Kartik ne bachai nanu ki jaan😉

19 3 0
                                    

(then Naira waha se chali jati hai)
Kartik- iska matlab happy uncle is ghar nahi hai yeh unhone mujhse jhooth bola unko toh dekhta hu aab
(naira's side)
Mishti- mujhe bohot jyada garmi lag rahi hai khelte khelte
gayu- ha toh sab ice-cream khane chale bahar
rajshri- thik hai tum sab chale jao mai yahi rahungi woh akshara ke bauji ki tabiyat kharab hai na toh
akshara- Arre maa jaiye na mai yaha hu unko kisi chij ki jarurat padhi toh woh mujhe bula lenge aap jao
badinani- ha mai bhi akshara ke sath yahi rukungi isi bahane gappe mar lungi meri son chidaiya se
akshara- haan😉
(sab chale jate hai akshara or badinani chat par chale jaye hai then nanu sokar aachanak uth jate hai or khasne lagte hai jor jor se or stairs se niche ladkhadate hue utarte hai or girne hi wale hote hai ki kartik pakad leta hai)
kartik- aap.... koi hai... koi hai ghar mai.....
akshara- yeh toh kartik ki aawaj hai lekin yaha kaise aa rahi hai
badinani- chalo beta chalkar dekhte hai
(dono niche jate hai or dekhte hai ki nanu ki tabiyat bohot kharab ho gai hai)
akshara- bauji.... kartik... kartik tum yaha kaise....
kartik- ma'am mai aapko baad mai batata hu pehele inko...
(then kuch der baad doctor aakar unka check up kar rahe hote hai)
doctor- koi chinta ki baat nahi hai sirf acidity hui thi mai kuch dawaiya likh raha hu aap inko de dena
(doctor is left)
akshara- bauji aap thik toh hai na!!
nanu- haan beta jab acidity hoti hai toh lagta hai hearatack aa gaya or jab asli ka heart attack aata hai toh acidity samajhkar aise hi woh Kya kehete hai avoid... avoid kar dete hai aise hi karte karte bhagwan upar bula lenge
badinani-abhi lagaungi kaan ke niche khichke aagar aisi baat phirse doharai toh...
nanu- sorry maa..... aaj mai bacha toh sirf inki vajah se (kartik ki taraf ishara karte hue) aagar yeh nahi hote toh pata nahi Kya ho jata
akshara- thank you... kartik..
kartik- Arre aunty please yeh thank you mat boliye aapne jitna mere liye kiya hai woh kam nahi
akshra- or jo tumne humare liye kiya hai woh bhi toh kam nahi btw tum yaha kaise
(tab hi varsha kuhu or rajshri aa jate hai)
rajshri- ji aap thik toh hai na akshara yeh...
akshara- ha maa bilkul thik hai yeh inko kartik ne bachaya
rajshri- tumhara bohot bohot shukriya
kartik- Arre.. nahi
akshara- btw kartik tum yaha kaise
kuhu- inko maine dekha hai pehele yeh happy uncle ke sath the yeh unke koi rishtedar honge
varsha- ha eek baar unhone kaha tha ki unke bhatije ka ilaj ho raha hai yahi tum hi ho kya or akshara yeh toh risikesh mai bhi tha
akshara- haa kartik humare office mai kaam karta hai tum sahi kehte the Kartik yeh duniya bohot choti hai

Kaira-एक एहसास❤❤❤जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें