part-8

418 45 17
                                    

After ashram, 2-3 days pass like this. Sidharth is continuously thinking about them and his condition. After coming from ashram, sidharth is silent, somewhere loss, thinking many possibilities. He is not doing any more tantrums to kaka for his help.

Mom: kaka, aap jake sidharth ko khana de ayenge ajj, mai thodi jaldi me huu aj. Usaka time ho gaya hai.

Kaka: jii Malkin, aap dijiye muze

Mom: haaa.... Mai abhi la......

Mom and kaka stare somewhere in open mouth and eyes are popping out,

Mom: kaka, kya mai koi sapana dekh rahi huuu

Kaka: nhi Malkin, mujhe bhi zataka lagg raha hai. Ye chamatkar kaise hua.

Mom: matlab ye sapana nhi hai. Sidharth khud hoke aj itane mahino me pahali baar khud se khane ko aya hai room ke bahar.

Kaka: Malkin ajj aap kam late kro, pahale baba ke sath khana khao. Mai Lata hu sab kuchh

Mom: hmmm... ha ha kaka jaldi jao

Then sidharth come and place his chair near dining table and saw his mom while rolling his eyes,

Sid: apako aise nhi lagata aap kuch jyada filmy ho rahi hai. Aise shock me ankhe nikalke jabtak khade rahoge ab

Mom thought break by his sound,

Mom: hhhnnn... nhi aise kuch nhi hai. Bata tu kya khayega aj. Mera beta bohot dino ke baad aj mere sath khana khayega.

Sid: kya yr ye emotional drama. Jo bana hai wahi laga do, bhuk lagi hai bohot.

Mom: haa bachhaa, kaka jaldi Lao mere beta bhuka hai bohot.

Anita mom seat besides sidharth and started caressing his hair,

Mom: bohot achha laga tuze aise dekh ke sidharth. Aa Jaya kr roj muze bhi achha lagega.

Sid: yrr ab aya hu na. Ye kya sadisi shakal bana rahe ho aap mom. Chalo aap bhi khana khao ab mere sath.

Mom: haa haa kyu nhi, is din ke liye to kabse wait kr rahi thi. Chal ajja, kaka jaldi lagao khana

After lunch Anita mom is ready to go , when sidharth call her from behind,

Sid: umm... mom aap kahi ja rahe ho

Mom: haa bachha, wo aj child specialist aa rahe he ashram me, bachho ko dekhane, to Jana padega. Upar se old age home bhi Jana hai thodi der

Sid: achhaa,,, ( nervously)... mom kya mai chal sakata huu apake sath. Matlab possible hoga to, vaise koi jabarjasti nhi hai. Vo kya hai na Mai bore ho jata hu aise Ghar me akele..

Mom smile brightly, this is the first time in this whole 4 month her son , himself was ready go outside. She is more than happy now,

Mom: why not bachha, Mai gadi nikal Rahi hu, tu jaldi Jake change kr aa, Mai aj tuze old age home bhi le kr chalungi sath. Wo kabse tuze milna chah rahe hai, maine hi mana kr diya. Aj Mai khud milvaungi tuze sabse....

Sid: smile listening this, ok Mai andar Jaa Raha hu, aap kaka ko bhej doge kya, thodi help ho jayegi

Mom: achha tu ja Ander pahale, Mai bhejati hu.

Kaka ... Kaka..... aap pahale Sid ke kamare me jao

Kaka: Malkin,, dekha na apane baba ab thk ho rahe hai...

Mom: ha kaka, Mai aj bohot khush hu.

Kaka: Mai jata hu, kapade nikal deta hu sidharth baba ko.

Mom: haa jao aap or use parking me le ayiye,, Mai gadi nikal ti hu.

After getting ready, kaka comes with sidharth, they help him in seating passenger seat, kaka fold wheelchair and place it backwards. After that Anita mom started driving,

Sid: jindagi kya Kamal ki hai na mom apaki, kaha muze apako drive karke le Jana chahiye tha, or kaha aap muze le jaa rahe ho abb.

