In the street.
Meerab Humza and Saba sitting on the footpath and thinking how deal with this situation.
Humza:Pakdi gayi na.Agar aise khurafat ki jaga pad leti to yeh sab nahi hota.
Meerab:Agar ek hi raat mein sab mein pad sakti thi to retake de deke 3rd year tak nahi aata.Topper hoti department ki.
Saba:Kya zarorat thi Tujhe fresher samaj ke ragging karne ki.Aur Phir unki tyre ko puncture karne ki.Sab baat ka badla lee raha hai woh Tujhse.
Meerab:Leyi na lee mujhse badla.Mujhe Bilkul fadak nahi padta.
Humza:Kaal ki bade mein Kuch socha hai duffar.Pata nahi woh grumpy professor karega kya.
Meerab:Fiqr nahi karo mere dost plan c bhi ready hai.Aab us plan pe kam karunga.
Humza:Chod de yeh planning.Jake sir se apni sare harqat ke liye mafi mang le.Shayed woh Tujhe baksh de.
Meerab:Mein kisi se mafi nahi mangta.A Aur B fail ho gaya to kya hua C kamiyab ho bhi sakta hai.
Saba:Na hua to.
Meerab:I'm sure hoga.Meerab smirked at them.
Murtasim comes to home angrily and changed his clothes.
Mariyaam brings coffee for him and said;
Mariyaam:Itna gussa kis par bhai?
Murtasim:Us pagal ladki pe.Mariyaam smiles and said;
Mariyaam:Aaj kaal ek ladki aap ki sad pe jyada havi nahi rehti?
Murtasim:Kehna kya chahti ho?
Mariyaam:Ek ladki woh hai kon jo aap ko pareshaan kar rakha hai.
Murtasim:Bohot hi Baittamiz student hai meri.I just hate her.Mujhe laga woh sach mein bimar hai.Lekin usne Mujhe Bewokuf banaya Aur apni bimari ka jhota natak is liye rachaya taki exam se bach sake.Ghar aate waqt dekha doston ke sath gol gappy kha rahi thi.Jab uski jhoth pakdi gayi to bola Achanak gale mein dard hua Aur Achanak thik bhi ho gaya.Jhothi.Mariyaam laughing hard and he said;
Murtasim:Yeh hasnewali Baat nahi thi.
Mariyaam:Lekin Mujhe hasi aa gaya.Waise milna padega ek din us atom bomb se jo apka jina haram kar rakha hai.
Murtasim:Use milke tauba karegi Aur bolegi aisi bhi pagal hai is Duniya mein.Ek baat pucho to so jhoth bolegi Aur agar jhoth pakad lo to so bahane Pehle se hi tayar rehti hai.University ki student hai Lekin behave Bilkul school ki student jaisa.Pata nahi is ladki ke pas aqal hai bhi yaa nahi.Mariyaam Looks at Murtasim and thinks;
"Bhai ki school college University mein bhi to bohot ladkiyan thi Lekin kisi ek ladki ka aisa zikr unhone kabhi nahi ki.Yaha tak itni baten to woh Samira ki bhi nahi karte jitna iski kar rahe hai.Kuch to khas hoga isme."
In Meerab's room.
Meerab takes a paper note and wrote;
"Hay mere dil ki chain.Aap ko dekke mein bechain ho gaya.Meri raton ki neend Aur bhuk pyas sab ko mein kune mein dafna ke sirf aap ki bade mein sochta hu har paal har lamha.Kiya hai aap Mein woh khasiyat jo patthar dil bhi pighal gaya.Lagta hai asli Kasur apni un ankhon ka hai jo Mujhe pehli nazar mein ghayel kar diya.Aab raat din subha shym sirf aap ki chehra mere ankhon ke samne hota hai.Aap ki ek jhalak ke liye taras ta hai mera dil."
