The Next Morning....
"Sab check kar liya hai na, kuch raha toh nahi hai na, ek baar phirse dekh lijiyega sab kuch" Haseena said to her team, who had just finished their breakfast.
"A.. Anu Bhaiya, hum hum na hai hi topa, gusse mein kuch bhi bina soche samje bol dete hai, hum jaante hai aapko bohot bura laga hai... hum" Karishma was speaking her heart out in guilt bit Anubhav cut her in between.
"SI Karishma Singh, aapke jaane ka samay ho gaya hai, saman baandh lijiye, aur vaise bhi ab toh hume aadat ho gayi, isliye ab bura nahi lagta, aur vaise bhi jis dil ko bura lagta tha, usse toh aapne chaknachur kar hi diya, voh bhi aisa, jise jodna ab shayad namumkin hai, aur sabse ahem baat, aapne jo bhi kaha sach kaha, aur sach toh hota hi chubne ke liye hai. Isliye abhi aap jaiye" Anubhav said calmly, not showing any emotion, while Karishma was in tears hearing this.
After some time....
"Team MPT, aap vaha jaake bhool jayenge ki aap aise kisi mission mein hum teeno ke saath the, yeh baat bahar nahi jaani chahiye, aapke commissioner sir, aur kuch IB ke logon ko chod kar kisi ko yeh baat nahi pata hai aur na chal ni chahiye" Kritika said to theyeam who was ready to leave.
"Aur aap sabko Thank you, humari team ko iss kaabil samajhne ke liye, ki hum aap logon ki madad kar paye. Jai Hind" Haseena said with a smile. While she and her team saluted.
"Jai Hind" The trio Anubhav, Kritika and Vikrant replied.
In the car....
"Maddam Sir, hum.... hum kuch nahi kar paye, humne koshish kiya, bhaiya se baat karne ka, lekin voh nahi sune, sab humari hi galti hai, gusse mein kuch bhi bol jaate hai, hum kya kare MS" Karishma said to Haseena who was looking outside thinking something.
"Hum samajhte hai KS aap abhi kya mehsoos kar rahi hai, aapko aapki galti ka pachtaava hai vahi kaafi hai, lekin Anubhav iss kadar toot chuke hai, ki voh darr rahe hai vapis kisi bhi rishte ko apnane ke liye" Haseena said calmly.
"Aap sahi bol rahi hai MS, lekin abhi kya kare hum" Karishma asked helplessly.
"Kuch karne ki zarurat nahi hai Karishma, kyunki ab jo karengi Kritika Maddam karengi" Haseena said smilingly.
"MS, lekin Kritika Maddam Anubhav sir ko kyu manaengi, aur unke manane se Anubhav sir kyu manenge. " Santosh asked innocently.
"Uff yeh Masumiyat Santu jii, Kritika Maddam nahi manayengi Anubhav sir ko, voh kuch aur help karengi, haina MS" Cheetah said.
"Exactly, humne Kritika Maddam ki baat sun li thi, jab voh Anubhav sir se baat kar rahi thi, ab voh permanent desk duty ke liye kahi shift hone ka soch rahe hai, shayad Delhi, ya jhansi, lekin humne Kritika Maddam se request ki thi taaki voh unke head se baat le aur Anubhav ko Lucknow mein transfer kar de, permanently. " Haseena said.
"Aree waah MS, isse aapko aur bahurani ko bohot samay mil jayega, Anubhav sir ko manane ka, aur ek baar sab sahi ho jaye, phir sabse pehle aapki aur unki shaadi karva denge, abb humari bahurani toh hume dadi bana nahi rahi, aap aur Anubhav sir shaadi karke jaldi se hume nani bana dijiye... Isshhhh" Pushpa ji said dreamingly.
Hearing this Haseena blushed every shade of red. Imagining herself with her Anubhav, made her ears so red, that she couldn't even make eye contact with others."Haan bas yeh ek hi kaam kariye aap, pehle hamare peeche padi hai, abb MS, ko bhi mat chodna aap... " Karishma said tauntingly to Pushpaji.
