Mehfil e kaabil mein hamare dard ki kise parvah hai?
Aapko toh khauf hai. Zakhm se.
Vahi zakhm jo badle, gusse aur doori mein badalte hain..
Ham kitna bhi cheekh le
Ke hamare zakhm hare hain, jasbaat nahi-
Ke ham hakk chahte hain, inteqaam nahi.
Aap phir bhi manayenge,
Ki ek jhoothi maafi god le kar, apna dard sautela kar de ham.
Are aapne toh khud ek katra apne khoon ke liye nahi bahaya
Aaj mazee ke dhokhe par, Hamein naseehat de rahe hain?
YOU ARE READING
Sitaron ki Syahi: Shayari
PoetryMusafir ham bhi hain, musafir aap bhi. Farq bas itna hai, ke hamare raste dastan ban gaye, Aur aapke raste- manzil. Dastan sunoge meri?