Tina miss Naitik👨‍👧

36 2 0
                                    

(tab hi kartik waha aa jata hai or uske pass jakar baith jata hai)
Kartik- helllo miss risikesh tum na bohot ajib ho tumhari jab galati nahi hoti toh sorry bolkar bhaag jati ho aabhi bhi tumhari koi galti hi nahi Thi tab bhi tumne sorry bola or jab tumhari real mai galti hoti hai toh tum sherni ki tarah dahardne lag jati ho tum Kya ulti paida hui thi
Tina- sab ulte hi paida hote hai
kartik- ha pata hai lekin tum ulte ke ulti paida hui thi
tina-😐
kartik- Arre batao toh tum kiu ro rahi ho exam mai fail ho gai ya boyfriend chod ke chala gaya dekho aagar exam mai fail hui ho toh bas itna hi kahunga ki kabhi kabhi padhai kar leni chahiye or aagar boyfriend...
tina- mera koi boyfriend nahi hai
kartik- oh finally mai toh katne wala tha tumhari yhe tomboy wali harkato se hi pareshan hokar tumhe chod diya usne aagar future mai tumhara koi boyfriend banega na toh 1 baar mujhe uska naam or uski photo bhej dena
tina- kiu...
kartik- kiuki usne aagar suicide kar liya toh tumhari in harkato ki vajah se toh phir mai uski arthi taiyaar karke rakhunga na jyada time nahi lagega
tina- ho gaya tumhara
kartik- ho jayega jab tum aapne rone ki sahi vajah bataogi... batao na shayad yhe dukh aagar tum kisise share karogi toh thoda kam ho jaye batao... dekho batao warna mai ja raha hu yaha se
tina- toh jao na maine kaha tha tumse yaha aane ke liye tum jao or aapne phone ki rakhwali karo kiuki aagar phir kahi pani wani mai gir gaya toh mujhe uthana ke liye na bolna padhe tumhe jao...
kartik- (jate jate) hai ganga maiya yaha yhe aapki param bhakt dukhi hai or waha akshara aunty in dono ki life mai jitne bhi dukh hai na woh sab aap dur kar dijiye specially yhe tina ke dukh warna aapni toh mujhpar chilla ke gussa nikal rahi hai aab aagar yhe dukh gussa banake bahar aaya toh pata nahi kis kis ki arthiya jayegi aapke hi kinare isiliye keh raha hu please...
(in dharamshala)
akshara- varsha aaj mai jab tina ko bula rahi thi chilla chilla kar toh usne sunkar bhi ansuna kiya ya phir usne suna hi nahi
varsha- (bag pack karte karte kiuki subhay woh Uday pur wapas lout jayenge) Arre nahi suna hoga na aagar sunti toh woh rukti na ansuna thodi karti or tujhe Kya hai jab se aai hai Tina tina tina... bole ja rahi hai tujhe milna kiu hai us tina se
(tab hi kartik waha aa jata hai)
akahara- kiuki mujhe lagta hai ki tina hi meri beti naira hai
kartik- Arre aunty woh tina aapki beti ho hi nahi sakti kiuki maine eek baar suna tha woh kisise keh rahi thi ki uski maa aab is duniya mai nahi rahi mera is duniya mai koi nahi hai uske behen ke alawa pata nahi Kya Kya... toh woh aapki beti nahi to sakti
akshara- lekin aisa bhi toh ho sakta hai na ki woh bas aise hi jhuth bol rahi ho
(yhe sab tina chupkar darwaje ke bahar se sun rahi thi)
varsha- offo tu na chup reh tina se kal mil liyo negi ji se pata karke lekin aabhi tu meri help kar
(kartik ka phone aata hai)
kartik- ha bol... oh aacha mai aabhi aa raha hu tu wahi rukiyo
akshara- Kya hua beta kaha ja rahe ho
kartik- woh aunty mere eek dost ne bulaya tha isiliye
akshara- lekin beta Itni raat ho gai hai or...
kartik- Arre aunty mujhe kuch nahi hone wala aagar koi gunde bhi peeche lagenge na toh un logo ki khal udher ke rakh dunga aacha aunty mai chalta thodi der mai aa jaunga
