SEVEN

1K 85 33
                                    

Murtasim don't know what to do.

Murtasim:Ma'am aap ko koi Galatfehmi hui hai yeh letter maine nahi likhi.
Nida:Letter pe naam to aap ka hi hai.
Murtasim:Kisi ne shararat ki hogi.
Nida:Woh shararat aap ne hi kiya hai.Pata hai Mujhe.Maine kitni dafa notice kiya hai aap Mujhe kaise nazar se dekhte hai.
Murtasim:Meri nazar hi aise hai.Mein sab ko isi nazar se dekhta hu baji.Aap ko bhi maine behen ki nazar se hi dekha hai.Is baat ka koi galat Matlab maat nikale.
Nida:Pakde gaye to sharma gaye aap.Dil ki baat likhne mein nahi sharmaye to zuban pe lane se Kaisi sharam.
Murtasim:Yaa Allah kaha phas gaya mein.Meri behen aap ko bohot badi Galatfehmi hui hai.Maine yeh letter nahi bheja.Agar Mujhe bhejne hi hote to apni hand writing se bhejta aise photostat se nahi.Yakeen mane aap Bilkul behen jaise hai mere liye.Please Mujhe chod de.

Professor Nida looks at him.

Meerab eating ice cream and Humza said;

Humza:Andar kya ho raha hoga?
Meerab:Chipku ma'am sir se chipak rahi hogi.Pata hai na unka agar ek student bhi kabhi unhe compliment de de to kaise piche par jati hai.Is baar to kisi ne unhe direct love letter diya hai.Itni asani se picha chodnewali to hai nahi.
Saba:Agar Sir shadishuda nikle to.Unki married life mein to masla ho jayega.
Humza:Don't worry woh Single hai.Suna tha maine kisi se.
Meerab:Phir to ho gaya kam.Nida ma'am picha nahi chodegi.Hai la aab humare Khadus professor ka kya hoga.

Humza and Saba laughing hard and said;

Saba:Itna khurafati idea aata kaha se?
Meerab:Aap ni dimag se.

Then they sees Professor Nida comes there.Meerab said;

Meerab:Chal jake puchte hai hua kiya hai.
Saba:Chal.

Meerab humza and Saba comes to Professor Nida and asked;

Meerab:Kya Baat hai ma'am Sir ne aap ko direct love letter bhej diya.How romantic!

Professor Nida makes a sad face and said;

Nida:Love letter unhone nahi bheja.Woh to mujhe behen mante hai.Yehi bola abhi.
Meerab:Aap bhi na ma'am sir ki nazar ki ishara ko nahi samaj payi.Sharmile hai thodi lafzon se izhaar karne mein katra rahe hai.Lekin nazar sab Kuch bayan kar raha tha.Mein thi waha Aur dekha kitni chahat hai unki ankhon mein aap ke liye.
Nida:Sacchi!
Meerab:Mein jhoth kyun bolungi Ma'am.
Nida:Lekin Murtasim Sir ne to bola mein unki behen jaisi hu.Baji bhi pukara.
Meerab:So what?Kya bhaiya kabhi saiya nahi bante.Aur behen bolne se koi kisi ka behen thodi baan jate hai.Woh aise sharam ko chupane ke liye bol diya hoga.Lekin Sir dil se kabhi aap ko behen nahi mante.Pata hai Mujhe.
Nida:Tumhari baton se Mujhe bohot himmat mila hai Meerab.
Meerab:Is himmat ko kabhi todne maat dena ma'am.Aur sir ki dil ki baat zuban pe lee hi aana.

Professor Nida shy and said;

Nida:Mera class ka time ho gaya mein aati hu.
Meerab:Bye Ma'am.

Professor Nida left from there.

Meerab smiles and said;

Meerab:Lo bhai kam ho gaya.
Saba:Nida Ma'am ko Murtasim sir ke piche lagake Tujhe milega kya?
Meerab:Yaad hai pehle din woh Mujhe kya bol rahe the.Mera naam bhi yaad rahega aur mulakat bhi.Aab Nida ma'am inke sath aise chipka ke rahenge na unhe mera naam yaad rahega Aur nahi mulakat.Humesha yeh sochne mein waqt chali jai ke is chipku se jaan kaise chudana hai.Kya pata unse jaan chudane ki chakkar mein university se hi resign karde.
Humza:Itna age ka kaise sochti hai tu?
Meerab:Har problem ka solution mein bohot Pehle ready kar ke rakhti hu.Bohot dur ka sochti hu mein.Duniya mein ek  piece jo hu.

They both laughing at her.

After the university Meerab said to her friends;

Meerab:Chalte hai dosto.
Humza:Auto se jayegi?
Meerab:Mere shahi sawari Scooter aa gaya hai servicing se.
Saba:Ok Allah hafiz.Samhal ke jaana.

Meerab started her scooter and left for her home.

In middle of the road Meerab sees Murtasim open his car's hood and try to fix.

Meerab stop and thinks;

Meerab:Maine to aaj inki gari ka kuch kiya nahi to yeh kharab kaise hua?Puchu kiya jake?Nahi agar dant de to.Lekin yeh bhi ho sakta hai mein Sir ki koi kaam aa jau Aur mein unki good book pe aa jau.

Meerab goes to him and said;

Meerab:Sir koi problem hai?

Murtasim was attentively trying to fix it but suddenly heard the voice and scared.

Meerab:Are sir dar kyun gaye?Mein hu Meerab.

Murtasim looks at her and said;

Murtasim:Aap ki gale ki awaz jarorat se jyada high nahi hai?
Meerab:Ji nahi.Bilkul thik hai.
Murtasim:Kya chahiye aap ko?
Meerab:Lagta hai aap ki gari kharab ho gayi hai.Help chahiye aap ko?
Murtasim:Ji nahi.Aur aap kya koi mechanic hai?
Meerab:Mujhe laga aap ko madad ki Jarurat hai is liye puch liya.Aap chahe mein aap ko lift de sakti hu.
Murtasim:Puchne ke liye thank you.
Meerab:Thik hai hum chalte hai.

Meerab is about to leave.Murtasim thinks;

"Yeh gari to mechanic ki ilawa koi thik kar hi nahi sakte.Aur is road ki jo network connection hai ise to koi mechanic se contact bhi nahi kar paunga Aur nahi as pas koi workshop nazar aa raha hai.Is stupid ki madad lena hi padega."

Murtasim called Meerab and said;

Murtasim:Mujhe kisi workshop pe drop kar sakti hai ta ki mein koi mechanic se rabta kar saku.
Meerab:Ji jarur aiye.

Murtasim go and sits behind her.Meerab gives him a helmet.

Author's note:Poor Murtasim sat on Meerab's scooter but will he reach his destination safely?

𝑸𝑼𝑩𝑶𝑶𝑳 𝑯𝑨𝑰 𝑰𝑺𝑯𝑸 𝑻𝑬𝑹𝑨Where stories live. Discover now