The Truth

371 37 55
                                    

Continued.....

"Darsal ammi, baat yeh hai, ki abhi hum jis wajah se teen chaar din ghar se bahar gaye the, voh hum ek mission mein IB ki help ke liye gaye the, hume aur MPT team ko bulvaya gaya, vaha hum mile Anubhav se. Bohot sare sawal the humare man mein, kuch samaj nahi aa raha tha, lekin phir dheere dheere, unke saath kaam kiya, tab jaake pata laga, ki kyu Anubhav sagai chod ke gaye the, aur kyu uss din aapke saath aisa behave kiya" Haseena said reminiscing all the moments of the mission.

"Ek minute, lekin Karishma ne toh kaha tha... " " Jhoot bola tha, Anubhav ko ek mission mila tha, jis mein koi desh ke secret agents ki information leak kar raha tha, aur agar aisa ho jata, toh desh ke dushman kamiyaab ho jate, apne plan mein. Anubhav ko underground rehna tha isliye, voh uss din sagai mein nahi aaye, kyunki agar voh aa jate toh, humari aur aapki jaan ko khatra hota jo voh nahi chahte the Sagai wale din jo caterers aaye the, unmein se ek dushmano se mila hua tha, aur agar Anubhav vaha aa jate toh, ya toh hum marte ya Anu..., aur voh nahi chahte the ki hum unka intezaar kare, isliye hume kuch bhi bina bataye chale gaye voh, Karishma Singh mili thi unse headquarters mein, aur unhone hi bola tha KS ko jooth bolne ko.....humari khushiyaan chahte the voh, lekin unhe kaun samjhaye humari khushi unhi se hai" Haseena said cutting Ammi's words in between. While speaking this, tears were flowing from her eyes.

"Shhh.... Shant ho ja meri bacchi, upar wala sab theek kar dega, agar tum dono ko vapis milaya hai, toh kuch soch kar hi kiya hoga na sab" Ammi said pulling Haseena in her embrace, and lovingly patting her head.

"Humari birthday ke din, hume ek phone aaya, unknown number se, humne uthaaya tab pata chala ki Anubhav hai.... "
She said and narrated the whole Urmila fiasco, while ammi was shocked.

"Itna sab hua tha Haseena, aur tune mujhe batana bhi thik nahi samjha, aur tujhe yeh sach bataya kisne aur kab. " Ammi said.

"Hum nahi chahte the ki aap, chinta kare, isliye nhi bataya, Kritika Maam se humari baat hui thi tab unhone bataya yeh sab. " She replied.

Flashback...
(Jab Vinay ko pakadne ke baad, Anubhav ne Haseena aur Kritika ko bhej diya tha, jab voh car mein the, tab ki conversation hai).

"Kritika maam, hum jaante hai, aap aur Anubhav hum sab se, specially humse aur KS se bohot naraz hai, hum maante hai humari galti hai, aur dil se sharminda bhi hai, Anubhav toh humse baat karne ke liye taiyar hi nahi hai, aap please bata dijiye Mission Behroopiya ka sach, hum itna jaan gaye hai ki Anubhav asli gaddar nahi hai, par aisa bhi bohot kuch hai jo hum nahi jaante, please bata dijiye " Haseena requested.

"Vaise toh agar tum yeh sach Anubhav se suno toh uske emotions bhi samajh paaogi, lekin thoda bohot bata sakti hu mein, Uss din, jab Anubhav ko yeh sach pata chala ki tum Haseena hi ho, Urmila nahi, tab bohot khush hua tha voh, Lekin jab tum vaha se chali gayi, tab kisi ne Anubhav ko kidnap kar liya tha, aur uski jagah uska ek behroopiya la diya tha, jo uski jagah lekar aaram se saajan se pendrive le sakta tha, lekin tumne uss behroopiye ke kandhe par goli chala di, aur usse ghayal kar diya. Thode din baad jab tum Anubhav se mile, aur uske kandhe par chot dekhi, aur tumhe laga ki Anubhav hi voh deshdrohi hai, jo uss pendrive ke peeche pade hai, lekin hume yeh nahi samjh aa raha hai ki tum yeh kyu  nahi dekh sake ki jo insaan, hume bachaane ke liye itna kuch kar sakta hai, voh bhala tumhe kyu hi maarega,aur sabse badi baat jo insaan, apne desh se itna pyaar karta hai voh kaise apne desh ke sath gaddari kar sakta hai. " Kritika said with some tears still there in her eyes, while changing the gear.