akshara- dhyan rakhna
varsha- tu na pura word mai jitne bhi bacche hai un sabki maa banja tujh par suit karta hai
akshara- maa bankar karungi bit Kya maa ka farj hota hai aapne baccho ki rakhwali karna unka sath dena lekin na mai naira ki rakhwali kar pai or na hi uska sath de pai jabki woh sahi thi or mai galat
varsha- aacha aacha bas maa banne ke chakkar mai tu patni ka farz bhul gai Kya
akshara- Arre aisa kaise ho sakta hai mai aabhi naitik ko phone karti hu unki aaj Delhi ki flight hai na
varsha- aacha thik hai mai aabhi aati hu tab tak tu unse baat karke
(varsha is left)
tina- papa...
(tina aapna locket nikalti hai jisme naitik ki picture hoti hai)
tina- papa... I Miss you so much
akshara- naitik aap airport pohuch gaye
naitik- Arre kaha akshara bich mai car kharab ho gai naksh thik kar raha hai
(naksh tina as naira or aaru ka bada bhai hai Naksh Singhaniya)
naitik- pata nahi subhay se sab kam late ho raha hai eek problem khatam hoti hai toh dusri aa jati hai
Naksh- (gadi thik karte karte) ha mumma aisa lag raha hai puri duniya papa ko Delhi jane se rok rahi ho
akshara- toh mat jaiye na kal mai or varsha aa hi rahe hai hum waha ayenge or aap waha se chale jayenge
naitik- nahi akshara mai nahi ruk sakta waise bhi waha rukunga toh mujhe aapni 2 princess ki yaad aati rahegi isse aacha toh kuch dino ke liye chala hi jau
akshara- yaad toh mujhe bhi aati hai or ghar ke sab logo ko aati hai lekin hum kar bhi Kya sakte hai itne saal ho gaye or dono aabhi tak... aacha aab yhe sab batein chodte hai chaliye bye
(akshara ne phone cut kar di or table par rakhdi or woh bhi chali gai tina kamre mai gusti hai or phone lekar dekhne lagti hai or gallery mai jyada tar uski hi bachpan ki pictures thi or phir usne naitik ko phone lagaya or naitik ne phone utha liya)
naitik- hello... hello akshara akshara aap sun rahi hai akshara... hello...
(or jaise hi Tina papa bolne wali hoti hai akshara ki aane hi aawaj aati hai or woh phone cut karke bed mai rakhke waha se chali jati hai)
naitik- Arre yhe akshara ko Kya Hua kuch bol kiu nahi rahi thi
naksh- papa shayad phone aapne aap kahi dabkar aapko aa gaya hoga oh yess papa aaiye thik ho gai car chaliye
naitik- ha chalo (mujhe aisa kiu laga ki naira thi phone par (in mind))
(akshara khidki se dekhti hai ki tina bahar hi hai or woh ja raha hai or Akshara use rokne uske peeche jati hai)
akshara- tina... tina ruko beta...
tina- (aapne aap se) nahi mai nahi rukungi warna yhe mujhe phirse se police ko bula lengi or mujhe jail mai daal denge mai nahi rukungi (woh or tez se chalne lagi or jhadi mai jakar chup gai)
akshara- tina... tina.. please mere pass aao mujhe tumhe thank you kehna hai beta tumne mere purse ko bachaya tha chori hone se.. isiliye mujhe tumhe thanks kehna hai mai us din tumhe thanks nahi keh pai thi na tum waha se chali gai thi maine tujhe kal bhi bulaya lekin shayad tumne nahi suna
tina- Kya... woh purse inka tha...
(akshara waha se chali jati hai phirse dharamshala lekin yhe baat tina ko pata nahi hoti ki woh kaha gai tina jhadiyo se nikal jati hai)
tina- Arre yhe kaha gai (woh kuch admiyo ko dekhti hai jo sharab piye hote hai) kahi in logo ne toh unhe kuch nuksan to nahi pohuchaya...


Kaira-एक एहसास❤❤❤जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें