ELEVEN

1.1K 95 52
                                    

Meerab ran outside and started to gasping.

"Kisi se na darnewali Meerab ko do bade bade ankhwale insaan ne dara diya.Hay jab woh apni football jaise aankh se Mujhe ghur raha tha mere to jaan hi nikal gayi.Mujhe bhi coffee usi pe hi girana tha.Itni gadbad mein sirf MK sir ke sath hi kyun karti hu.Ya Allah kaha fasa diya Mujhe."

On the other hand.

Murtasim washed his shirt and stained is still stick there.

Murtasim:Yeh ladki hai ya afat ki puriya.Gadbad karna Aur jhuth bolna iski fitrat hai.Sabaq to ise sikhana padega.

In the evening.

Meerab is playing cricket along with kids in the street.Suddenly sees Murtasim coming out from the car.

Meerab:Oteri ki.Yeh Khadus sir Mere ghar ki samne kya kar raha hai.Kahin isne meri jhoth to nahi pakad liya.Allah miah agar yeh baba se mil le to kya hoga.Phir to mein gayi kam se.

Meerab is watching murtasim is coming towards her.

She thinks;

"Ya mere Allah qarib to mera hi aa raha hai.Aab kaise bachu.Lekin yeh bhi to ho sakta hai pados mein kisi ke ghar aaya hai.Aur mein anvei dar rahi hu.Kuch puch lega to koi jhoth bol dungi Aur Waise bhi MK Sir Bewokuf bohot jald bante hai.Dar ko zehen se nikal de Meerab."

Murtasim comes to her and said;

Murtasim:Miss Ahmed aap yaha?
Meerab:Bacchon ke sath khelne aayi hu yaha.
Murtasim:Mujhe laga aap yaha hi rehti hai.
Meerab:Itni high society mein mujh jaisi garib kaise reh sakte hai Sir.Waise aap yaha?
Murtasim:University se information mila aap ka ghar yaha hai.
Meerab:Galat information mil gaya hoga.Mein aur yaha.Waise Achanak Mere ghar aane ki wajai?
Murtasim:Aap ki aaj ki paper check kar raha tha mein waha dekha apne apni bimari ke bade mein likha Aur bhi likha aap ki Aur aap ke Walid ke upar taras khake aap ko passing Number de du.Is liye socha aap ki Walid se milke taras khake hi number dene ke bade mein sochunga.

Meerab gets more scared and Murtasim asked;

Murtasim:Kaha hai?
Meerab:Kon?
Murtasim:Aap ki father Aur kon?
Meerab:Woh to nahi hai Sir.
Murtasim:Kya matlab?
Meerab:Matlab yeh hai ke woh doctor ke pas gaye hai.
Murtasim:Aap ki mother to hai na?
Meerab:Ji nahi woh bhi gaye hai sath.Aate aate raat ho jayegi.Aap aaj kisi se nahi mil payenge sir.

Then a kid said;

Kid:Jhoth kyun bol rahe ho Meerab api.Waqas uncle ghar pe hi to hai.Woh dekho chad pe.

Meerab gestures to kid to keep quiet.

Murtasim smiles and asked the kid;

Murtasim:Kon sa ghar hai aap ki Meerab api ka?
Kid:Woh white wala.

Murtasim looks at Meerab and said;

