Prologue;

1K 44 18
                                    


Someone's POV:

" Kabhi soocha bhi nahi tha k yeh din bhi kabhi deekhnay ko milain gay, yeh sirf mahila police thana nahi hum sab ki Shan tha yeh, humari suraksha ki zamanat tha.. aaj mahila police thanee hi khatam nahi hua hai.. Sath Sath hum sab ka chain , sukh aaram sab kuch chin k reh gaya hai. Woh mahila police thana k officers Jin ki wajah say Lucknow shehar ka har baasi nichshit ho k chain ki neend sota tha, aaj wahi log humari neend khatam kar k hamesha k liey sakoon ki neend soo rhy hain.
Jis jagha par police walay khud surakshit nahi hai wahan aam janta ki suraksha ki zimadari Kaun lay ga, kiyà phir kabhi haseena mallik jaisi jazbaton wali Janam lay gi jis ka maqsad mujrim nahi jurm mitana tha, ya phir kisi mei humain Karishma Singh jaisi dabang bindas police officer ki chavi milay gi jis k bhaukal say poora Lucknow shehar kanpta tha. Santosh Sharma jaisi masoomiyat or cheeta chaturvedi jaisa saaf dil hum Kahan say laen gay. Aaj Lucknow shehar ki fiza mei har taraf sog ka aalam hai or Purana mahila police thanee dhuwa dhuwa hai.. "

✨✨✨✨✨✨✨

" Sath nibhanay ka wada kar k log Sath yun chor jatay hain Kiya?
Kiyà tumhara pyar vada ishq wafa sab jhoot tha?"

"Ha sab jhoot tha. Ab hum dono k liey yahi acha hai k hum apni rahain alag kar lyn"

"Sach mei tu yahi chahta hai na?"

"Yeh humari  nahi apki chahat hai or hum Khush hain is mei"

"Beta yeh ghar tera hai.. tum or Aksh kahen nahi jao gay"

"Maa hum nay Sunna tha k aurat ka apna koi ghar nahi hota.. na yeh ghar kabhi humara tha na hi kabhi ho sakta hai, ap apna khayal rakheay ga, kyun k Jo is ghar ka mallik hai woh loat aaya hai toh humara yahan say Jana toh tay hai. Warna shaid hum dono ka ateet ki yadoon k Sath Jeena mushkil ho jaey ga, isliey hum dono k liey acha hai k hum apnay rastay yahen say alag kar lyn kyun k hum jab bhi milay hain ek dosray ko dard takleef k Siwa kuch diya hi nahi hai, ap humari chinta na Karen hum bay Sahara nahi hai humari beti humaray Sath hai"

"Apko ho gae tasali? Mil gaya jawab apko ? Kiyà hua us nay maan li apki baat? Nahi na ? Aray jis ki fitrat mei dhoka dayna likha hota hai woh dhoka day k hi Jata hai... Humari minatain humaray aansoon ka us par koi asar nahi hota... Humain toh samjh nahi aa rha k ap sab Jan k bhi aanjan kaisay ban gae.. usi ko ghar mei jagha di jis nay ap say apki sari khushiyan cheeni thi. Apka itna zarf ho sakta hai humara nahi. Ab ap yeh Rona dhona band Karen hum aa gay hain apka khayal rakhnay k liey "

" Maa yeh yahan kyun aai hai? Hum nay Kaha tha na k humain iski soorat bhi nahi deekhni phir isay lay k aa gae hai, hum is say nafrat kartay hain nafrat.. jab bhi isay deekhtay hain humaray saray zakham phir say taza ho jatay hain, ap in say kahen k yeh yahan say Chali jaen isay lay k, warna hum kuch aaisa kar baithain gay Jo inhon nay soocha bhi nahi hoga"

" Ap ek bar humari baat toh sun lyn Sameer, phir hum yahan say apni bachi ko lay k chalen jaen gay "

"Humain nahi sunni koi baat yeh qatil hai humari khushiyun ki, humari zindagi mei iski koi jagha nahi hai "

" Hum ap say bheek mangtay hain khudara ap humari bachi ko bacha lyn, ek ap hi hai Jo usay nae zindagi day saktay hain. Please Sameer ap ko kahen gay hum Karen gay, apki har baat manain gay par humari bachi ko bacha lyn"

"KUCH KAHI ANKAHI"Where stories live. Discover now