"Hum ....Hum kya karte maam, jab uss behroopiye ne Anubhav banke humari ammi ko kidnap kiya, aur itna kuch bola, hum.... hume kuch samajh nahi aa raha tha, aur phir humne goli chala di, voh bhi sidha dil pe, jo humesha jazbaat jazbaat karke ghumti hai, usne ek baar bhi apne jazbaat nahi istemaal kiye. Ussi samay maar dala usse, yeh toh upar wale ka shukar hai ki voh Anubhav nahi the, agar hote toh " Haseena said being frustrated on herself.

"Vaise Anubhav tha kaha" Haseena asked.

"Unhe kidnap karke ek godown mein rakha hua tha, aur jaise hi uss behroopiye ko tumne maara tha, Anubhav ko bhi unn logon ne maar diya, tab mein aur Vikrant  team leke vaha pohoch gaye aur usse rescue kara liya gaya tha, aur asli gunhegaar ko pakad ke situation sambal li thi. Anubhav ki saanse chal rahi thi uss vakt, lekin operation ke baad pata chala, ki voh coma mein slip ho gaya tha, 4 mahino tak, doctor ne kaha tha uske paas jeene ki koi iccha nahi bachi hai, lekin phir bhi voh lada aur theek hue, apne desh ke liye, apni maa ke liye... aur shayad tumare liye bhi. Aane wala tha voh tumhare paas vapis, lekin usse voh video mil gayi joh aap logon ne media mein di thi, bikhar gaya tha voh. Isliye vapis nahi aaya, tumhare paas, yeh sochke, ki ab kuch theek nahi ho sakta hai, zaruri nahi ki har prem kahani ka ant sukhad hi ho. " Kritika replied while focusing on the road.

"Lekin Maam, yeh Mission behroopiya ka Mastermind kaun tha" Haseena asked.

"John Wilson,(fictional).ek naami terrorist hai, jo kayi baar aatank failane mein nakaam hua hai, uska plan tha" Kritika said.

"Ek minute, lekin itni andar ki details nikalna kisi baharwale ke bas ki baat nahi hai, hume kyu lag raha hai ki ismein koi, andar ka insaan bhi shaamil hai" Haseena asked raising her eyebrows.

"Kyunki hai" Kritika said.

"Kaun" Haseena questioned.

"Officer Ajay Bakshi" She said and glanced at Haseena.

"Kyaaaa.... Ek second, matlab itne time unhone humara use kiya tha, aur hum bewakoofo ki tarah unhi par aankh band karke bharosa karte gaye" Haseena said in guilt.

"Aap aur Anubhav hum sab se bohot naraz hai na" Haseena asked in tears.

"Jooth nahi kahungi mein, ha gussa aaya tha bohot kyunki, Anubhav humara sabse accha dost hai Haseena, college se lekar aaj tak ek dusre ke saath hai hum, aur humesha rahenge. Toh jab kisi dost ko chot pohochti hai, toh aapko dard hona toh jayaz hai. Aur isliye gussa bhi aata tha. Bhale hi Anubhav kuch nahi batata tha, lekin hume samajh sab aata tha....
Aur Anubhav ke baare mein kya hi kahu, kitna bhi gussa kar le ya naraz reh le, voh zyada samay tak nahi tikega, pyaar jo karta hai tumse" Kritika said with a slight smile.

"Nhi.... Kuch bhi ho jaye, iss baar hum Anubhav ko mana kar hi rahenge. Kahi nahi jane denge unhe" Haseena said to herself in her mind.

Flashback ends.....

"Accha hua, tujhe sab pata chal gaya, lekin ab tu Anu ko manayegi kaise" Ammi asked.

"Humne koshish ki hai ki Anubhav ka permanent transfer Lucknow mein hi ho. Ek baar ho jaye phir, hum sab sahi kar denge." Haseena said toh ammi.

"Ha, phir tum dono ki shaadi bhi toh karani hai, aur phir bacche, haaye kitne pyaare honge" Ammi said dreamingly.

"Yeh aap aur Pushpa ji jo serial dekhte ho na, usse hi hatcana padega, dono ki soch ek hi jagah atki hui hai" Haseena said facepalming her head, while her cheek and ears turned red, saying some other story.







So this was the 14th part of  ' Ek Dil, Ek Jaan, hope you all liked it.
Suggestions are always welcome.
Thank you❤

Ek Dil Ek JaanWhere stories live. Discover now