Murtasim:Aap ki jhoth pakdi gayi Miss Ahmed.Mujhe pata hai aap kisi school teacher ki nahi balki is city ki renowned lawyer Waqas Ahmed ki beti hai.Aap ne us din jitni bhi baten kahin thi sab jhoth hai.
Meerab:Sorry Sir!
Murtasim:I'm not accepting any sorry.Aaj mein aap ki parents se baat karke hi jaunga Aur yeh paper bhi dikhaunga jaha apni lachari ka jhota natak likha tha.
Meerab:Is dafa maf karde Sir dobara kabhi jhoth nahi bolungi.Sacchi.
Murtasim:Pakka koi jhoth nahi bolenge?
Meerab:Ji pakka.
Murtasim:Thik hai maf karta hu Lekin kuch shart shart pe.
Meerab:Manjur hai.
Murtasim:Pehle sun to le.
Meerab:Ji bole.
Murtasim:Aap Nida ma'am ke dimag mein Fazool baten dalna band kar denge Aur unhe yeh samjhayenge woh letter kisi pagal ki shararat thi.Manjur hai?
Meerab:Ji manjur hai.
Murtasim:Aur akhri shart aap mere se tuition lenge.
Meerab:Ji.
Murtasim:Class shuru hone se Pehle 1 gante Library pe special class karenge.
Meerab:mein?
Murtasim:Ji aap.Kyun ki aap class ki weak student hai.Aur exam mein Fail karke izzat ka janaza mera nikalenge.
Meerab:Ok Sir.
Murtasim:Kaal class kitne baje se shuru hoga?
Meerab:11 baje.
Murtasim:10 baje mein Library mein honga.To aap waha mojud rahiyega warna yeh paper aap ki ghar pouch jayega.
Meerab:Ok Sir.

Murtasim left with his car.

Meerab put in dilemma how to escape from this?

In the car.

Murtasim asked and thinks;

"Aab mein tumhe tuition ke bahane aise sabaq shikaungi ke tum bhi pastaoge Bewokuf kis ko banai the.Itna padai dunga ki tumhe koi shararat karne ka mauka hi nahi milega."

In the next day.

Murtasim is waiting for Meerab in the library.Meerab is coming there and Murtasim smirked at her.

But suddenly sees some of her class fellow coming behind her.He can't understand what happens.

Murtasim:Aap sab yaha?
Meerab:Aap ne hi to kaha tha Sir tuition denge.Is liye hum sab aa gaye.Taki hum fail karke aap ki izzat ka band na baja sake.
Murtasim:Lekin maine to kisi ko tuition dene ka nahi kaha.Aap sab ko Galatfehmi hui hai.
Meerab:Lekin Sir aap ne hi to....
Murtasim:Jai sab apni class mein.Out.

Everyone left from there and Meerab secretly smiles and Murtasim makes a angry face.

After a while.

Murtasim meets with Meerab and said;

Murtasim:Kya harqat thi yeh?
Meerab:Aap ne hi to kaha tha tuition ka.
Murtasim:Maine sirf aap ko kaha tha sab ko nahi.
Meerab:Lekin aap ne to sirf mention karna bhul hi gaye.Sir aap ne hi to bola tha agar mujh jaisa weak student fail ho jai to aap ki izzat ki band baj jayegi.Phir maine socha Mere level ka na sahi Lekin class mein Aur bhi weak student hai Aur unka bhi fail hone ki chances mere jaisa hi hai.Is liye un sabko ikhatta kiya Aur tuition lene chali gayi.Agar aab aap tuition dene se Inkaar karne ke baad bhi sirf Mujhe tuition denge Aur un mein se kisi ke nazar mein yeh pad jai to woh log is baat ka galat Matlab nikal sakte hai Sir.Is liye tuition dene ke bade mein bhul jai.Aur aap ne kaha tha agar mein tuition lene library mein mojud na rahu to aap paper Mere ghar bhej denge.Sir mein to mojud thi Aur aap ki shart bhi pura kya.Aab apne nahi padai to isme meri kya galti.
Murtasim:Seriously Maine aap ke jaise ladki nahi dekhi.
Meerab:Dekhenge bhi kaise Duniya mein ek piece jo hu.Chalte hai Sir Allah Hafiz.

Meerab left from there and Murtasim boiling in anger.

Author's note:How's the chapter?

𝑸𝑼𝑩𝑶𝑶𝑳 𝑯𝑨𝑰 𝑰𝑺𝑯𝑸 𝑻𝑬𝑹𝑨Where stories live. Discover now