EIGHT

1.1K 89 26
                                    

Meerab started her scooter.

Murtasim asked her;

Murtasim:Yeh scooter aap ki hai?
Meerab:Nahi Sir churaya maine.
Murtasim:Kya?
Meerab:Agar chala mein rahi hu to of course mera hi hoga.Yeh Kaisa sawal hai Sir.
Murtasim:Actually maine aaj ke ilawa kabhi dekha nahi aap ko chalate hui.
Meerab:Servicing pe tha.Kaal shym ko ghar aaya.
Murtasim:Ok.

Meerab increased the speed.

Murtasim:Dekhiye Miss Ahmed yeh road hai.Aap ka yaha koi racing competition nahi chal raha so dyan se chalaiye.Warna accident ho jayega.
Meerab:Sir aap dar gaye?Dare maat aap ka accident karwake kya Mujhe apni haddi todwani hai.Aur Waise bhi  meri to aab tak shaadi bhi nahi hui hai.Haddiyon ka surma banane ka shok bhi nahi hai Mujhe.Abhi to Mere chinku pinky ko bhi to aana hai.
Murtasim:Yeh chinku pinky kon hai?
Meerab:Mere honewale bacchen.Maine to Soch liya hai beta hua to chinku Aur beti hui to pinki.Cute name na?
Murtasim:Aap ki muh mein koi filter nahi hai kya.Kuch bhi bol deti hai.Bolne se Pehle sochti bhi nahi hai bol kisi Aur kya rahi hai.I'm your professor damm it.
Meerab:Galat kya bola maine.
Murtasim:Miss Ahmed aap ko kisi ne bataya hai aap zarorat se jyada baat karti hai.
Meerab:Ji nahi.Mein zarorat se jyada se thoda kam hi bolti hu.

Murtasim makes a angry face.

Meerab's hair blowing in the wind.Her hair is continuously coming to Murtasim's face.He feels irritated and said;

Murtasim:Apni balo ko samhaliyen please.Mere nak mein gus rahe hai.
Meerab:Sir aab bich raste pe gari rukke apni nafarman zulfon ko kaise farma bardar banau.Adjust karle.

Suddenly Meerab's scoter bumped into the other vehicles.Her scooter little bent and Murtasim fall down from there.

Meerab scared to sees his condition.

Murtasim:Andhi ho?Age dekkar gari nahi chala sakte.
Meerab:Galti aap ki bhi thi.Kuch pakad kar nahi beith sakte the.Agar pakda hota to yun girte nahi the.
Murtasim:Scooter tha tumhara koi aeroplane nahi jo aisi teji de bhaga rahe the.

Meerab extended her hand and said;

Meerab:Uth jaiye Sir.
Murtasim:Aap ki badi meherbani.Shukriya.

Murtasim gets up and said;

Murtasim:Aap ke sath mera yeh safar yaha tak tha.Mera hi aaj din kharab tha jo aap se lift le li.Aap se jo lift lega woh sahi salamat ghar pounch nahi payega isse Pehle aap use kabar tak lee jayengi.
Meerab:Sorry Sir.
Murtasim:Aap ni sorry apne pas hi rakhe Miss Ahmed.
Meerab:It was an accident.Mein aap ko kabar tak uff sorry sorry workshop pe drop kar dungi.
Murtasim:Aap ki badi meherbani.Haddi todne ka irada hai aap ka hoga Mera nahi.Mujhe aap ke sath nahi jana.Yaha tak lee aayi uske liye thank you.

Murtasim left from there by his feet.

Meerab makes a puppy face and said;

"Kya socha tha aaj Sir ki good book pe aa jayegi lekin sab ulta ho gaya.Sir ko bhi mere scoter se girna tha.Waise girne ke baad jo woh shakal banai the woh dekhne layek tha.Hay Mujhe to yaad karke hi hasi aa raha hai.Bechare MK Sir."

Khan mansion.

Mariyaam is watching tv,Murtasim comes there and sit next to her.

Murtasim:Zara first aid leke aana.
Mariyaam:Hua kya hai bhai?
Murtasim:Lee aana batata hu.

Mariyaam brings the first aid and murtasim put ointment there.

Mariyaam:Zara sa kharoch hai bhai.Aise hi thik ho jayega.
Murtasim:Lekin uske irade aaj Mujhe kabar tak utarne ka tha.
Mariyaam:Kiski?
Murtasim:Wohi Baittamiz ladki.
Mariyaam:Humesha Baittamiz ladki bolte rehte hai.Uska naam kya hai Waise?
Murtasim:Meerab.
Mariyaam:Naam to kafi khubsurat hai.
Murtasim:Naam hi thik hai sirf.Warna uski harqate dekke to shaitan bhi sharma jai.Itni khiski hui hai.Pata hai aaj kiya kya mere sath?
Mariyaam:Batai.
Murtasim:Raste mein mera gari kharab ho gaya.To us road pe na koi network tha Aur na as pas koi workshop.Majburan Mujhe us pagal Meerab ki madad lena pada taki woh Mujhe as pas ki koi workshop pe drop kar de.
Mariyaam:Phir.
Murtasim:Apni ankhen pata nahi kaha rakke scooter chalati hai.Jake dusri gadi pe takkar mar di Aur mein gir gaya.

Mariyaam laughing hard and Murtasim gives her a angry glance.

Murtasim:Yeh kya koi hasne ki baat thi.
Mariyaam:Aap kuch pakad ke nahi beithe the jo gir gaye.
Murtasim:Nahi.
Mariyaam:Phir to Galti aap ki thi bhai.Meerab ki nahi.Aap ko kuch pakad ke beith na chahiye tha.
Murtasim:Uski side lee rahi ho tum?
Mariyaam:You know what Meerab ke milne ka bohot maam hai mera.Ek din milna padega use jo mere bhai ki Zina haram kar rakha hai.
Murtasim:Tauba karoge usse milke Aur kahoge Allah ne Duniya mein aisi ladki bhi banai hai jo hai to ek Lekin das ke upar bhari hai.I just hate her.
Mariyaam:Bhai aap ko pata hai kabhi kabhi nafrat se hi mohabbat ki agaz hoti hai.Itni nafrat nahi karni chahiye kya pata kaal ko mohabbat ho jai.
Murtasim:Kisi se mohabbat karne ke liye dil aab manta nahi hai.Ek baar dhoka kha chuka Aab dobara khane ki himmat nahi hai baki.
Mariyaam:Sab ek jaisi nahi hoti.
Murtasim:Kisi ko azmame ki taqat hi nahi hai aab.
Mariyaam:To kya puri Zindegi tanha guzar denge.
Murtasim:Galat sangat se takleef pane se behtar hai tanha Zindegi guzarna.Aur mein ise enjoy bhi kar raha hu.
Mariyaam:Agar tanha Zindegi Itni asan hota to sab tanha reh jata.Koi ghar nahi basata.
Murtasim:Ghar basane ka irada bhi nahi hai Mujhe.Jaisa hu khush hu.

Mariyaam looks at him.

Author's note:Don't forget to give me your feedback.

𝑸𝑼𝑩𝑶𝑶𝑳 𝑯𝑨𝑰 𝑰𝑺𝑯𝑸 𝑻𝑬𝑹𝑨Where stories live. Discover now