Part #8

333 40 27
                                    

PS: Ms ap yahan or Aksh bhi aai hai.
Kiya hua sab theek toh hai na?

HM: nahi Pushpa ji kuch bhi theek nahi hai, kiyà ap Mr Sameer Singh ko Bula sakti hain? Humain un say zaroori baat karni hai.

PS: Ms lalla? Ap us say kyun milna chahti hain, ap janti hain k lalla ko ap dono ka yahan yun aana bilkul pasand nahi aaey ga. Please ap chali jaen.

HM: hum janay k liay nahi aaen hain Pushpa ji, ek bar phir waqt nay Aksh ko us k papa ki dehleez par la khara kiyà hai. Aaj woh humari Jan hi Kyun na lay lyn . Hum yahan say nahi janay walay.

PS: Ms aakhir hua Kiya hai?

HM: Aksh ko .

Before she tells her truth Sameer saw his mother talking with haseena and a small girl holding her finger resembles like her mother.

Sameer: humari beti..
Before that, a father's love  have overpowered his anger, he immediately changed his expression.

Sameer: Maa yeh yahan kyun aai hai? Hum nay Kaha tha na k humain iski soorat bhi nahi deekhni phir isay lay k aa gae hai, hum is say nafrat kartay hain nafrat.. jab bhi isay deekhtay hain humaray saray zakham phir say taza ho jatay hain, ap in say kahen k yeh yahan say chali jaen isay lay k, warna hum kuch aaisa kar baithain gay Jo inhon nay soocha bhi nahi hoga.

HM: mana k ap ko apni beti say beinteha nafrat hai. Shaid isliay ap hum say bhi nafrat kartay hain. Ap nay humain Jo saza bhi dayni hai humain manzoor hai. Bus Ap ek bar humari baat toh sun lyn Sameer, phir hum yahan say apni bachi ko lay k chalen jaen gay.

Sameer:Humain nahi sunni koi baat yeh qatil hai humari khushiyun ki, humari zindagi mei iski koi jagha nahi hai.

HM: itni nafrat kyun hai apko humari aksh say. Apka hi khoon hai yeh , ap yeh mat bholain k isi k liay Karishma Singh nay kitni bari qurbani di hai.

Sameer: ha wahi toh mei bhool nahi paa rha. Chahtay hain hum isay pyar Karna par yeh ehsaas k isi ki wajah say humari Kashi humaray Sath ho k bhi Sath nahi hai humain is say pyar karnay say rokti hai.

HM: Sameer ji Aksh ko brain tumor hai , Hum ap say bheek mangtay hain khudara ap humari bachi ko bacha lyn, ek ap hi hai Jo usay nae zindagi day saktay hain. Please Sameer ap ko kahen gay hum Karen gay, apki har baat manain gay par humari bachi ko bacha lyn, ek maa ki minnati hai ap say agar humari bachi ko kuch ho gaya toh hum jeetay jee mar jaen gay. Apko ek maa k Pyar or us k tiyag ka andaza toh hoga hi k ek maa apnay bachay k liey Kiya Kuch kar sakti hai. Hum jantay hain k ap humain na umeed nahi karen gay kyun k ap aaj bhi ks say buhat pyar kartay hain, jis bachi ko bachanay k liay KS nay apni Jan ki Bazi laga di aaj ap usay naye zindagi zaroor dyn gay hum jantay hain. Please humari khushiyan bus ap k hathon mei hai.

Sameer :Theek hai hum tumhari beti ki Zindagi bachanay ko tyar hain badlay mei tumhain vachan dayna hoga k tum dono kabhi meri Zindagi mei wapis loat k nahi aao gay"

HM: Hum wada kartay hain ap say nahi aaen gay kabhi loat k "

PS: Ms Aksh Chalo tum dono aandar aao hum tumharay rehnay ka intezam kar daytay hain.

"KUCH KAHI ANKAHI"Where stories live. Discover now