Kartik Naira aaye thode close (halka fulka💘)

27 2 0
                                    

(Naira akshara or badi dadi kamre mai hote hai akshara naira ke pair mai creame laga rahi hoti hai)
badi dadi- naira beta pair ke dard mai thoda sa aaram mila
naira- haan
badi dadi- thik hai mai jati hu dhyan rakhna
(badi dadi is left)
naira- aab aap rehene dijiye itna kafi hai
akshara- okay tum please aapna dhyan rakhna jyada idhar udhar mat karna akele kahi jana ho toh kisiko aapne sath lekar jana
naira- hmm
(akshara Naira ke kamre ke jaise hi bahar jati hai use kartik dikhta hai)
kartik- I am so sorry ma'am woh maine janbhujh kar nahi kiya masti masti mai ho gaya yeh galti se I so so sorry aunty
akshra- yeh bhi kehete ho ki galti se hua hai phir bhi sorry kehete ho aagar galti se hua hai toh sorry kiu
kartik- ha lekin lagi toh meri wajah se hi hai na use if you don't mind mai use bhi sorry kehedu
akshara- hmm jao
(she is left)
(kartik knock the door)
naira- tum...
kartik- I am so so sorry naira maine jaanbujhkar nahi kiya galti se ho gaya I am sorry Mujhe pata hai yeh kehene se dard kam nahi hoga lekin tab bhi I am really sorry
naira- it's ok itna sorry bolne ki jarurat nahi hai
kartik- wahi toh Kya itna sorry kehena mujhe toh laga tha ki in sabke baad tum sir ke saamne rona dhona karogi or woh mujhe job se nikal denge so bas isiliye
naira- oh.. toh tum mujhe aapna job hath se na jane ki vajah se sorry bol rahe the is chot ke liye nahi...
kartik- haan
naira- tumhe toh mai
(woh khadi hoti hai par chot lagne ki vajah se phirse girne wali hoti hai ki kartik use bacha leta hai then woh dono eek dusre mai kho jate)
kartik- jab pair mai chot lage toh jyada hilna dulna nahi chahiye warna kahi yeh chot badh jaye
(kartik use bed par bitha deta hai)
kartik- sambhal ke woh jo maine aabhi kaha woh sab majak mai kaha tha I love you...
naira- Kya... Kya! kaha tumne aabhi..
kartik- aaaa.... I mean Iam really sorry yaar (uske thode or pass jakar) take care (he is left)
naira- pata nahi Kya batein karta hai samajh hi nahi aata (confused)
(A few hours later)
(gayu or naksh naira ko neeche lekar aate hai or waha mohit or nandani bhi aaye hue hote hai)
akshara- aab bataiye di Kya baat hai sab log aa gaye
nandani bua- yash or rose ki shadi nahi ho sakti
all- Kya!!
nandani bua- ha!!
yash- lekin kiu maa
nandani bua- kiuki tumhari or rose ki kundali match nahi ho rahi hai tum dono ne shadi ki toh musibat ho sakti hai
akshara- di lekin aap yeh kaise keh sakti hai matlab aap toh in sab cheejo par bharosa nahi karti toh phir...
nandani bua- ha nahi karti thi lekin aab jab baat mere bete ki hai toh mai koi risk nahi lena chahti yeh shadi nahi hogi matlab nahi hogi
naira- bua yeh aap Kya kar rahi hai yash bhaiya or rose eek dusre se bohot pyar karte hai or yeh kundali wundali sab bekar hoti hai inka koi matlab nahi hota aap yash bhaiya ki khushi ke bare mai kiu nahi soch rahi hai aap bhi janti hai or hum sab jante hai ki yash bhaiya ki khushi rose se judi hui hai
nandani- yash ki khushi ke bare mai... uski bhalai ke bare mai bhi sochna band kardu mai rose ke sath shadi matlab sirf mushkile nahi yash ki jaan ko khatra bhi ho sakta hai aab yeh sab janne ke baad mai aapne bete ki shadi kaise hone du
akshara- di aapko kya ho gaya hai aagar kundali ke chalte is ghar mai shadi hui hoti toh na jane humare khandan mai aadhe logo ki toh shadi hi nahi hui hoti
