Part #9

315 39 36
                                    

HM: thank you so much, aap nahi jantay hain k ap nay ek maa par kitna bara ehsaan kiyà hai uski beti ki Jan bacha k.

Sameer: yeh mei nay bus apni Kashi k liay kiyà hai, agar kabhi woh mujh say poochay gi k Akshara takleef mei thi ap uski madad kar saktay thy toh kyun nahi ki toh mei kiyà jawab dun ga usay.

HM: Karishma Singh.. aaj bhi ap un say itna pyar kartay hain k sachai ko qabool karnay k liay tyar hi nahi hain? Woh ap ko chor k ja chuki hai kabhi wapis nahi aaen gi woh. Jo hai woh sirf ek zinda lash hai kab say woh mukti ka intezar Kar rhi hain. Kyun nahi kar daytay hain ap unhain mukat. Hum sab ki zindagi aasan ho jaey gi. Zindagi mei aagay barhain khushiyun ko mooqa dyn apni zindagi mei aanay k liay. Please..

Sameer: Dekho haseena tum mujhe gayan na do. Hum Jo kar rhy hain humain sab pata hai. Or Kiya kaha tum nay Kashi k baray mei zinda lash. Toh kiyà humari zindagi nargh bananay mei tum logon nay koi kasar choori hai? Nahi na. Sab kuch Tum janti thi phir bhi kuch nahi kiya or maa unhon nay bhi hum say sach chupaya.. aaj agar Tum dono nay humain sach bataya hota toh Kashi humara Sath hoti. Or Akshara

HM: woh kabhi is duniya mei nahi hoti. Yahi kehna chahtay hain na aap. Faisala apki Kashi ka tha Sameer ji. Humara nahi.. or àainda humain ap apnay mamalay mei mat kencheay ga. Hum ap k eshanmand hain k ap nay humari beti ki Jan bachai hai. Or hum apka yeh ehsaan ek din chuka dyn gay. Humain aur bhi formalities poori karni hai hum ja rhy hain.

Sameer: agar ehsaan hi chukana hai toh Kashi ko wapis lay aao. Please. Woh tumhari baat zaroor manay gi haseena woh apni Ms ki baat say inkar kar hi nahi sakti.

HM: hum samjh saktay hain par humaray hathon mei kuch nahi hai.  Hum nay bhi mohabat ki hai.
Hum ap k dard ko samjh saktay hain.

Sameer: nahi haseena Jo tum nay mohabat ki thi woh mohabat nahi thi.. warna Tum uski Jan laynay ka soochti bhi nahi. Tumhari mohabat jhooti hai.

HM: deekhain ap ko koi haq nahi pohnchta humari mohabat ko jhoota kehnay ka. Agar hum gunahgar hain toh apki Kashi bhi gunahgar hai.. us nay bhi apnay bhaiya par goli chali thi. Humaray Anubhav ki Jan apki Kashi ki wajah say gae hai.

Sameer: us par ilzam dayna band karo haseena.. tum nay bhi toh goliyan Chali thi.

Haseena: ha par hum majboor thy. Hum jantay thy k woh goliyan humaray Anubhav ki Jan nahi lay sakti. Magar Kashi khair chorain. Jo hua hum usay badal nahi saktay.
Behtar yahi hoga k hum beeti baton ko na dohrain toh acha hai.
Ek bar phir hum apka shukriya ada kartay hain, ap ja saktay hain.

Sameer: hum yahan rehna bhi nahi chahtay.. ja rhy hain.

💕💕💕💕💕💕

HM: Kahan sign Karna hai?

Nurse: maddam yahan par.

HM: ok.. I hope sari formalities complete ho gaen hun gi, kiyà hum Aksh ko ghar lay ja saktay hain.

Nurse : Ji bus doctor aa k ek bar in ka  check up kar lyn phir ap lay ja sakti hain.

"KUCH KAHI ANKAHI"Where stories live. Discover now