Kuch logo ko raaz apne,
Badi fursat se bataye jate hain-
Toh kuch k saamne toh raaz,
Baaton - baaton mein khul jate hain.
Are vo hamraaz hi kya,
Jise aap khud imtehano se parkhen.
Ye rishte to khuda ke farmaan se bante hain
Kabhi zubaan fisalti hai, toh kabhi aansoo fisalte hain.
Aur kabhi- kabhi toh adhuri baatein hi, poori daastan,
ek ehsas bhar mein bayan kar jati hain..
YOU ARE READING
Sitaron ki Syahi: Shayari
PoetryMusafir ham bhi hain, musafir aap bhi. Farq bas itna hai, ke hamare raste dastan ban gaye, Aur aapke raste- manzil. Dastan sunoge meri?