rukmani- bahu tum aacche se chal nahi pati iske chalte maine bhi tumhari or mohit ki kundali dikhai thi or us kundali mai 36 se sirf 8 9 gun milte the lekin tab bhi maine shadi karai mohit ki khushi ke liye
badi dadi- haa beta tumhe yaad hai jab akshara pregnent thi lalla (naksh) hone wala tha or maine eek pandit ki baton mai aakar kitne rupaye barbaad kar diye the jabki us wakt humara ghar bikne ki nobat mai tha or phir baad mai pata chala ki woh eek dhoungi tha
nandani bua- thik hai aap sabko meri baat nahi manni na thik hai mat maniye or tum yash tumhe bhi jo karna hai karo mere round se tum toh rukoge nahi or rukoge bhi kiu maine tumhe janam thodina diya hai
yash- maa aap please roiye mat thik hai mai yeh shadi nahi karunga
naira- bhaiya aap yeh kaisi baate kar rahe hai aapko pata bhi hai rose kitna hurt feel ho raha hoga aabhi aap bhi is kundali mai vishwas karte hai
yash- nahi naira mai kundali ya jaan ko khatra hoga is baat se shadi ki liye mana nahi kar raha hu meri maa ki khushi isme nahi hai isiliye or jismai meri maa ki khushi nahi hai woh kaam mai nahi karunga
(yash chala jata hai)
mohit- chaliye maa baat khatam ho gai faisla suna diya aab chaliye
(sab chale jate hai only waha naira akshara or nandani hi hote hai)
naira- bua jo ho raha hai bohot galat ho raha hai do pyar karne walo ko aapne aalag kar diya bohot galat hai yeh
(Naira is left)
(nandani ja hi rahi hoti hai ki akshara nandani se kehti hai)
akshara- di mujhe aisa kiu lag raha hai ki yeh sab kundali ki vajah se nahi hai kuch or baat hai
nandani- nahi akshara jo hai tumhare samne hai
(nandani is left)
(Naira yash ke kamre mai jati hai waha gayu naksh or rose hote hai)
naira- yash bhaiya yeh sab Kya hai aap jante hai na ki aapki khushi rose or sath hai toh phir sab kiu aapko pata bhi hai yeh sab jo aap kar rahe hai isse rose ko kitna hurt hoga
rose- no naira... I can understand aagar yash ki jagah mai hoti toh mai bhi aisa hi karti yash tumne jo kiya sahi kiya aapni mom ke liye I am proud of you
yash- thank you rose aab tum please chali jana yaha se mai phir tumhari life mai pareshsani lekar nahi aaunga
naksh- yash tu Itni jaldi haar kiu maan raha hai meri or tara ke time bhi toh aisa hi hua tha koi bhi nahi maan raha tha lekin baad mai sab maan gaye na
yash- lekin shadi wale din pata hai na Kya Hua tha tum dono ki shadi tut gai thi... I am sorry
naksh- it's ok but woh shadi tutne ki vajah bade log nahi the tara ki vajah se tuti thi shadi
yash- tab bhi yaar aab toh mujhe shadiyo se bharosa hi uth gaya hai pehele jab sanju mili woh chod kar chali gai meri aakho ke samne Teri shadi tuti or aab yeh sab ho gaya aab bas jao sab mujhe akele chod do
naksh- nahi mai tujhe akele nahi chodne wala or is halat mai toh bilkul bhi nahi
naira- offo aap sab ki akal mai patthar padh gaye hai Kya sab or sab give up kar baithe hai aap dono ki shadi hokar rahegi or iski guarantee mai leti hu
(Naira kamre se bahar chali jati hai or dekhti hai ki akshara stairs par baithi hoti hai naira uske samne jaakar bolti hai)
naira- yeh jo bhi ho raha hai woh thik nahi ho raha or koi isme kuch kar bhi nahi raha sab hath mai hath dhare baithe hue hai
akshara- kiuki sab ko kuch samajh nahi aa raha ki woh Kya kare dekho tumhe kuch karna hai toh karo kiuki mujhe kuch samajh nahi aa raha koi tumhe na hi rokega lekin iska jo result hoga woh jisme sabki bhalai ho woh hona chaliye okay all the best!!
