HM: Pushpa ji ki call hai.. maa humain dyn hum baat Karen gay.
Maa: yeh lo.
HM: Pushpa ji ap bhi Kahan thi ap pata hai Aksh kitna bar hum say pooch chuki hai bari dadu hum say baat kyun nahi karti hain. Hum jawab day day k thak gay hain. Kaisi hain ap or ap k ghutno ka dard kaisa hai ab.
PS: humain Kiya hoga hum theek hain, is umar mei yeh sab toh laga rehta hai na?
Haseena lost in the memory of past when often Pushpa ji called herself young..
PS: kiyà hua ap Kahan kho gaen hain?
HM: Pushpa ji samay bhi buhat zalim hai sab say sab kuch cheen k bus yadain hi chor Jata hai. Or kabhi na mitnay wala dard. Khair chorain yeh batein baqi sab kaisay hain.
PS: baqi sab? Tum jis k baray mei poochna chahti ho woh theek hi kab tha. Karishma Ji k Sath Sath uski khushiyan bhi Chali gae hai kahen. Hum nay soocha tha k tum or Aksh humaray ghar mei phir say khushiyan lay k aao gay humara Sameer phir say pehlay jaisa ho jaey ga par nahi.. kuch bhi toh Sahi nahi hua Ulta or sab kuch bigar k reh gaya hai.. pyar toh buhat karta hai par shaid Karishma say zayda nahi. Na hi woh kabhi kar paey ga.
HM: jantay hain hum Pushpa ji kyun k hum nay bhi Pyar Kiya hai, kisi ko khud say alag Karna itna aasan nahi hota. Mano k jism say Jan alag Karna hai. Santu or cheeta kaisay hain.
PS: Kaun kab Kisi say alag ho k khush reh paya hai. Woh dono bhi ek dosray k bina adhoray hain.
Na santu Khush hai na hi cheeta.
Humari santu ki masoomiyat hi chin gae hai.. ap kabhi Lucknow aaen toh deekheay ga kitna badal gae hai humari santu.. bilkul apki parchai hai woh.HM: Lucknow.... Woh shehar toh hum kab ka chor aaen hain Pushpa ji.. wapis loatna mumkin nahi hai. Thanee say Judi humari buhat si yadain hain. Par Kuch log bhi aaisay hain wahan Jo humain sab ka zimadar mantay hain..
Kiya hum nay kuch ghalat kiyà tha
Pushpa ji... Apni beti k baray mei soochna ghalat hai? Jab k humain pata bhi nahi tha k Karishma Singh... Ap toh janti thi sab ap nay kyun nahi roka KS ko. Agar ap us samay khamosh nahi rehti toh hum Charon ki Zindagi bilkul alag hoti.
Na hum Khush hain na Sameer ji na hi aaksh or Karishma Singh toh.PS: hum sach mei nahi jantay thy k halat is had tak bigar saktay hain..
Hum nay Jo bhi kiyà tha lalla ki Khushi ki khatir kiyà tha.HM: badlay mei kiyà diya ap nay unhain.. Kahan hai unki Khushi?
Aksh: mama mujhe neend aa rhi hai. Mujhe poem sunao na.
HM: pehlay apni bari dadu say baat kar lo phir hum poem sunain gay.
✨✨✨✨✨✨✨✨✨
HM: ap abhi tak jag rhy hain? Ap is waqt kitchen mei Kuch chaheay tha apko.
AS: nahi ....
He is going outside.
HM: Anubhav..
YOU ARE READING
"KUCH KAHI ANKAHI"
Fanfictionthe story start from the end... when we think everything is finished and the actual story stars from there.. life is unpredictable when we think everything is now on normal path the life takes turn and finish all...