Part# 6

294 42 29
                                    

Maa: haseena tu Anu ki batoon ko dil par mat lay , sach kiyà hai hum achi tarha jantay hain beta.

HM: maa hum nay kab ka unki baton ko dil par layna chor diya hai.. or ap kis sachai ki baat kar rhi hai maa. Woh bus hum ap or humara Khuda Janta hai. Anubhav ka kehna hai k humain un par vishwas nahi tha.. humaray liey toh vishwas ka dosra naam hi Anubhav thy. maa humain dukh is baat ka hai k hum toh apni life mei aagay barh gay hain par woh aagay nahi barh paey hain . Janti hain maa humain unhain deekh un say nafrat say zayda takleef hoti hai.
Maa pata nahi kyun hum nay pyar Kiya un say. Humain unki zindagi say usi din dour chalay Jana chaheay tha jab humain pata chala k humara pyar ek tarfa tha. Unhon nay sirf mission k liay humaray Sath pyar ka natak kiyà tha.. agar hum us roz un say dour ho chukay hotay toh na hi unhain kabhi hum say pyar hota na hi hum kabhi apni had k par jatay... Maa janti hain k humari kiyà halat thi jab hum nay Anubhav par goliyan chalai thi. Bina sach janay kyun k humain us samay wahi Sahi laga Jo hum nay kiyà tha.. par maa Anubhav ki Jan laynay walay agar hum thy toh unhain phir say zindagi daynay walay bhi hum hi thy..

Maa: yeh baat tu Anu ko bata kyun nahi dayti.

HM: vishwas... Maa vishwas Karen gay woh humara.. hum mujrim hain un k. Or waisay bhi humain koi farq nahi parta k woh kiyà soochtay hain humaray baray mei.

Maa: buhat pyar karta hai Anu tujh se aaj bhi. Hum nay deekha hai uski aankhon mei pyar tere liey.

HM: maa kyun humain jhooti umeed day rhi hain ap.. pyar or woh hum se kabhi nahi..pyar kartay toh kabhi hum par yun gun na tantay. Humain unhi ki wajah say haseena se Urmila banna para tha.

Maa: haseena ek bar sab kuch bhool k tum dono baith k Shanti se baat toh kar k deekho.. shaid Anu ki bhi teri tarha koi majboori rahi hogi.

HM: maa majboori kaisi jab hum un par bharosa kar k unhain yeh sachai bata saktay thy k hum Urmila nahi haseena hain toh woh Kyun nahi.

Maa: haseena ek bar Aksh k baray mei toh sooch na.

HM: usi k baray mei sooch k toh hum nay is ghar say janay ka faisala kiyà hai maa..

Maa: theek hai tu apni maa ko chor k Jana chahti hai toh ja.. tu bhi swarti nikli ja humain tujh say koi baat nahi karni.

Aksh : mama mera sar ( holding her head and fall , she is lying on floor in unconscious state)

HM: akshu meri Jan kiyà hua.

She runs to her and pick her up in her arms..
Haseena and maa are waiting outside the examination room, doctors examine her after doing necessary blood test and other tests they shifted her to ward.

HM: doctor kaisi hai humari aksh?

Doctor: relax Mrs Singh filhal toh theek hai woh par hum tests ka results aanay ka wait kar rhy hain hum us say pehlay kuch nahi keh saktay ha uska bar bar is tarha say behosh ho Jana that's not the good sign for her.

HM: what are you suspecting Doctor?

Doctor: deekhain Mrs Singh hum nay ap say pehlay hi Kaha hai test's results say pehlay kuch bhi kehna ap ko takleef dayna hai. Ap thora tehar jaen.. bus Dua Karen k hum Jo sooch rhy hain waisa na ho. Filhal hum say apki beti ko ward shift kiyà hai ap chahain toh us say mil sakti hain. Now please excuse me.

"KUCH KAHI ANKAHI"Where stories live. Discover now