(akshara is left)
(or tab hi naira ko kartik ka phone aata hai)
naira- (on call) hello!! kiu call kar rahe ho mujhe or woh bhi Itni raat ko
karta- woh puchne ke liye ki tumhara pair aabhi thik hai jyada dard toh nahi ho gaya
naira- bas yahi puchne ke liye
kartik- hmm or ha aacha woh nandani bua maan hai shadi ke liye
naira- nahi woh keh rahi thi ki yash bhaiya or rose ki kundaliya match nahi ho rahi or aagar un dono ki shadi ho gai toh mushkile aa sakti hai or yash bhaiya ki jaan ko khatra bhi ho sakta hai or aab toh yash bhaiya ne bhi shadi karne se inkaar kar diya kiuki bua khush nahi thi so... lekin mai aisa nahi hone dungi unki shadi karwa kar hi rahungi
kartik- oh aacha mere pass na tumhari batein sun sun kar eek idea aaya hai tum chaho toh batau...
naira- hmm batao
kartik- dekho mujhe nahi lagta hai ki yeh bua kundali ki vajah se mana kar rahi hai ho sakta hai kisi pandit ne unhe galat information di ho tum rishikesh mai reheti thi na toh tum bohot se pandit ko bhi jaanti hogi
naira- haan...
kartik- toh unse pucho ki yeh dono kundali match hoti hai ya nahi kiuki tum unhe bachpan se janti ho toh woh tumhe galat information nahi denge
naira- hmm you are right puchungi mai or aagar kundali match ho gai na toh yeh shadi hone se koi Michele lal nahi rok sakta
kartik- Michele lal Nice!!!😂 by the way tumne mere sawal ka jawab nahi diya ki tumhara pair
naira- ha aab thoda thik hai waise yeh baat toh tum mujhe kal bhi puch sakte the na kiuki tum toh roj hi aa jate ho toh aabhi hi kiu
kartik- kiuki mujhe tumhari fikar ho rahi thi
naira- meri fikar kiu??
kartik-kiuki... mai tumhari care karta hu...
naira- Kya kaha tumne...
kartik- aaa I mean ki woh meri vajah se chot lagi thi na so..
naira- okay thank you byee..
kartik- bye!! (cut the call) kartik tu pagal wagal ho gaya hai Kya pehele use I love you bol diya or aab yeh tujhe ho kya gaya hai
vivaan- pehela pehela pyar hai peheli peheli baar hai
kartik- shut up!! mujhe koi pyar wyar nahi hua hai I don't like naira
vivaan- Arre bhai mai aapki baat thodina kar raha tha mai toh apni baat kar raha tha
kartik- kiu tujhe kisse pyar ho gaya
vivaan- aarohi.... bhai aap jaldi se kisise shadi karlo na yaar meri bhi toh bari aani chahiye
kartik- meri shadi hone ka koi fayda nahi hai mansi toh hai na aabhi
vivaan- offo bhaiya jab aap shadi karoge tab hi maansi di shadi karengi na phir aayegi meri baari
kartik- offo aan chup aapni padhai par dhyan de or mujhe bhi padhne de
vivaan- offo yeh padhai karne ke baad bhi Kya hi hoga baad mai jake family buisness hi toh... Iam sorry bhai..
kartik- it's okay chal aab padh
(in sighaniya house)
(akshara rose se baat kar rahi hoti hai samjha rahi hoti hai use or naira door mai se unki batein sun rahi hoti hai or jab naira ja hi rahi hoti hai ki gayu mil jati hai)
naira- Arre Gayu di yeh Kya hai
gayu- yeh rose ke liye gift woh ja rahi hai na
naira- offo sab log jaise haar kar baithe hue hai koi kuch kar hi nahi raha
gayu- naira aab yeh decision yash bhaiya or rose ka hai toh isme hum Kya kar sakte hai
naira- woh dono sacrifice kar rahe hai bua ke liye
gayu- naira tum na kuch nahi samajh sakti
naira- aap bhi kuch nahi samajhti or mai baat tho kisse kar rahi hu jo woh mahan akshara singhaniya ka dusra part hai hai akshara singhaniya part 2 jai ho the great akshara singhaniya ki
(Naira is left)
(in morning)
(sab log rose ki vidai kar rahe the or naira risikesh wale pandit ji se baat kar rahi thi)
naira- pandit ji aapne kundaliya aache se dekhi hai na!! oh ok thank you pandit ji..
(woh jati hai or Akshara ka hath pakadkar sabse thoda dur le jati hai or sabko pata bhi nahi hota)
naira- yash bhaiya or rose ki kundaliya match ho rahi hai maine rishikesh ke sabse best pandit ji ko unki kundali dikhai thi or 36 mai se 35 gun milte hai matlab his pandit se bua ne kundaliya dikhai us pandit se kuch gadbad hui ya unhone jhooth bola ya phir bua hum sab se jhooth bol rahi hai
akshara- ok aab yeh baat ka pata mai lagati hu
naira- all the best!
akshara- thank you!!

Kaira-एक एहसास❤❤❤जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें