne ke liye hai. Vinay Ranawat.... (he said pointing towards picture of a man in his late forties) yeh sirf drug ka supply hi nahi karta lekin bohot se gairkanooni kaam jaise heeron ki smuggling, human trafficking mein bhi iska naam aa chuka hai. " Vikrant said.

"Sir ek question hai" Santu said.

"Puchiye SS" Anubhav said.

"Sir aap teeno IB ke itne bade aur honhaar officers hai, toh aapko humari zarurat kyu padi iss mission ke liye. " She asked.

" Voh isliye Santosh Sharma kyunki Ranawat hume aur Kriti ko jaanta hai, isliye hum uske saamne nahi jaa sakte, aur yeh aisa mission hai jismein team ki aavashyakta hai, isliye humne aapko iss mission ka hissa banaya." Anubhav said calmly.

"Humne Kanpur ke DSP ko bhi pucha tha ek kaabil team ke liye lekin vaha ki team nahi aa saki isliye aakhir mein hume Lucknow se hi team bulani padi, varna shauk nahi hai, aapne dost ki galti na hote hue bhi uske liye galat baate sunne ki. " Kritika said.

"Kriti shaant ho jaiye, yeh samay behes karne ka nahi hai, aur ab yeh log bhi humari team ka hissa hai, isliye apna gussa thuk dijiye" Anubhav said calmly to Kritika.

"Aap sab humari baat dhyaan se suniye, yeh mission khatam hote hi aap bhul jayenge ki aapne humare saath kaam kiya hai, galti se bhi hum teeno ki identity leak nahi honi chahiye." Vikrant said to them.

"Ab aap sab humare iss mission ka plan suniye... " Anubhav dictated their plan to MPT team.

"Aur ha, iss mission mein jaan ka khatra hai, isliye apna har ek kadam phunk phunk ke rakhiyega. Hum teeno mein se koi na koi hoga aap logo ke saath". Vikrant said

" Kisi ko kuch samaj nahi aaya ho ya koi prashn ho toh puch sakte hai" Anubhav said.

"Sir toh aapne jaisa bola ki hun sab teen teams mein divide honge toh voh kaise. KS asked.

"Hum aapki team ko teen bhago mein vibhajit karenge aur hum teeno mein se koi ek hoga aap ke saath, kyunki teeno teams alag alag jagah jayengi" Anubhav replied.

" Par aisa kyu An.. Sir" Haseena asked.

"Aisa isliye kyunki yeh aak logon ka pehla mission hai hum sab ke saath, aur hum yeh nahi chahte ki aap mein se kisi ki bhi jaan jaye aur na hi hum koi risk le sakte hai iss mission mein." Vikrant replied.

"Toh kal subah sadhe aanth baje se nashta taiyaar ho jayega, phir hum aapko aage ka plan batayenge aap logon ko. Abhi aap prasthan kar sakte hai." Anubhav said getting up from the chair.

"Aur yaha pe gym bhi hai, aap log aa sakte hai. " Vikrant said earning a glare from both Anubhav and Kritika.

"A.. A.. Mera matlab hai ki... " "Jisko bhi aana ho subah che (6) baje aa jaye, agar usse late hua toh aapka hi nuksaan hoga" Anubhav said  cutting Vikrant's sentence.

Everyone except Anubhav, Vikrant and Kritika went to their rooms.

"Kritika ji (sarcastically) humne mana kiya tha na unmein se kisi ko bhi kuch bolne ke liye.....Kittu ab unmein se na toh koi hume apna manta hai, aur na kisi ko humare hone na hone se fark padta hai. Itna gussa hona thik nahi hai." Anubhav said calmly, but his voice was enough to tell the sadness.

"Lekin Anu, voh aise kaise tumhare baare mein kuch bhi bol sakte hai. Tumhare andar hoga itna talent itna sab kuch hone ke baad bhi unke galat ilzaam sehne ka, par mujh mein nahi hai. Koi mere apno ko kuch bhi kahe yeh mujhse nahi sehen hota aur tum se sabse khaas dost ho mere, mere best friend, nahi sehen hota mujhse, isliye abhi se bol rahi hu, samjha dena unhe ki tumhare baare mein kuch bhi anaab shanaab bolne se pehle sau baar soch le, varna abhi tak unmein se kisi ne mera gussa dekha nahi hai, keh deti hu" Kritika said firmly in bold voice.

Anubhav sighed and looked towards Vikrant.

"No no bro.... Mujhse toh koi nhi umeed mat rakhna, mein kuch nahi kar sakta, aur Kritika ka gussa bhi saatve aasman pe hai, agar meine kuch bola toh pata chala, mission ke baad mujhe kamre se bahar nikaal diya, aur hall mein bohot macchar hote hai, isliye no chance" Vikrant exclaimed.

"Pehli baar kuch sahi bola hai tumne Vikrant. " Kritika said.

"Accha chalo yeh sab chodo, aur so jao kal gym jana hai. Haina Vikrant" Anubhav said with a sugar coated smile.

"Sorry na bhai, galti se flow mein bol diya" Vikrant said apologizing.

" Humesha galti hi karte ho tum. " Kritika said tauntingly.

"Yaar, yeh aurto ke paas itne taane aa kaha se jate hai, ghar pe maa, aur yaha ye. " Vikrant whispered to Anubhav.

"Aurton ko aaj tak baghwaan bhi nahi samaj paye, hum toh phir bhi insaan hai bhai. Aur tum akele nahi ho iss srishti mein jo taane sunta ho." Anubhav replied in same tone.

"Kya khusur phusur kar rahe ho tum dono" Kritika asked raising her eyebrows when she noticed them.

"Ku.... Kuch nahi baby, matlab Kriti hum dono toh bas aise hi... hehe" Vikrant replied nervously.

"Anu, tum dawai leke sona, bina dawai liye soye toh bata rahi hai, baat nahi karungi tumse. " Kritika said emotionally blackmailing him.

"Yaar Kittu kitna emotional blackmail karti ho" Anubhav said frowning as he doesn't wanted to take medicine.

"Ab tum bina iss tarike ke nahi mante toh mein kya karu." Kritika said with a cheeky smile as Anubhav gulped in his medicine.

"Chalo ab tum dono bhi apne kaksh mein jaake so jaao, kal subah kafi kaam hai. " Anubhav said to them.

"Tum so jao ka kya matlab hai, tumhe raat bhar baithke bhajan karna hai kya? " Kritika as usal taunted Anubhav.

"Hum thodi der baad soyenge.... Hume zara kaam hai" Anubhav said to them.
Vikrant and Kritika smiled as they understood what he wanted to do.




So this was third chapter of my story. Hope you all liked it. Do vote and comment.
Suggestions are always welcome.

Thank you❤

Ek Dil Ek JaanWhere stories live. Discover now