Mom: kyuu,,, tu or tere papa ne kya theka leke rakhha hai mera. Jaha jaoge bodygard banake rahoge. Yaha ake to muze Azad panchhi ki tarah lag raha hai. Finally Mai apani manmani kr sakati hu, or koi rokane wala bhi nhi hai. Mai to kahati huu, tu bhi mere party me shamil ho ja, papa ko update Dena chhod de.

Sid: mom yr, hum dono apake dushman nhi hai. Safety important hai apaki issi liye hum mana karte hai.

Mom: thk hai thk hai ,, aya bada papa ka chamcha. Ab yaha to puchh chhod unki.

Sid listening this come from reality, sadly smile and say,

Sid: vahi to Kiya hai, sab chodke aa gaya huu yaha. Sab kuchh hi pichhe chhut gaya hai. Naam, kaam, asaliyat, jajba... sab kuch....... bsss sukoon dhundh raha huu

Mom: sidharth abb bas ho gaya tumhara. Achha ye batao achanak ashram chalane ka idea kaise aya Maan me.

Sid: ohh hellow, wo mera bhi hai. Ek louta varis huu mai. Mai jab chahu yaha aa sakata hu, muze reason ki kya jarurat.

Mom: wahh beta, ye sab aab yad aya. Kuchh jaldi hi yaad nhi aya tuze, ki tere pichhe kitno ki responsibility hai. Kitani Jane hai iss duniya Mai jinka sahara tuze banana hai. Ab chal baat ghuma maat, bata kisase milane aya hai tu yaha. Koi hai kya

Sid: he bhagwan kya maa di hai tune muze chunake, kaha bakiyo ki mummiya apane bete ko sambhalkar rakhana chahati hai or kaha meri maa.... apane sanskaari bete ko kya kya puchh rahi hai..

Mom: chall na bakwaas maat kr. Tuze achhese janati hu mai. Beta Mai bhi Teri maa hi hu.

Sid: achha ab seriously, vo umm vo shourya hai na, usse milake apana sa laga muze . Pyarra bachha hai. Bohot bate karta hai mujhase, kahata hai ab aap mere friend ho, bahar ke mere koi friend nhi hai.

Mom: hmm, shehnaaz ko vo dustbin me Mila tha.. rote hua, agar time pe usse nhi pakadati to, jangali kutte aa rahe the uss ki taraff... tabse vahi usse sambhalati hai. Maine ashram ke liye bola , but usane khud usaki jimmadari Li hai. Bohot pyaar karati hai vo usase.

Sid: kya matlab, vo unka khudka beta nhi hai. Mai to vahi samajh raha tha ... kitna lucky hai na shourya jise unake jaisi mother mili. Ekdaam strong minded.

Mom: haa vo to hai. Sana ka koi nhi hai is duniya me, ek anath hi dusare anath ki parishani samajh sakati hai.. use bhi jine ke liye kisi Karan ki jarurat thi. Ab usaka sab kuch shourya hai. Lekin tum iss bare me use kuch maat puchana. Use gussa ata hai jab koi shourya ke bare me bolata hai.

Sid: sahi hai yr.... dono bhi khaduss ho aap isliye apaki or usaki banati hai... bichara shourya kaise julm sahara hoga mere tarahhh...

Anita mom hold Sid ear and strech slightly,

Sid: aaa aaa mom mom plz yr ab nhi kahungaa, chod do yr

Mom: ab jyada na shaitani maat kr, lo aa gaya ashram....

After that, mom called some ashram boy's, they help sidharth to seat on wheelchair, they enter in ashram.

Sid see everywhere to find shourya,

Sid: mom shourya nhi dikhh Raha ajj.

Boy's: sir wo to bachho ke sath camp me hai. Aj doctor aye hai na....

Mom: chal sidharth vahi chalate hai fir....






⭐⭐⭐⭐⭐⭐⭐⭐⭐⭐⭐⭐⭐⭐⭐⭐

MERI JINDAGI...Where stories live. Discover now