Dil hai aapka, ya kaanch ka koi tohfa.
Darte hain hum ke nazuk cheezen- fisal jati hain in haatho se.
Gor kare to ye hamara hi ek qusoor hai,
Kabhi zyada zor se pakad lete, to kabhi bilkul azad chhod dete.
Magar un tukdon par khoon har bar hamara hi hota hai.
Jo koi jod bhi de dil ko dobara,
Toh khoon dhul hi diya jata hai, bhula hi diya jata hai.
Vo dhokhe ki tarah kahan, jo apni darar chhod jaye.
Vo dard ki tarah kahan, jo apni parchhai ban jaye.
YOU ARE READING
Sitaron ki Syahi: Shayari
PoetryMusafir ham bhi hain, musafir aap bhi. Farq bas itna hai, ke hamare raste dastan ban gaye, Aur aapke raste- manzil. Dastan sunoge meri?