part-16

295 44 14
                                    

After one week,

In Bank,

Sana: dekhiye kuch to options hoga. Aise aam adami ko to sab loot lenge.. agar kisi ke pass koi property nhi hai to kya vo insaan ki majboori kaam ho jati hai, kya usaki problem chhoti ho jati hai..

Bank manager: dekhiye madam, Mai aapse achhese baat kr raha hu. Respect ke sath aap ab chalo jaiye warna mujhe kuch action Lena padega...

Sana:  aap ek officer hoke aise bartaav karte hai. Logo ko parishani hoti hai tabhi wo loan ke liye kisi Bank ki sidiyaa chadate hai.. or aap unaki majboori ka fayada uthate hai . Mai to apako vishvas ke sath bol rahi hu, paise time pe wapas ho jayenge lekin aap ulta battamizi kr rahe hai...

Manager: madam, yaha oral statement ki koi kimat nhi hai... Agar apako loan chahiye to kuch giravi rakhana hoga jiske bases pr hum loan pass kar sake. Plya koi property jisase bank apana Sara Paisa vasul kar sake.. hum kisi bhi logo ko aise hi paise nhi de sakate..

Sana: agar koi garib Bina paiso se maar Raha hai to mare lekin apake bank ko benefit important hai.... Or aap rules ki baat kr rahe hai... Apane khud kitne baar rules todke paise diye honge... Jane dijiye Mai bhi kis se baat kr rahi hu... Thank you....

After lef from bank, Sana seat near the garden,

In thought, Mai kaise arrange Karu itane paise, kaha se lau, mere pass koi option nhi hai... Mrs. Shekhawat to paise de dengi lekin Mai unaki baat nhi Maan sakati..... Mai apana vajud , Paisa, amiri, khandan sab kuchh sirf apane self respect ke liye apane amtasamman ke liye khoya.... Or Aaj usi atmasamman ki baat ayi hai... Mai kya Karu kuch samajh nhi aa raha...

After coming from hospital, Sana is continuously thinking about money. She is going everywhere were she hope that something happens and her problem get solve. She meet various people, places for her help. She goes many banks for loan... But at the end she is unsuccessful for arranging money for shourya surgery.

Now it becomes 7 days she is trying.... She is not ready to do, what Mrs.Shekhawat wants.......

Flashback,

After coming from hospital, Sid and his mom left from sana's house. Sana is now relax that, someone is there always to help her.

After some time she will pay all the money slowly to Mrs . Shekhawat. While thinking this  after two days she go sidharth house.

Sidharth is sleeping in his room. He is not aware of Sana's coming.. Sana meet Mrs. Shekhawat and discuss about shourya operation process. But what Mrs. Shekhawat said made Sana shocked 😲 to the core....

Sid mom: Sana Mai tumhari problem samajh sakati hu... Mai tumhe paise bhi de sakati hu.. Parr isame Mera kya fayada hoga

Sana: madam, Mai kuch samajho nhi, aap kya kahana chahati hai wo...

Sid mom: Sana, dekho Mai paid karungi shourya ka operation bhi hoga.. lekin jab mai 5-6 lack ₹ Dee rahi hu. To mujhe bhi kuch tasaalii chahiye ki mere paise waiste nhi Gaye... Mujhe ye sab karke kya milega...

Sana: madam, aap saf saf boliye ki aap kya chahati hai.. Mai majboor huu kyu ki mere bete ki jaan ka sawal hai Parr Mai abala nari nhi huu Jo rooti baithe apani footi kismat par.. Orr rahh dekhati baithe ki koi ayega or usaki madat karega...

Sid mom: dekhoo Sana,,, mujhe ghuma firake baat karna nhi ata.. Mai bhi sidhe sidhe baat karati huu... Mai shourya ka operation or baki sab bill or kharcha uthaungi lekin tumhe meri ek baat manani padegi

Sana stand from chair and go near Sid mom

Sana: konsi baat manani hogi mujhe...

Sid mom: yahii ki tum Sid ki caretaker ki job karogi. Tumhe ashram me bachho ko padhane ki ya maintenance dekhane ki jarurat nhi hai.. tum yaha roj sidharth ke liye dhyaan dogi.... Usaka breakfast, lunch, dinner, medicine, hospital treatment, doctor... Usake sath time spend karna, usako khush rakhane ki koshish karna...

Sana made a shocking expression, she did not thought that Sid mom do something like this to her,

Sana: Orr apako Aisa kya lagata hai ki Mai ye sab karungi

Sid mom smile and smirk,

Sid mom: dekho Sana Mai tumhe isake liye tumhari job se jyada payment dungi.. jiske Karn tum apane paise bhi loata sakati ho.. kuch savings karke shourya ke future ke liye bhi sambhal sakati ho .... Tumhare regular job se 3 Guna jyada paise Mai offer krr Rahi huu... Baki tumhari marji

Sana: or agar Mai iss baat ko na Manu too

Sid mom: sochh lo nuksaan tumhara hai... 5-6 lack rupees koi aise hi nhi deta kisi ko... Upar se shourya ki health din ba din or kharab hoo Rahi hai .. usako operate karna jaruri hai.... Tumhare pass 7 din hai sirf....

Sana: 7 din bohot tohe hai madam,,, thank you apaka asali roop dikhane ke liye... Mai bhi ek maa huu, dekhati huu duniya ki konsi takat mujhe apane bachhe se door karati hai.... Agar bhagvan ne chaha to mujhe rasta jarur milega .. lekin apake ahsaano ki koi jarurat nhi hai abb... Mai chalati huu

Sid mom: sanaaa yaha se ja Rahi ho lekin jate jate sochh lo,,, tumhare bare me na sahi apane bachhe ke bare mejarur sochana...

Sana: sochh liya madam,..... Apako usake bare me sochne ki koi jarurat nhi hai... Mai nikalati huuu abb

Flashback end....

Sana: Mai kaise handle karuu sab... Shourya ke taraf jab bhi dekhati hu,, bebass ho jati huu.... Mera 3 saal ka bachha kitna kuch jhel Raha hai... Ek taraf Mera atmasamman hai or ek taraf Mera bachha...  Sana tu apane self respect choose kr sakati hai... Lekin ek maa ke liye usaka bachha hi sab kuchh hota hai ... Ek maa apane bachhe ke liye puri duniya se ladh sakati hai or jhuk bhi sakati haiii..... Aaj tujhe Sana bankaar nhi ek lachar bebass maa bankar sochana hai.. jiska bachha jindagi or moutt se ladh raha hai ...

Aaj jamana Jeet Gaya or ek maahaar gai apane bachhe ke liye ....

Bhagvan kis mode pe lakar mujhe khada kr diya apane....

MERI JINDAGI...Where stories live. Discover now