Kon hai hamsafar hamara,
Kabhi sochte hain toh lagta hai
Ke ghum ne hi sabse zyada saath diya hai.
Jab vaqt khushi chheen le,
Ghum peechhe hi reh jata hai.
Jab vaqt gussa chheen le,
Tab bhi ghum hi peechhe reh jata hai.
Hansi aati hai is khyal par magar,
Kya ghum hi khuda ka haath hai hum par?
Maana bardasht badhane ka nayab hai ye tareeqa,
Magar ghum bhi- bahaduri chhod jata hai ya dar?
YOU ARE READING
Sitaron ki Syahi: Shayari
PoetryMusafir ham bhi hain, musafir aap bhi. Farq bas itna hai, ke hamare raste dastan ban gaye, Aur aapke raste- manzil. Dastan sunoge meri?