"Aree PJ.. PJ, kaha pohoch gyi aap, pehle Anubhav sir ko aa jane dijiye, unhe MS aur KM ko maaf kar dene dijiye, phir na MS aur unki shaadi ke sapne dekhiyega" Cheetah said.
"Nahii Cheete, inhe na bohot shauk chad raha hai baccho ke saath khelne ka, unhe sambhalne ka, MS ek kaam kar dijiye, PJ ka transfer na ek anganwadi mein kar dijiye, pura din baccho ko khilati ragengi phir" Karishma said.
"Aap toh rehne hi dijiye, pata nahi kaunsi manhoos ghadi mein humara lalla aapse pyaar kar baitha, bechare uske aur humare toh bhaag hi phoot gaye hai" PJ said doing her overacting.
Like this their journey continued to their thana.At night....
(Haseena's home)"Haseena, aa gayi meri bacchi, ja jaldi se kapde badal le, aur phir khana kha le. " Ammi said lovingly.
"Ha ammi"... She said and went to her room, to change and freshen up.
While having their dinner, ammi decided to drop the bomb." Haseena mein kya keh rahi thi, ki ab tu SHO hai, acche se financially stable hai, aur teri umar bhi ho rahi hai, toh meine ek ladka dekha hai, tere liye, dekh mana mat kar, tu mil le usse, mein jaanti hu tere ghaav nahi bhare hai, lekin jab tak marham nahi lagayegi, tab tak thik kaise hogi" Ammi said lovingly, trying not to take Anubhav's name.
"Ammi, dekhiye aap humari baat samajhiye, hum nahi karna chahte kisi aur se nikaah karna, hum pyaar karte hai Anubhav se. Unhi se karenge nikaah, nahi toh kisi se bhi nahi" Haseena said helplessly.
"Toh kya pura jeevan aise hi baithi rahegi, kyunki voh toh ab vapis nahi aane wala, aur hua kya hai tujhe, aise toh uska naam aate hi chid jati thi, aaj kya hua hai" Ammi said nochantly.
"Kyunki hume sach pata chal chuka hai, Mission Behroopiya ka, Anubhav ka, hum... ammi hum galat the, Anubhav ne na desh se koi gaddari ki hai, aur na unki maut hui hai, zinda hai voh" Haseena said, her eyes full of tears.
"Kya bol rahi hai tu Haseena, lekin uss din toh... " Ammi asked totally being in shock.
"Ammi uss din.... " Haseena was cut in between as her phone rang.
"Hello... Jai Hind Sir" Haseena said.
"Jai Hind, HM... Congratulations aapne aur aapki team ne milke, IB ki help ki, aur successful bhi ho gaye. Humne isliye call kiya tha kyunki Iss case ki details pe aapka signature chahiye, toh aap kal subah, thane jaane se pehle, headquarters hoti hui jaiyega. " Commissioner said.
"Ji sir, hum aa jayenge. Jai Hind. " Haseena said.
"Kya hua Haseena" Ammi asked.
" Voh hume, kal subah headquarters jana hai pehle, sign chahiye ek file pe" Haseena said eating food.
" Ek baat bata, tujhe kaise pata Anubhav zinda hai, aur sach kaha se pata chala tujhe, aur agar tujhe sach pata tha toh itna sab hua kyu.... Haseena humari samaj mein kuch nahi aa raha hai. " Ammi asked Haseena.
"Darsal ammi.....
So this was the 13th part of my story 'Ek Dil Ek Jaan'. Hope you all liked it.
Suggestions are always welcome.Thank you❤

YOU ARE READING
Ek Dil Ek Jaan
FanfictionHey everyone... This story is after one year of Mission Behroopiya. MPT members thinks that he was a traitor and died an year ago.... But the real rollar coaster ride is gonna start now. Peep into know more.