Meerab stop writing and said;
"Agar mein literature ke upar graduation karti to Shayed pass ho bhi jati.Hay kitna accha love letter likha hai maine.Yeh padke to koi bhi mohabbat mein giraftar ho hi jayega.Bas mera Plan C kamiyab ho jai."
In the next day.
Meerab meets with her friends and said;
Meerab:Sab Kuch ready hai na?
Humza:Dekh agar is mein hum pakde gaye to shamat aana lazmi hai.Chup chap jake mafi mangle unse Abhi abhi.
Meerab:Humesha apni shakal jaise manhus baten bolna jaruri nahi hai.Yeh plan fail nahi hoga.Tu dekh lena.Jaisa kaha waisa kar jake duffer.
Saba:Jaa rahi hu.
Meerab:Mein bhi apna shakal unhe dikhake aati hu.Meerab knocked out the door and Murtasim gives permission and said;
Murtasim:Aaiye aap ki hi intezar mein thi.Aaj aap ke pas konsa bahane ready hai?Aaj bhi gale mein dard hai?Baat karne mein problem hogi?
Meerab:Kaal mein sach keh rehi thi Sir.University se ghar jate waqt adrak wala chai khai thi.Bohot rahat mili Mujhe.Phir Doston ki jid ki wajah se gol gappy khane lag gayi thi.Maine jhoth nahi bola sir.
Murtasim:Aap ne jhoth nahi bola yeh bhi aap ke ek jhoth hai.In kuch dino mein acchi tarha se samaj gaya mein aap ko.
Meerab:Lekin log kehte ek aurat ko puri tarha se samajna kisi mard ke bas ki Baat nahi hai.Agar woh use samajne jayega to pagal ho jayega yaa Phir uski mohabbat mein pad jayega.Meerab holds her mouth after realising what she said now.Murtasim gives her a angry glance and said;
Murtasim:Aap Kuch jyada baat nahi karte.Khair chode yeh sab exam shuru karte hai.Main Kuch question puchunga aur aap ko unki sahi jawab dena hai.
Meerab:Ok Sir.
Murtasim:Are you ready?
Meerab:Ji.Right then their another female professor Miss Nida entered the room and gives Murtasim a shy look and roaming her dupatta round and round.
Murtasim can't understand.Meerab somehow control her laugh.
Nida:Aap ne kabhi Mujhe bataya hi nahi aap Mujhe Itna pasand karte hai sir.
Murtasim:Kya keh rahi hai aap Ma'am?
Nida:Khat likhne se dar nahi laga aab manne se sharama rahe hai aap.
Murtasim:What Do you mean?
Nida:Khud hi padle kya khat likha tha aap ne Mujhe.Nida gives the letters to him and Murtasim read it and find his name is written there.
Murtasim:Aaj koi exam nahi hoga.Aab aap jaa sakte hai miss Ahmed.
Meerab left the room and Murtasim thinks who can send the letter to her by his name.How can he understand her now that this letter is not from him.Murtasim puts a big tension.But somehow he have to overcome from this.
Meerab comes out from the room and gives high fives to her friends.
Meerab:Kaha tha na plan kamiyab hoga.Aab jhele us Khadus humare Nida ma'am ko.Hath do ke piche pad jayenge woh MK sir ki.
Saba:Kyun nahi padenge letter bhi to Sir ne likhe the.
Humza:Agar sir ne hand writing se pakad liya to.
Meerab:Hand writing se kaise pakdenge.Maine paper ko photostat karke diya hai.Mera writing kaha se milega.
Saba:Tu bhi ek chij hai.
Meerab:Duniya mein ek piece.They giggled.
Author's note:It's a romcom story on Meeesim.Love moment will come.Please be patient and keep reading my dear readers.I hope I'm not disappointing you.
YOU ARE READING
𝑸𝑼𝑩𝑶𝑶𝑳 𝑯𝑨𝑰 𝑰𝑺𝑯𝑸 𝑻𝑬𝑹𝑨
FanfictionHey Meerasim lovers.Here's the another plot on them from my imaginary world.I hope you like it.